Thursday, 22 June 2017

✦............♥ Shabe Qadr ki Alamaten ♥............✦

A Hadith reported by Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu indicates that it is a moderate night, neither hot nor cold. He said that The Messenger of Allah ﷺ said: Laylut al-Qadr is an easy and moderate night. It is neither hot nor cold.. On the morning following it, the sun rises weak (in light) and reddish.

(Recorded by Ibn Khuazaimah, al-Bayhaqi, and others. Verified to be authentic by al-Albani (Sahih Al-Jami: 5475)

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Abbas RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Shabe Qadr ki Nishaniyon ke bare mein Farmaya: “Shabe Qadr Narmi o Aasani wali aur khushgawar hoti hai, ye Raat na Zyadah Garm na Zyadah Thandi balke Motadil hoti hai Naiz Shabe Qadar ki Subah Suraj ki Roshni bagair Sh’aa ke Kamzor aur Surkhi mayel Hoti hai.

[Musnad al-Thayalisi :: 2680, Sahih ul-Jami :: 5475]

✦......► Maa Aur Bete ke Darmiyan Judayi Na Dalen! ◄.......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) say: "Whoever separates between a mother and her child, then Allah will separate between him and his beloved on the Day of Judgement."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 3 :: Book 19 :: Hadith 1566, 1566]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jis ne Maa aur Bete ke Darmiyan Judayi Dali, Allah Ta’ala Qayamat ke Din us ke aur Us ke Chahne Walon ke Darmiyan Judayi Daal dega.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 1616, 1566]

✦....► Qaza Namazon Se Mutaliq Man Ghadat Hadees ◄.....✦

●◗► Social Media aur Digar Zaraye iblagh ke Zariye RasoolAllah ﷺ ki Taraf  Mansoob ye Man Ghadat Hadees Gardish kar rahi hai: “Jis Shaks ki Namazen Qaza hui hon aur Taadad Malum na hon to Wo Ramadan ke Aakhir Juma ke din 4 Rakat Nafl 1 Salam ke Sath Padhen, Har Rakat mein Surah Fatiha ke Baad Ayat Al-Kursi 7 baar, Surah Kausar 15 baar Padhen, Agar 700 saal ki Namazen bhi  Qaza hui hon to is ke Kaffarah ke liye ye Namaz Kafi hai.”

Yaad Rahen ke Kutub Hadees mein Aisi koi Hadees Mazkoor Nahin, Ye logon ki banayi hui Man Ghadat baat hai, RasoolAllah ﷺ ki Taraf Aisi baat Mansoob karna Jo Aap ﷺ ne Irshad na Farmayi ho na Sirf Gunah balke Bade Wabaal o Azab ka sabab hai, Chunanche Aap ﷺ ka Irshade Girami hai:

► “Mujh par Jhoot Mat Bolo, Kyun ke jo Mujh par Jhoot Bandhe wo Dozakh mein Dakhil hoga.” (Sahih Bukhari :: Vol.1 :: Hadith 106)

The Prophet (ﷺ) said, "Do not tell a lie against me for whoever tells a lie against me (intentionally) then he will surely enter the Hell-fire."  (Sahih al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 3 :: Hadith 106]

✦…..► “Mahwari” Mein Mahe Ramadan Se Istefadah! ◄…..✦

Bahot si Khawateen Ramadan mein aur Bilkhusoos Aakhir Ashre mien “Mahwari” Shuru ho Jane se Sakht Zahni koft ka Shikar ho jati hain aur ye Soch soch kar Pareshan hoti hain ke Ab Aakhir Ashre ki Ibadaat, Taaq Raaton aur Laylatul Qadr ka kya bane ga?

Aisi Tamam Khawateen Darj Zail ❸ Nukati Agende pe Aml paira ho kar Laylatul Qadr Samait Aakhri Ashre ki Barkaat se Istefadah kar Sakti hain:

❶ Niyyat ki Durustgi:  Khuloos Niyyat ke sath ye Soche ke ye Sharyi Uzr Allah ki taraf se hai aur Agar ye Uzr na hota to Main Behtareen Andaz mein Ibadat mein Mashghool ho kar apne Rab ko razi karti, is Acchi Niyyat aur irade par Maqbool ibadaat ka InshaAllah Ajr o Sawab milega, Nabi Akram ﷺ ne Ghazwah Tabuk ke moqe par Irshad Farmaya ke kuch log Madina mein hamare piche Reh gaye hain Lekin ham kisi bhi Ghati ya Wadi mein (jihad ke liye) Chalen to wo Sawab mein Hamare sath hote hain, Phir Aap ﷺ ne Irshad Farmaya ye wo log hain jo Uzr ki Waja se Hamare sath Shareek nahin ho Sake. (Sahih Bukhari: 2839)

❷ Ibadaat karne Waliyon ke Sath Ta’awun: Aisi khawateen ibadaat, Taraweeh aur Tahajjud mein Masroof ghar ki Digar khawateen ke sath Ta’awun kar ke un ki ibadaat ke Barabar Ajr o Sawab hasil kar sakti hain, Ye Ta’awun un ke Kaam nimta kar, un ke liye Sahri o Iftari Tayyar kar ke, un ke Bacche Sambhal kar aur Digar tariqon se Kiya ja sakta hai.

❸ Zikr Azkar aur Duaon mein Mashghuliyat: Napaki ki Halat mein har Ibadat Mamnoo Nahin hoti Balke Zikr Azkar aur Duayen Mangi ja sakti hain, Lehaza Aisi Tamam Khawateen ibadaat se bilkul kinarah Kashi Ekhtiyar na kare Balke zikr Azkar, Durood Shareef, Shabe Qadr ki Masnoon dua aur Digar duaon mein Mashghool reh kar Aakhir Ashre, Taaq Raton aur Shabe Qadr ki Barkaat Hasil karne ki koshish Karen.
 

💝 Akad To Sab Mein Hoti hai, Par Jhukta Wahi hai Jise Rishte Ki Fikar Hoti Hai...!! 💝


✦........♥ Shabe Qadr Palene ka Aasan Nuskha ♥........✦

RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: "Shabe Qadr ko Ramadan Al-Mubarak ke Aakhir Ashre ki Taaq Raaton mein Talash karo." ► Allah's Messenger (ﷺ) said: "Search for the Night of Qadr in the odd nights of the last ten days of Ramadan." (Sahih Bukhari: 2017)

Shabe Qadr ka Ramadan ke Aakhir Ashre ki Taaq Raton mein hona Muta’yyan hai lehaza Agar Aakhir Ashre ki Taaq raton (21, 23, 25, 27, 29) mein se har har Raat ko darj Zail Aa’mal kar Liye jayen to Allah ki zaat se Bhar pur Ummid hai ke ham Shabe Qadr ki Barkaat aur Hazaar Mahinon ki Ibadat ka Sawab pa Sakenge.

 ❶ Isha aur Fajr ki Namaz ba’Jamat ada kare, (Jis ne Isha o Fajr ba Jama’at ada ki to use Puri Raat ibadat ka sawab milta hai).
❷ Teesra kalimah aur Durood Shareef ka Ehtemam karen.
❸ Kam az kam aik Parah Qur’an Majeed ki Tilawat karen.
❹ Kam se kam 2 Rakat Salaat at-Taubah Padhen.
❺ Apne Gunahon par Roro kar Allah se Muafi mangen.


💖 Hamsafar Khoobsurat Nahin Qadar Karne Wala Hona Chahiye 💖

✦.....♥ I’tikaf Sabeqa Ummaton Mein Bhi Rayej Tha ♥.......✦

⇨ "Aur Ham ne Ibrahim aur Ismail (Alahis Salam) ko ye Takeed ki ke:  “Tum Donon Mere Ghar ko un Logon ke Liye Paak karo Jo (Yahan) Tawaf karen aur I’tikaf Mein Baithen aur Ruku  aur Sajdah Baja Layen.” (Al-Quran, Surah Al-Baqarah: 125)

⇨ “And We commanded Ibrahim (Abraham) and Isma'il (Ishmael) that they should purify My House (the Ka'bah at Makkah) for those who are circumambulating it, or staying (I'tikaf), or bowing or prostrating themselves (there, in prayer).” (Al-Quran, Surah Al-Baqarah: 125)

✦........♥ “Narmi Se Pesh Aana Chahiye.” ♥........✦

Ye Lafz Surah Kahf ki 19 wi Aayat ka hai, Ye Lafz thoda Bada likha hota hai Kyun ke Yahan Quran Majeed ka Darmiyan hota hai, Quran Majeed ke Bilkul beech Yani Dil mein Aane wala Ye Lafz Hamari Puri Zindagi ke liye Model aur Rahnuma hai. Lehaza...

Narmi Zaroori hai ► Ektelaaf ke Moqe Par
Narm Lehja lazim hai ► Nasihat ki Ghadi mein
Narm Atwar lazim hain ► Ghair Muslimon ke Hamrah
Sarapa Narmi na Gazeer hai ► Waldain ke Samne
Narm khuyi Na Gazeer hai ► Burayi se Rokte Waqt
Narm Goyi Lazim hai ► Biwi ke Sath
Narm kirdar Zaroori hai ► Musalmanon mein Meil Mulaqat Mein
Narm Akhlaq Zaroori hain ► Bacchon ki Tarbiyat ke Liye

●◗►  Narmi har Lamha, Har Ghadi aur har Lahza Lazim aur Zaroori hai, Narmi Ekhtiyar karen, Aap ka Har Aml Khoobsurat ho Jayega, Warna to Bigad hi Bigad hai. ♥

✦....♥ Gunahon Se Hifazat Aur Ajr o Sawab Mein Besh Baha Izafa ♥....✦

It was narrated from Ibn ‘Abbas RadiyAllahu Anhu that: The Messenger of Allah (ﷺ) said concerning the person observing I’tikaf. “He is refraining from sin and he will be given a reward like that of one who does all kinds of good deeds.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1781]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne Mutakif ke Bare mein Irshad Farmaya: “I’tikaf karne Wala Gunahon se Mahfooz Rehta hai, (Jin Nekiyon mein wo I’tikaaf ki Waja se Shareek Nahin ho Sakta, Maslan: Janazah, Tadfeen, Iyadat Wagerah to) In mein us ke Liye Utni hi Nekiyan Likhi Jati hain Jitni karne Wale ke Liye Likhi jati hain.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1781]

✦..♥ Jannati Logon Mein Shamil Hone ka Sunheri Moqa! ♥..✦

Quran Majeed mein Ahle Jannat ki Aik sifat ye Bayan Hui: ⇨ “Wo Raaton ko kam hi Soya karte the aur Auqate Saher mein Bakhshish Manga karte the.” (Quran, Adh-Dhariyat: 17, 18)

Ahle Jannat ki Darje bala Sifat se Muttasif hone ka Ramadan Al-Mubarak mein Sunheri Moqa hai, Raton mein Hasbe Toufeeq Ibadat ka Ehtemam aur Sehri ke Waqt apne liye aur Sari Ummat ke liye Bakhshish o Maghfirat ki Duayen Mang kar Ahle Jannat mein Shamil hone ki Koshish Karen!

Allah Ham Sab ko Toufeeq Marhamat Farmaye. (Aameen)

✦.......♥ Ramadan ke Aakhri Ashrey ka I’tikaf Aur ♥.......✦
✦..........♥ Aur Pyare Rasool ﷺ ka Tarze Aml ♥..........✦

Narrated 'Aisha RadiyAllahu Anha: (the wife of the Prophet) "The Prophet (ﷺ) used to practice I`tikaf in the last ten days of Ramadan till he died and then his wives used to practice I`tikaf after him."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 33 :: Hadith 243, 2026]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain: "Nabi Kareem ﷺ Dunya se Rokhsat hone tak Ramadan Al-Mubarak ke Aakhri Ashrah ka I’tikaf Farmate rahe aur Aap ﷺ Ke Dunya se Tashreef le Jane ke Baad Aap ki Azwaje Mutahrat ne bhi I’tikaf Farmaya.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2026]

💖 Dilon Mein Rehna Seekho..Gharon Mein To Sab hi Rehte Hain 💖

✦ 17 Ramadan Al-Mubarak: Yaume Wafaat Sayyidah Aisha Siddiqah RadiyAllahu Anha ✦

✦......♥ Jibreel Ameen Alaihis Salam ka Salam! ♥......✦

`Aisha RadiyAllahu Anha said: "Once Allah's Messenger (ﷺ) said (to me), 'O Aish (`Aisha)! This is Gabriel greeting you.' I said, 'Peace and Allah's Mercy and Blessings be on him, you see what I don't see' " She was addressing Allah 's Apostle.

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 5 :: Book 57 :: Hadith 112, 3768]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain ke RasoolAllah ﷺ ne Aik Din Mujh se Farmaya: Aye Aisha! Ye Jibreel Alaihis Salam Tashreef Farma hain aur Tumhen Salaam Kehte hain, Main ne is par Jawab diya Wa’alaihissalam Warahmatullahi Wabarakatuh (Aur phir main ne kaha ke) Aap ﷺ Wo Cheez Mulaheza Farmate hain jo Mujh ko Nazar nahin Aati.

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Vol. :: Hadith 3768]


💖 Is Pyar ko Hamesha Banaye Rakhna Didi, Mujhe har Musibat Mein Apne Gale Se Lagaye Rakhna Didi 💖

No comments:

Post a Comment