Saturday 24 December 2016

✦.....► Bacchon ki Aakhirat Sanwarne ki Fikr! ◄.....✦

Ham apne Bacchon se Baar Baar Puchte Hain:

Beta!

► Aap ne khana khaya?
► Aap ne School ka Homework kiya?
► Aap ne Uniform tabdeel kar liya?
► Aap ne Muh hath dhoya?

Lekin kya ham apne Bacchon se ye bhi Puchte hain ke
Beta! Aap ne Namaz Padhi? Aap ne Quran Majeed ki Tilawat ki???

✦...► Na Mahram Par Achanak Nazar Pad Jaye to... ◄...✦

Jarir b. 'Abdullah RadiyAllahu Anhu reported: I asked Allah's Messenger (ﷺ) about the sudden glance (that is cast) on the face (of a non-Mahram). He commanded me that I should turn away my eyes.

[Sahih Muslim :: Book 25 :: Hadith 5372, 5770]

Urdu Translation: Hazrat Jarir bin Abdullah RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se (Na Mahram aur Haram cheez par Pad jane wali) Achanak Nazar ke bare mein Pucha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Mujhe Hukum diya ke Main apni Nigah pher liya karun.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5644, 5770]

♥ “Ghar Pahonchne par sab se Pehle sawal Ammi kidhar hai?? Ammi se koi kaam na bhi ho Lekin un ko dekh kar Dil ko bahot sukoon Milta hai.” ♥

●◗► Aksar aisa hota hai, Galti bhi Shohar ki hoti hai aur Naraz bhi Shohar hi ho jata hai phir Biwi ko hi Razi karna padta hai, Insaf ki baat to yahi hai ke jis ki Galti ho wahi razi kare Lekin ♥ Jahan Shohar aur Biwi mein itni Mohabbat ho wahan Intezar nahi karna chahiye ke Dusra Razi kare ♥

✦..........♥ Dawate Walimah ♥..........✦

Narrated `Abdullah bin `Umar RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "If anyone of you is invited to a wedding banquet, he must go for it (accept the invitation)."

[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 62 :: Hadith 102, 5173]

Urdu Translation: Hazrat `Abdullah bin `Umar RadiyAllahu Anhuma Fatmate hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jab tum Mein se kisi ko Walimah ki Dawat di jaye to use Chahiye ke wo Dawat Qubool kare."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Hadith 5173]

●◗► Jab koi shaks Tumhari tareef kare to Dil hi dil mein Dua mango ke ♥ Aye Allah ye shaks nahi janta ke mujh mein kya kya Aaib hain, lekin tu Bakhubi janta hai, Jo ye shaks meri tareef mein jo jo Alfaz keh raha us ko sach kar dikha ♥

◈ Aur jo Mujh mein Aaib aur galatiyan hain use door Farma, Taa ke meri zaat ka bharam us shaks ke Aage reh jaye, Mujhe nadamat se bacha kyun ke tu hi behtar janta hai ke kon kis Qabil hai.

✦....♥ 5 Chizen 5 Musibaton se Bachati Hain! ♥....✦

❶ Narm Guftagu Gusse se Bachata hai.
❷ Auzu Billah padhna, Shaitan se bachata hai.
❸ Sabr o Tahammul, Afsos o Nadamat se Bachata hai.
❹ Bolne se pehle Sochna, Bade noqsan se Bachata hai.
❺ Dua ka Ehtemam, Har Qism ke Shar se Bachata hai.

●◗► "Maa Baap ka Dil aur Daman bahot Wasee hota hai Kabhi Aulad ki Khushiyan Mangne ke lliye Phailta hai to Kabhi un ke dukh Sametne ke liye, Waldain kabhi galat Nahin hote Agar un se Galat Faisle bhi ho jayen to unki Niyyat saaf hoti hai aur Unhin ki Duaon se Taqdeeren badal jati hain." ♥

✦......♥  RasoolAllah (ﷺ) ka Surmah Lagana ♥ ......✦

Ibn 'Abbaas Radiyallahu 'Anhu says: 'Rasulullah Sallallahu 'Alayhi Wasallarn had a small container for keeping kuhl, from which he applied kuhl in each eye three times every night."

[Shamail Tirmidhi :: Book 7 :: Hadith 48]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu Farmate hain: "Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas aik Surmah Daani thi Jis mein se har Shab (Raat) teen teen Salayi Apni Mubarak Aankhon mein lagaya karte the."

[Urdu Ref :: Shamail Tirmidhi :: Hadith 48]


●◗► “Bete Hamesha Baap ki Zameen bant te hain aur Betiyan hamesha Baap ka dukh Bant ti hain, Betiyon ke liye Baap kya hota hai ye Sirf betiyan hi samajh sakti hain.” ♥

✦......♥ Apne Mahboob ﷺ ko Pehchaniye ♥......✦
✦ Silsila Waar Paighamat: Paigham Number 5 ✦

✦...♥ Rahmatul lil Alameen ﷺ  ki Sakhawat ka Manzar! ♥...✦

Anas ibn Malik RadiyAllahu Anhu said, "The Prophet, may Allah bless him and grant him peace, was merciful. No one came to him but that he promised himself something and carried out that promise if he had anything to give.

[Al-Adab Al-Mufrad :: Book 14 :: Hadith 278]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Intehayi Rahem dil the, Jab koi Mangne Wala Aap ke paas Aata to Agar Aap ke paas kuch Maujood hota to Aap use ata Farma dete aur Agar Maujood na hota to us se (phir kisi waqt dene ka) Wadah Farma lete.”

[Al-Adab Al-Mufrad :: Hadith 278]

No comments:

Post a Comment