Wednesday, 7 February 2018

✦......► Protocol ke Shauqeen Hazraat Ka Thikana! ◄......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) saying: 'Whoever wishes that he be received by men standing then, let him take his seat in the Fire.'"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 41 :: Hadith 2755]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks ye Pasand kare ke Log (us ki Aamad Par) Us ke liye Ba Adab Khade ho Jayen to use Chahiye ke wo Apna Thikana Jahannam Mein Banale.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 655, 2755]

✦......► 2 Logon Ki Namaz Qubool Nahin! ◄......✦

Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: 2 Log Aise Hain jin ki Namazen un ke Saron se Uphar bhi Nahin Jaati (Yani Qubool Nahin hotin): 

❶ Wo Ghulam Jo Apne Aaqa se Bhag Gaya ho, Yahan Tak ke Wapas Aajaye.

❷ Wo Aurat Jo Apne Shohar ki Nafarman ho Yahan Tak Ke Wo Nafarmani se Baaz Aajaye.

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 7330]

✦...........♥ Dil Jeetne Ka Nuskhah! ♥...........✦

RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Tum Logon (Ke Dilon) Tak Maal ke Zariye Rasayi Hasil Nahin Kar Sakte Balke Khandah Paishani (Yani Umdah Akhlaq) Ke Zariye Tum Logon (ke Dilon) Tak Rasayi Hasil Kar Sakte ho.” (Musnad Abi Ya’la: 6550)

► Rasayi – Pahonch.

🌸 Har Shaks Ko is Qabil Hona Chahiye Ke Apni Bacchi Ka Nikah Khud Padhaye, Jo Dua Bacchi Ke Liye Baap ke Dil Se Nikle gi Wo Kisi Aur ke Dil Se Kaise Nikal Sakti Hai 🌸

✦......♥ Mukhlis Dost Naseeb Walon Ko Milta Hai! ♥......✦

Us ne Mobile uthaya aur apne Behtareen Dost se Rabta kiya aur Baghair kisi Tamheed ke kaha “Meri Ammi Jaan Sakht bimar hai Aur Mere Paas Dawa ke liye Paise Nahin hai.” Dost ne us ki Baat Puri hone se Pehle Jawab diya “Tum mujh se Asr ke Baad Rabta karo..” Aur Call ko Munqate kardi. Us ne Asr ke baad Dost ka Number Milaya to Phone band mila, Ab wo bechain ho Gaya aur Apni Maa ke dawa ke Husoosl ke liye kayi Nakam koshishen Karne ke Baad Jhuke hue Sir aur Dukhe hue Dil ke Sath Ghar Wapas gaya, Mukhtalif Andeshon mein Ghira hua jab Apni Waldah ke kamre mein Dakhil hua to wo Pur sukoon Neend so Rahi hai, aur Dawa ka Thaila un ke Sarhane Rakha hai, Us ne Apni Bahen se Pucha “Ammi Jaan ki Dawa kon Laya? Bahen ne Jawab diya “Aap ke Fulan Dost.”

●◗► Wo Fauran Ghar se Nikla aur usi Dost ke ghar Pohncha us se mila, Purnam Aankhon se us ka Shukriya Ada kiya “Main ne Asr ke baad Aap se Rabta kiya lekin Aap ka Phone Band mil Raha tha? “Dost ne us ke kandhe Par Hath Rakhte hue Kaha main ne Mobile Bech diya aur us Raqam se Aap ki Waldah ki Dawa khareed li.” Dosti Qurbani ka Naam hai, Aap Dunya ke Ameer Tareen insan hain Agar Aap ke Paas Aik Mukhlis Dost hai, Aise Dost ki Qadar kijiye, Use khone na Dijiye.

❤️ Hazaron Aaib Hain Mujh Mein Mujhe Maloom Hai Ye Bhi, Magar Aik Shaks Hai Nadaan Mujhe Anmol Kehta Hai ❤️

✦...........► Suraj aur Chand Grahan ◄...........✦
✦....► Qudrate Khudawandi Ki Nishani ◄....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: The sun and the moon are two signs among the signs of Allah These do not eclipse either on the death of anyone or on his birth. So when you see them, hasten to prayer.

[Sahih Muslim :: Book 4 :: Hadith 1966, 901]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Beshak Suraj aur Chand Allah ki Nishaniyon mein se Do Nishaniyan Hain, Kisi ke Marne Jine se un ko Grahan Nahin Lagta Pus Jab Tum in Nishaniyon ko Dekho to Namaz Padho.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 2 :: Hadith 2089]

 ●◗► Suraj aur Chand Grahan ke Waqt 2 Rakat Namaz Masnoon hai, Suraj Grahan ki Namaz ko “Namaze Kusoof” aur Chand Grahan ki Namaz ko “Namaze Khusoof” Kaha jata hai, Aaj (31-01-2018) Chand Grahan hai Lehaza Ahle Hindustan 2 Rakat Namaz Infiradi Taur Par Baghair Jamat ke Padhe aur Taubah Astaghfar ka Ehtemam Karen.

🌸 Bahot Masoom Hote Hain Wo Log Jo Dair Se Roothte Hain Aur Jaldi Maan Jate Hain 🌸

✦.....♥ Bewaon aur Miskinon Ke Kaam Aane Wale! ♥.....✦

The Prophet (ﷺ) said: "The one who looks after a widow or a poor person is like a Mujahid (warrior) who fights for Allah's Cause, or like him who performs prayers all the night and fasts all the day."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 64 :: Hadith 265, 5353]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Bewaon Aur Miskeenon ke Kaam Aane Wala Allah ke Raste Mein Jihad karne Wale ke Barabar hai, Ya Raat bhar Ibadat aur Din ko Roze Rakhne Wale ke Barabar hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7:: Hadith 5353]

💖 Dunya Ke Sabhi Log Khoobsurat Hain Badsoorti Hamare Rawayyon Aur Sonch Mein Hai..!! 💖

✦....♥ Jo Apne Liye Pasand Karen Wahi Dusron Ke Liye Bhi! ♥....✦

The Prophet (ﷺ) said, "None of you will have faith till he wishes for his (Muslim) brother what he likes for himself."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 1 :: Book 2 :: Hadith 13]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya:  “Tum Mein se Koi Shaks us Waqt Tak Kamil Imaan Wala Nahin ho Sakta Jab tak ke Wo Apne Bhai ke Liye bhi Wahi Kuch Pasand Na Kare Jo wo Apne Liye Pasand Karta ho.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 13]

❣️ WhatsApp Ho Ya Zindagi Log Hamesha Status Hi Dekhte Hain❣️

✦.....► Dunya Mein Bhi Pakad Aur Aakhirat Mein Bhi! ◄.....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "There is no sin more worthy of Allah hastening the punishment upon its practitioner in the world – along with what is in store for him in the Hereafter – than tyranny and severing the ties of kinship.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 11 :: Hadith 2511]

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Baghawat aur Rishte Nate Todne ke Alawah koi Gunah Aisa Nahin ke Allah Ta’ala us ke karne Wale ko Dunya Mein bhi Jald Saza Den (aur) Aakhirat mein bhi us ke liye Azab Tayyar Rakhen.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 400]

No comments:

Post a Comment