Tuesday 19 September 2017

✦....♥ Naik Kamon Mein Baham Ta’awun Karne Wale Miyan Biwi! ♥....✦

●◗► Neki ke Kamon mein Baham Ta’awun karne wale Miyan Biwi Allah Subhanahu Wa Ta'ala  ko Bahot Pasand hain, Aik Hadis ka Mafhoom hai ke Allah us Shohar ya Biwi Par Rehmat Nazil Farmate hain jo Namaz Tahajjud ke liye uthe aur Apne Shareeke Hayaat ko bhi uthaye aur Neend ka Ghalba door karne ke liye Pani ke Chinte Mare, Allah Subhanahu Wa Ta'ala Tamam Zaujain ko Aik Dusre ke Sath Naik Kamon mein Ta’awun karne ki Toufeeq Naseeb Farmaye. (Aameen)

●◗► Maali Halaat Jaise bhi hon, Apne Ghar mein Aik Sadaqah Box Banalen, Phir Chahe Aik Rupya hi Kyun na ho, Rozana Hasbe Toufeeq us mein Dalte Rahen, aur Maah ke Aakhir mein Jama Shudah Raqam kisi Mustahiq ko Izzat o Waqar ke Sath Pesh Karden…. Aur Phir Maali Kushadgi, Qalbi itminaan aur Har Mua’mle Mein Sahulat o Aasani ka Apni Aankhon se Mushahedah Karen.

🍃 Dilon Mein Jagah Na Rahe To Lehjon Mein Kadwahaten Aahi Jati Hain 🍃

✦.....► Hadya Ya Gift Dekar Wapas Lene Wala! ◄.....✦

Narrated Ibn `Abbas RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) said, "One who takes back his gift (which he has already given) is like a dog that swallows its vomit."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Book 47 :: Hadith 762 , 2589]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhuma se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Apna Hadya (Gift), Wapas Lene Wala us Kutte ki Tarah hai Jo Qai kar ke Dobarah ise Chaat Jata hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 2589]

🌸 Aap Jitna Zyadah Waqt Quran ki Tilawat Mein Kharch Karenge Aap Ke Waqt Mein Itni hi Barkat Hogi 🌸

✦.......► Waldain Ko Hargiz Na Rulayen! ◄.......✦

Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma se Marwi hai ke Aik Shaks Nabi Kareem ﷺ ki Khidmat mein Bay’at ke liye Hazir hue aur Kehne Lage ke Main Hijrat par Aap se Bay’at karne ke Liye Aaya hun aur (Main ne Badi Qurbani di hai ke) Apne Waldain ko Rota hua Chhod kar Aaya hun,

Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Wapas Jao aur Jaise Unhen Rulaya hai Usi Tarah Unhen Hansao.”

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 7255]

عن عبد الله بن عمرو قال : جاء رجل إلى النبي صلى الله عليه و سلم يبايعه على الهجرة فقال : إني جئت أبايعك على الهجرة و تركت أبوي يبكيان فقال : ارجع إليهما فاضحكهما كما أبكيتهما (المستدرک علی الصحیحین للحاکم : ، 7255 حدیث صحیح)

✦.......► Khoob Tehqeeq Ke Baad Rishta Tai Karen! ◄.......✦

Jo Mard Zaheri Halat se Musalman Samjha Jaye Lekin Aqayed us ke Kufr tak Pohche hue hon Us se Musalman Aurat ka Nikah Durust Nahin Aur Agar Nikah ho Jane ke Baad Aqayed Kharab ho Jayen to Nikah Toot jata hai, Jaise Aaj kal Bahot se Aadmi apne Mazhab se Na waqif Science ke Asar se Apne Aqayed Tabah kar lete hain, Lehaza Ladki Walon Par Wajib hai ke Payaam Aane ke Waqt Awwal Aqayed ki Tehqeeq Kar liya Karen Tab Zuban den.

(Maariful Quran Az Mufti Shafi Usmani Rahimahullah, Tafseer Surah Al-Baqarah, Ayat: 221)

<3 7 Din Mein Waldain ko Kandhon Par Utha Kar Burma Se Bangladesh Pahochne Wala Ba Himmat Naujawan! <3

🌸 Shohrat To Janaze Ke Din Pata Chalegi, Paisa To Har Koi Kama Leta Hai..!! 🌸
✦.....♥ Jismani Dard se Najat ka Nabwi Nuskha ♥.....✦

Uthman b. Abu al-'As Al-Thaqafi RadiyAllahu Anhu reported that he made a complaint of pain to Allah's Messenger (ﷺ) Thereupon Allah's Messenger (ﷺ) said:

Place your hand at the place where you feel pain in your body and say Bismillah (in the name of Allah) three times and seven times

أَعُوذُ بِاللَّهِ وَقُدْرَتِهِ مِنْ شَرِّ مَا أَجِدُ وَأُحَاذِرُ ‏"

A'udhu billahi wa qudratihi min sharri ma ajidu wa uhadhiru (I seek refuge with Allah and with His Power from the evil that I find and that I fear).

[Sahih Muslim :: Book 26 :: Hadith 5462]

●═══════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat Uthman bin Abu al-'Aas RadiyAllahu Anhu ne Apne Jism Mein dard ki Shikayat ki, RasoolAllah ﷺ ne un se Irshad Farmaya:

"Apne Jism ki Dard wali Jagah par hath Rakh kar Teen Martaba Bismillah Padho phir 7 Martaba ye Dua Padh lo:

أَعُوذُ بِاللَّهِ وَقُدْرَتِهِ مِنْ شَرِّ مَا أَجِدُ وَأُحَاذِرُ ‏"

A'udhu billahi wa qudratihi min sharri ma ajidu wa uhadhiru (Tarjumah: Main Allah ke jalal aur us ki Qudrat ki Panah Talab karta hun is Bimari ke shar se jo Mujhe is waqt lahaq hai aur Jis ke Aayinda hone ka Khadsha hai)."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5737, 5867]

✦..........► Riyakari Chup Nahin Sakti! ◄..........✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: "Whoever does a good deed in order to show off, Allah will expose his intentions on the Day of Resurrection (before the people).”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 9 :: Book 89 :: Hadith 266,  7152]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jo Logon ko Dikhlane aur Shohrat ke Liye (Khair ke) Kaam Karega to Allah Subhanahu Wa Ta'ala Qayamat ke Din us ki Riyakari ka Haal Logon ko Suna Dega.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 7152]

✦.........► Maut Ko Hamesha Yaad Rakho ◄.........✦

Abu Hurairah RadiyAllahu  Anhu  Narrated that the Messenger of Allah (ﷺ) said: "Increase in remembrance of the severer of pleasures." Meaning death.

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 10 :: Hadith 2307]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Farmaya: “Maut ko Kasrat se Yaad kiya karo Jo Tamam Lazzat ko Khatam kar Dene Wali hai.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 188, 2307]

❤️ Kitne Khush Qismat Hote Hain Wo Log Jin ki Mohabbat Ka Anjam Qubool Hai..Qubool Hai.. Qubool Hai.. Pe Hota Hai ❤️

❤️ Sarhaden Mulkon Ki Hoti Hain Dilon Ki Nahin ❤️

✦...► (BURMA) Mazalim Dhane Walon Ke Liye Bad’dua! ◄...✦

Allah's Messenger (ﷺ) said:

‏ "‏ اللَّهُمَّ مُنْزِلَ الْكِتَابِ سَرِيعَ الْحِسَابِ، اللَّهُمَّ اهْزِمِ الأَحْزَابَ، اللَّهُمَّ اهْزِمْهُمْ وَزَلْزِلْهُمْ ‏"

"O Allah! The Revealer of the Holy Book, the Swift-Taker of Accounts, O Allah, defeat Al-Ahzab (i.e. the clans), O Allah, defeat them and shake them."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 4 :: Book 52 :: Hadith 184, 2933]

●═══════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya:

‏ "‏ اللَّهُمَّ مُنْزِلَ الْكِتَابِ سَرِيعَ الْحِسَابِ، اللَّهُمَّ اهْزِمِ الأَحْزَابَ، اللَّهُمَّ اهْزِمْهُمْ وَزَلْزِلْهُمْ ‏"

“Aye Allah! Kitab Nazil Karne Wale! Hisab Jaldi Lene Wale! (Mushrikeen ke) Girohon ko Shikist de! Unhen Shikist de! Aur Unhen (Azab ki Shiddat Se) Jhinjhod kar Rakh De!.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 2933]

💖 Agar koi Aap ko Rokta hai Tokta Hai Waqt Mangta hai Hisab Talab Karta Hai To Yaqeen Janen Aap Bahot Naseeb Wale Hain Kyun ke Qismat Walon Ko Hi Fikr Karne Wale Milte Hain 💖

✦..► Raza Mandi Ke Baghair Kisi Ka Maal Halal Nahin! ◄..✦

The Messenger of Allah ﷺ said: “It is not permissible for you to take the property of a Muslim except with his consent.”  (Narrated by Ahmad: 201172)

Urdu Translation: RasoolAllah  ﷺ ne Irshad Farmaya: “Koi bhi Apne Musalman Bhai ki Koi Cheez Us ki Ijazat Ke Baghair Istemal Na kare.” (Musnad Ahmad: 201172)

●◗► Is Hadees se Maloom Hota hai ke Kisi ki Privacy Mein Dakhal Andazi ki Shari’at Ijazat Nahin Deti, Biwi ke Liye Jayez Nahin hai ke Apne Shohar ke Mobile ko Baghair Ijazat ke Padhe, Shohar ke liye Jayez Nahin hai ke Biwi ke Mobile ko Baghair Ijazat Dekh na Shuru Karde.

No comments:

Post a Comment