Saturday 7 January 2017

✦...........♥ Musalman Aurat ♥...........✦

Aik Aurat ne Kisi Aalim se Pucha: Islam ne Hamen  Shohar ki Ita’at aur Farmanbardari ka Paband kyu banaya hai?

Jab ke Shohar ko Hamari Ita’at ka Paband nahin banaya Gaya?

Aalim ne Pucha: Is Shohar se Tere kitne Bete hain?

Aurat Boli: 3 Bete hain.

Is par Aalim ne Jawab diya: Allah ne Tujhe Aik Mard ki Ita’at ka hukum diya…Aur teen Mardon ko teri Ita’at ka hukum diya…Tere sath Accha Muamla kiye bagair wo Teenon Mard hargiz Jannat mein dakhil Nahin ho sakenge…Ab tu hi bata ke Zyadah paband kon hai???

Aurat ne Jawab diya: Beshak! Islam ki Nemat par main Allah ka Shukr Ada karti hun…♥

✦...► Nasha Aawar Ashya ka Qaleel Istemal bhi Haram! ◄...✦

The Prophet (ﷺ) said: "If a large amount of anything causes intoxication, a small amount of it is prohibited."

[Sunan Abi Dawud :: Book 26 :: Hadith 3673, 3681]

Urdu Translation: RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Jo cheez Zyadah Miqdar mein Nasha deti hai us ki Thodi Miqdar ka Istemal bhi Haram hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 282, 3683]

✦.......► Pahad Jitna Qarz Bhi Ada ho Jaye ga! ◄.......✦

Ali [may Allah be pleased with him] narrated: That a Mukatib came to him and said: “Indeed I am not capable of my Kitabah so aid me.” He said: “Should I not teach you words that the Messenger of Allah (ﷺ) taught me? If you had a debt upon you similar to the mountain of Sir, Allah would fulfill it for you. He said: ‘Say:

O Allah, suffice me with Your lawful against Your prohibited, and make me independent of all those besides You (Allāhummakfinī biḥalālika `an ḥarāmika, wa aghninī bi faḍlika `amman siwāka).’”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 46 :: Hadith 3563, 3563]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Ali bin Abi Talib RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke aik Makatib (yani Mutay’yan maal ki Adayegi ki Shart par Aazad hone wala Gulam) un ke paas Aaya aur Arz kiya ke Main apni Aazadi ke liye Mutay’yan Raqam ki qiston ko Ada karne se Aajiz Aagaya hun, Unhon ne Farmaya:

“Main Tumhen wo Dua sikhata hun jo Mujhe RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne sikhayi thi, Agar tum par Pahad jaisa Bhari Qarz bhi ho to Allah Subhanahu Wa Ta'ala use Ada kar dega, ye Dua padho:

(Allāhummakfinī biḥalālika `an ḥarāmika, wa aghninī bi faḍlika `amman siwāka).’” Tarjumah: “Aye Allah! Mujhe apne Halal ke Zariye apne Haram Se tu kafi hoja, aur apni Maherbani se Apne siwa har Cheez se Mujhe be parwah karde.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1487, 3563]

"‏ اللَّهُمَّ اكْفِنِي بِحَلاَلِكَ عَنْ حَرَامِكَ وَأَغْنِنِي بِفَضْلِكَ عَمَّنْ سِوَاكَ ‏"

●◗► "Agar Namaze Fajr ke liye Bedar hona Aap ki Pehli Planning nahin to Baqi din ki Planning ka koi Ma’yne nahin, Kyun ke Aap ke din ki Shuruaat hi Nakaami se hui."

✦..........♥ Namaz mein Inhemak Aur ♥..........✦
✦......♥ Khushu Paida Karne ka Nuskha ♥......✦

Namaz mein Tawajje, Inhemak aur Khushu Paida karne ke Aik Mujrab Nuskha ye hai ke Namaz mein padhe Jane wale Azkar aur Tilawat ke Tarjume pe Gor kiya jaye, Maslan:

● Jab ham Allahu Akbar kahen to Hamen is ke Mane zahen mein rakhna Chahiye ke “Allah Sab se Bada hai”.

● Jab ham Surah Al-Fatiha padhen to Hamare zahen mein is ka Tarjuma o Mafhoom hona chahiye.

● Subhaana Rabbi Al-Azeem kahen to is ke Mane pe gor Karen ke “Paak hai Mera Rab Jo Azmaton wala hai.”

● Sami Allahu liman Hamidah kahte waqt is ka Mane sochen ke “Allah ne us ki sunli Jis ne us ki Tareef ki.”

● Rabbana lakal Hamd ke Mane pe Gor Karen ke: “Aye Hamare Rab tere liye hi Tamam Tareefen hain.”

● Subhaana Rabbi Al-A’laa ke Mane pe Gor o Tadabbur Karen ke: “Paak hai mera Rab badi Shaan wala.”

● Is ke Alawah wo choti Surten jin ki Tilawat Namaz mein kasrat se ki jati hai, un ka Tarjuma yaad kar ke ham apni Namazon ko Pur lutf aur Pur kaif bana sakte hain,  Allah ham sab ko Toufeeq ata Farmayen.

✦.......♥ Insani Hatheli ka Andruni Manzar! ♥.......✦

SubhanAllah! Aap ki Hatheli mein Qudrat ne kaisi Sanayi ki hai!!! Kaise Ajeeb Function is mein Rakhe Hain!!! Aur kis tarah Chabak dasti se ye kaam kar Rahi hai!!!

✦► Aurten Na Mahram Mardon se Nazakat se Pesh Na Aayen ◄✦

●◗► Aurat ki sab se Badi Bad Akhlaqi ye hai ke wo kisi Na Mahram mard ke sath Khush Akhlaqi se Pesh aaye, Agar kabhi kisi Na Mahram Mard se baat Cheet karni pad Jaye to Narm o Nazuk Lehje ke bajaye Rukhe pan aur Sakht Lehje mein baat ki Jaye.

⇨ Allah Subhanahu Wa Ta'ala Irshad Farmate hain: “Tum Nazakat ke sath Baat mat kiya karo Kabhi koi Aisa Shaks beja Lalach karne lage Jis ke dil mein Rog hota hai…..” (Surah Al-Ahzab: 32)

●◗► Deendar Logon ka Mua’shre se Shikwah: “Ham Musalman hain, Islam Aik jame Mazhab aur Mukammal Zabta Hayaat hai, Ham Islam par chalne ki Apni si Koshish karte hain lekin Insan hone ke Nate ham Galti bhi kar sakte hain, kisi ki Dil Aazari aur Haq Talfi ka Gunah ham se sarzad ho sakta hai.

Please! Agar ham koi Galti karen to Islam aur Islami Sha’ayer (Dadhi, Pagdi, aur Topi wagera) ko bura bhala na kahen balke hamen Bura bhala kahen.”

No comments:

Post a Comment