Thursday 29 December 2016

✦.....► Khud Kushi Se Jaan Nahin Choot ti! ◄.....✦

The Prophet (ﷺ) said, "He who commits suicide by throttling shall keep on throttling himself in the Hell Fire (forever) and he who commits suicide by stabbing himself shall keep on stabbing himself in the Hell-Fire."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 23 :: Hadith 446, 1365]

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks apna Gala ghont kar khud kushi karta hai wo Jahannam mein bhi Apna gala Ghont ta rahega aur Jo tez dhaar Aale se khud kushi karta hai wo Jahannam mein bhi usi Tarah apne Aap ko Maarta rahega.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1365]

 ✦....► New Year Night ki Taqareeb ka Boycott Kijiye ◄....✦

⇨ "(Rehman ke bande wo hain) Jo jhoot aur Batil kamon mein shareek nahin hote aur jab Behudah kamon ke paas se Guzarte hain to (daman bachate hue) Nihayat waqar aur Sharafat ke sath guzar jate hain." (Qur’an Surah Al-Furqan: 72)

⇨ "And those who do not witness falsehood, and if they pass by some evil play or evil talk, they pass by it with dignity." (Qur’an 25:72)

Agar Namazon aur Naik Aamal Mein Susti Ho Rahi ho to
✦...............► Khabar Daar Ho Jayyen! ◄...............✦

●◗► Kyun ke Naik Aa’mal mein Susti ki Asal waja Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne in Alfaz mein Bayan Farmayi: ⇨ “Aur Agar wo Nikalne ka iradah karte to Zaroor us ke liye Saman tayyar karte Lekin Allah ne un ka Uthna hi Pasand nahin kiya is liye Unhen sust pada Rehne diya aur kah diya gaya ke Jahan (Mazoor) baithe hain un ke sath tum bhi Baithe raho.” (Qur’an Surah Al-Tawbah: 46)

●════════════════◄►═══════════════●

Lehaza Agar Farayez aur Naik kamon mein Susti ho rahi ho to Allah se Dariye aur apna Muhaseba ki jiye ke Kahin kisi Gunah ki Nahusat ki Waja se Allah Ta’ala ne Neki ki Daulat se Mahroom to Nahin kar diya?

●◗► Safar aur Hadesaat....► "Safar Mein Insan Hadesaat se do Char ho Sakta hai Lehaza Daurane safar Allah Ta’ala se khair o Aafiyat ki Duayen mangen, Mausiqi aur Lahw o Laib se bachen, Kahin Aisa na ho ke Aap Gunah mein Mashgool hon aur Mout Aap ko Aa pakde."

✦.......♥ Ishraq Ki Namaz Hajj o Umre ka Sawab ♥.......✦

Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu narrated that: The Messenger of Allah said: "Whoever prays Fajr in congregation, then sits remembering Allah until the sun has risen, then he prays two Rak'ah, then for him is the reward like that of a Hajj and Umrah."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 1 :: Hadith 586]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo shaks Namaze Fajr ba Jama’at ada kare, Phir (Apni jaga par) baith kar Suraj tulu hone tak Allah ka Zikr karta rahe, Phir 2 Rakat (ishraq ki) Namaz padhe to use Kaamil Hajj o Umre ka Sawab milta hai."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 566, 586]

●◗► “Bachpan mein Bahen Bhai Aapas mein Ladte hain to Kuch dair baad Razi ho jate hain par Wahi Bahen Bhai Jab bade ho ke Ladte hain to kyun Marna Jeena khatam kar dete hain, Rishta wahi hota hai, Bus dil badal Jate hain.”

♥ “Saari zindagi Maa ke Naam karta hun, Main khud ko maa ka Ghulam karta hun, Jinhone ki zindagi Aulad pe nisaar, Jo hain Maayen un ko Salaam karta hun, Jahan dekhta hun Lafz maa likha hua, Choomta hun us ka Ehteram karta hun, Meri zaban ko mil jati hai mithaas, Jab bhi Maa se kalaam karta hun.” ♥

► RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Maa ke Qadmon Tale Jannat hai." (Sunan an-Nasa'i: 3104)

✦.....♥ Narmi se Aurat ki Islah Karen, Warna!!! ♥.....✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (ﷺ) said, "The woman is like a rib; if you try to straighten her, she will break. So if you want to get benefit from her, do so while she still has some crookedness."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 62 :: Hadith 113, 5184]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Aurat phasli ki Haddi ki tarah hai, Agar tum use Bilkul sidha karna Chahoge to tum use Tod doge (Yani Judayi ki Nobat aa Pohchegi) aur Agar tum Aurat se Faidah uthana Chaho to Tumhen us ka Tedha pan Bardasht karte hue us (ki khubiyon) se Faidah uthana hoga.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Hadith 5184]

No comments:

Post a Comment