Wednesday 5 July 2017

✦......♥ Ahliya Ki Mohabbat Apne Khawind Se  ♥......✦

Meri Biwi Naraz ho to Nashte mein Aawaz dekar Nahin Bulati..Chamcha khatkhatati hai, Meri Chai ka Cup Mere hath mein Nahin Pakdati..Mere Samne Rakh deti hai, Mera Egg ya Sandwich mere hath mein Nahi thamati..Mere plate mein Rakh deti hai, Kursi par Mere sath Nahin zara hat ke Baith ti hai, Mere Nashta kar lene par Tissue aage kar ke Kitchen mein Chali jati hai, Main Kaam pe Jane ke liye Niklun to Darwaze tak Chhorne Aati hai,

♥ Wo Narazgi Mein Bolna Chhorti hai, Mohabbat Karna Nahin Chhorti ♥.

Har Dost ko Apne Raaz Mat Batao, Suna Hai Dost Ke Bhi Dost Hote Hain..!

✦......♥ Kanjuson ke Liye Zillat Aamez Azab! ♥......✦

⇨ "Those who are miserly and enjoin miserliness on other men and hide what Allah has bestowed upon them of His Bounties. And We have prepared for the disbelievers a disgraceful torment." (Al-Quran, An-Nisa, 37)

Urdu Translation: Irshade Khudawandi hai: “Aise log Jo Khud bhi Kanjoosi Karte hain aur Dusron ko bhi Kanjoosi ki Talqeen karte hain aur Allah ne Apne Fazal se Jo kuch un ko De Rakha hai use Chupate hain, Ham ne Aise Na Shukron ke liye Zaleel Kar dene Wala Azab Tayyar kar Rakha hai.” (Al-Quran, An-Nisa, 37)

Aye Allah! Har Maa ki Ladon Mein Pali Betiyon Ka Naseeb Accha Karna. (Aameen)

✦....► Raste se Takleef Dah Chizen Door Karna! ◄.....✦

Allah's Messenger (ﷺ) as saying that he saw a person enjoying himself in Paradise because of the tree that he cut from the path which was a source of inconvenience to the people."

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6341, 1914]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ  ne Irshad Farmaya: “Main ne Jannat mein Aik Shaks ko Maze Udate Dekha Jis ne Raste se Aik aise Darakht ko kaat Diya tha Jis se Logon ko Takleef Pahochti thi.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6671, 1914]

Kaam Karne Walon ki Qadr Karo, Kaan Bharne Walon ki Nahin..!!

✦............♥ Mahe Shawwal ki Barkat! ♥............✦

'A'isha (Allah be pleased with her) reported: Allah's Messenger (ﷺ) contracted marriage with me in Shawwal and took me to his house as a bride during Shawwal. And who among the wives of Allah's Messenger (ﷺ) was dearer to him than I, and' A'isha liked that the women (of her family) should enter the houses as brides during the month of Shawwal.

[Sahih Muslim  :: Book 8 :: Hadith 3312, 1423]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain ke RasoolAllah ﷺ ne Mujh se Mahe Shawwal mein Nikah Farmaya aur Aap ﷺ ke Sath Meri Rukhsati bhi Mahe Shawwal mein hui, RasoolAllah ﷺ ki Azwaje Mutahrat mein se wo Konsi  Zojah hai jo Rasool ﷺ ko Mujh se Zyadah Azeez tar ho? Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha is Baat ko Mustahab Samajhti thin ke un ke Khandan ki Aurton ki Mahe Shawwal mein Rukhsati ho.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 4 :: Hadith 3483, 3548]

 ●◗► Amman Aisha RadiyAllahu Anha ne Musalmanon ko ye Paigham diya ke koi Mahina ya Din Manhoos Nahin, Tamam Mahine aur Ayyam Ba barkat hain, Agar Mahe Shawwal Manhoos hota (Jaisa ke baaz Logon ka Eteqad hai) to is Maah mein Shadi o Rukhsati ke baad Main Nabi ﷺ ki Azwaj mein Mahboob tar Zojah na Banti aur na hi Mujhe ye Fazl o Kamal milta, Ye Mahina badi Fazeelat o Ba barkat wala hai aur Main ye Pasand karti hun ke Mere Khandan ki Aurton ki Rukhsati bhi isi Maah mein ho.

Aaj ke Daur Mein Sab Se Mazboot Rishta Anghote Aur Touch Screen Ka Hai..!! 😊

✦..♥ Namaze Jumah ke Liye Umdah Libas Mukhtas Karna ♥..✦

It was narrated from ‘Abdullah bin Salam RadiyAllahu Anhu that he heard the Messenger of Allah (ﷺ) saying on the pulpit one Friday:"There is nothing wrong with anyone of you buying two garments for Friday (prayer), other than his daily work clothes."

[Sunan Abu Dawood :: Book 3 :: Hadith 1073, 1078]

●══════════════◄►═════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Salam RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Unhon ne RasoolAllah  ﷺ Ko Jumah ke din Membar Par ye Farmate Suna: "Tum Par koi Harj Nahin hai ke Jumah ke liye Apne Roz Marrah Kaam kaaj ke Kapdon ke Alawah do Kapde (Yani aik Umdah joda) Mukhtas (makhsoos) karlo."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1066]

Jis ki Maa Nahin Us ki Kya Eid Sahab 😢 Allah Ta'ala Ham sab ki Maaon ko Lambi Umr Ata karen. Aameen

✦....♥ Allah ne Bahen Jaisi Nemat De Rakhi hai To us ki Qadar Karen ♥....✦

Hajjaj Bin Yusuf ke darbaar Mein aik Aurat Aayi jis ka Khuawind, Beta aur Bhai Hajjaj ki Qaid Mein the aur Hajjaj in Sab ko Sazaye Mout dene ka Faisla kar Chuka tha, Hajjaj ne us Aurat se kaha Teeno mein se Aik ko Bacha lo to wo Aurat Boli Mere Bhai ko Chhor do, Hajjaj bola tum ne Apne Khuawind ko na Bachaya aur na hi Bete ko is ki Wajeh kya hai?

To wo Aurat boli Nikah Doosre ke Sath hoga to Khuawind Mil Jayega, Beta Phir Paida ho Jayega (Magar Bhai ko na Bachaya to) ♥ Bhai Phir Nahin Milega ♥

●◗► Hajjaj Bin Yusuf ne ye Suna to Teeno ko Aazad Kar diya Agar Allah Ta’ala ne Aap ko Bahen jaisi Nemat de Rakhi hai to us ki Qadar kare.

✦.........♥ Maahe Shawwal ke 6 Roze ♥.........✦

Abu Ayyub al-Ansari (Allah be pleased with him) reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: “He who observed the fast of Ramadan and then followed it with six (fasts) of Shawwal. it would be as if he fasted perpetually.”

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2614, 1164]

Urdu Translation: Hazrat Abu Ayyub Ansari RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Farmaya: “Jis ne Ramadan Al-Mubarak ke Roze Rakhe aur is ke Baad Maahe Shawwal mein Che (6) Nafli Roze Rakhe to use Saal bhar ke Rozon ka Sawab Milega.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2758, 2815]

💖 Betiyon ko Eidein to Un ke Maike se Aati hain Maika Maa Baap ke Dum Se Rehta hai, Ya Allah! Har Bahen ko Maike ki Hazaron Eidein Naseeb ho 💖

✦......♥ Eid ki Mubarak Baad Dene ka Tariqa ♥......✦

Hazrat Wathla RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne Eid ke din Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se Mulaqat ki aur Main ne kaha: "Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' "Allah Ta’ala hamare aur aap ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Han Han zaroor! 'Taqabbal Allaahu Minna Wa'minka' Allah paak Hamare aur Aap ke Naik Aa’maal Qubool Farmaye."

[Sunan Al-Kubra Al-Bahaqi :: Hadith 6088]

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•
Abuzar ki Janib se Tamam Chahne Walon ko Eid Mubarak
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•

●◗► Allah Subhanahu Wa Ta'ala ham Sab ke Rozon, Taraweeh, Zikr o Tilawat aur Tamam Ibadaat ko Apni Bargaah Mein Qubool Farma kar Hamen Baar Baar Ramadan Al-Mubarak ki Bahaaren aur Eid ki Sacchi Khushiyan Naseeb Farmaye. (Aameen).

✦........♥ Musalmanon ki Saal Mein 2 Eiden ♥........✦

Narrated Anas ibn Malik RadiyAllahu Anhu: When the Messenger of Allah (ﷺ) came to Medina, the people had two days on which they engaged in games. He asked: What are these two days (what is the significance)? They said: We used to engage ourselves on them in the pre-Islamic period. The Messenger of Allah (ﷺ) said: Allah has substituted for them something better than them, the day of sacrifice and the day of the breaking of the fast.

[Sunan Abi Dawud :: Book 3 :: Hadith 1130, 1134]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Jab RasoolAllah ﷺ (Makkah Mukarramah se) Madinah Munawwarah Tashreef laye to Ahle Madinah ke Liye Zamane Jahiliyat ke 2 din (Neroz aur Maherjan) Muqarrar the Jin mein Wo log Khel kood kiya Karte the.

Nabi Akram ﷺ ne un se Pucha ke ye kon se 2 Din hain? Unhon ne kaha ke ham Zamana Jahiliyat mein in Dinon mein Khel Kood o Tafreeh kiya karte the,

RasoolAllah  ﷺne Irshad Farmaya: “Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne in 2 dinon ke Badle in se Bahot Behtar 2 din Tumhen Inayat Farmaye hain: Aik Eid ul-Azha ka din aur Dusra Eid ul-Fitr ka din.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1122]

✦.......♥ Ghar ke Afrad ki Taraf se Sadaqa e Fitr ♥.......✦

Narrated Nafi` Rahimahullah said: Ibn `Umar RadiyAllahu Anhu used to give dates (as Sadaqat-ul-Fitr). Once there was scarcity of dates in Medina and Ibn `Umar gave barley. 'And Ibn `Umar RadiyAllahu Anhu used to give Sadaqat-ul- Fitr for every young and old person. He even used to give on behalf of my children. Ibn `Umar RadiyAllahu Anhu used to give Sadaqat-ul-Fitr to those who had been officially appointed for its collection. People used to give Sadaqat-ul-Fitr (even) a day or two before the `Id.

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 25 :: Hadith 587, 1511]

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Nafi Rahimahullah jo Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhuma ke Aazad kardah Ghulam hain Farmate hain ke   Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhuma Sadaqa Fitr mein Khajoor diya karte the, Aik martaba Ahle Madinah par Khajoor ka Qahet hua to Aap ne Jao ki surat mein Sadaqa Fitr ada kiya, Hazrat ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Chote, Bade (Ghar ke tamam Afrad) ki Taraf se Sadaqa Fitr diya karte the, Yahan tak ke mere Beton ki taraf se bhi Sadaqa Fitr de dete the, Neez Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Sadaqa Fitr, Un ko dete jo Qubool karte aur Eid Ul-Fitr se 1 ya 2 din Pehle dete.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1511]

●◗► Har Sahibe Nisaab Shaks par Apni taraf se aur Apni Na Balig Aulad ki Taraf se Sadaqa e Fitr ada karna Wajib hai.

✦............♥ SADAQAT-ul-FITR ♥............✦

Narrated Abdullah ibn Abbas RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (ﷺ) prescribed the sadaqah (alms) relating to the breaking of the fast as a purification of the fasting from empty and obscene talk and as food for the poor. If anyone pays it before the prayer (of 'Id), it will be accepted as zakat. If anyone pays it after the prayer, that will be a sadaqah like other sadaqahs (alms).

[Sunan Abi Dawud :: Book 9 :: Hadith 1605, 1609]

Urdu Translation:  Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai: “RasoolAllah  ﷺ ne Sadaqa e Fitr ko Farz Qarar diya taa ke Rozah Daar ki (Rozon ke dauran) Fuzool baton aur Fahesh kalami se Safayi ho jaye aur Masakeen ke liye Khane Pine ka Bandobast ho jaye, Jo koi Sadaqa e Fitr ko Namaz se pahle Ada karle to ye Maqbool Sadaqa e Fitr hai aur jo Namaz ke baad ada kare to ye Aam Sadaqat mein se Aik Sadaqah hoga.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1596]

❤️ Beti Wo Phool Hai Jo Har Bagh Mein Nahin Khilta ❤️

✦............♥ YA ALLAH  ♥............✦

● Hamen Dusron ki Mohtaji se Bacha.
● Hamen kisi Par Bojh na Bana.
● Hamen Apne La Mahdood Khazanon se Ata Kar.
● Aur Marte Waqt Hamari Zubanon Par Kalmae Shahadat Jari Farma. (Aameen)

💖 Izzat.! Ke Rishte Mohabbat Se Badh Kar Hote Hain..!  💖

✦..........♥ Shabe Qadr ki Khusoosi Dua ♥..........✦

Narrated Aishah RadiyAllahu Anha: "I said: ‘O Messenger of Allah ﷺ what is your view if I know when the Night of Al-Qadr is, then what should I say in it?" He ﷺ said: ‘Say:

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
'Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul-Afwa Fa’fu Anni'

"O Allah, indeed You are Pardoning, You love pardon, so pardon me"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3513]

●═══════════════◄►══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Aishah RadyAllahu Anha Farmati hain ke Main ne Aap ﷺ se Arz kiya: “Ya RasoolAllah! Agar mujhe Shabe Qadr ka Pata Chal Jaye to Main kya Dua Mangun? Huzoor  ﷺ ne Irshad Farmaya ke ye Dua Padho:

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي
'Allahumma Innaka Afuwwun Tuhibbul-Afwa Fa’fu Anni'

''Aye Allah! Beshak Aap Muaaf karne Wale hain aur Muaaf karne ko Pasand Karte hain, Pus Mujhe bhi Muaaf Farmaden.''

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1438, 3513]

1 comment: