Wednesday 28 February 2018

✦......♥ Pyar Bhare Alfaz Se Ahliya Ko Pukaren! ♥......✦

Ahadees Mubaraka se Maloom hota hai ke RasoolAllah Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha ko Mohabbat aur Diljoyi Mein Kabhi “Aish” aur Kabhi “Humaira” ke Naam se Pukara Karte the.

(Sahih al-Bukhari: 3768, Sunan Ibn Majah: 2474, Mishkat Al-Masabih: 3007)

♥ Ahliya ko Mohabbat aur Pyar Bhare Namon Se Pukarna RasoolAllah ki Mubarak Sunnat Hai ♥

✦...► (Ghouta) Mazalim Dhane Walon Ke Liye Bad’dua! ◄...✦

Allah's Messenger (ﷺ) said:

‏ "‏ اللَّهُمَّ مُنْزِلَ الْكِتَابِ سَرِيعَ الْحِسَابِ، اللَّهُمَّ اهْزِمِ الأَحْزَابَ، اللَّهُمَّ اهْزِمْهُمْ وَزَلْزِلْهُمْ ‏"

"O Allah! The Revealer of the Holy Book, the Swift-Taker of Accounts, O Allah, defeat Al-Ahzab (i.e. the clans), O Allah, defeat them and shake them."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 4 :: Book 52 :: Hadith 184, 2933]

●═══════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya:

‏ "‏ اللَّهُمَّ مُنْزِلَ الْكِتَابِ سَرِيعَ الْحِسَابِ، اللَّهُمَّ اهْزِمِ الأَحْزَابَ، اللَّهُمَّ اهْزِمْهُمْ وَزَلْزِلْهُمْ ‏"

“Aye Allah! Kitab Nazil Karne Wale! Hisab Jaldi Lene Wale! (Mushrikeen ke) Girohon ko Shikast de! Unhen Shikast de! Aur Unhen (Azab ki Shiddat Se) Jhinjhod kar Rakh De!.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 2933]

✦.......► Raat Ke Waqt Safar Ki Barkat! ◄.......✦

Anas RadiyAllahu Anhu reported the Apostle of Allaah (ﷺ) as saying “Keep to travelling by night, for the earth is traversed (more easily) by night.

[Sunan Abi Dawud :: Book 14 :: Hadith 2565, 2571]

Urdu Translation: RasoolAllah (ﷺ) ne Irshad Farmaya: “Raat ke Waqt Safar Kiya Karo! Kyun ke Raat mein Zameen Lapet di Jati hai (Yani Safar Mein Aasani ho Jati hai, Mosam ke Mo’tadil o Mutwazan aur Sawar o Sawari ke Chaq o Choband hone ki Wajah se Musafat Jaldi Tai ho Jati hai).”

[Urdu Ref :: Sunan Abi Dawud :: Vol. 2 :: Hadith 799, 2571]

💔 Aitebar Todne Wale Ki Yahi Saza Kafi Hai Ke Us Ko Zindagi Bhar Ke Liye Khamoshi Tohfe Mein Dedi Jaye 💔

✦..► Peshab Ke Chinton Se Na Bachna Azabe Qabr Ka Sabab ◄..✦

The Prophet (ﷺ) once passed by two graves and said, "These two persons are being tortured not for a major sin (to avoid). One of them never saved himself from being soiled with his urine, while the other used to go about with calumnies (to make enmity between friends)." The Prophet (ﷺ) then took a green leaf of a date-palm tree, split it into (pieces) and fixed one on each grave. They said, "O Allah's Apostle! Why have you done so?" He replied, "I hope that their punishment might be lessened till these (the pieces of the leaf) become dry."

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 4 :: Hadith 218]

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Aik Martaba Nabi Akram ﷺ 2 Qabron ke Paas se Guzre to Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: "In Donon Qabr Walon ko Azab diya ja Raha hai aur kisi Bade Gunah ki Waja se Azab Nahin ho Raha, Balke in mein se Aik Pehab se Ehtiyat Nahin Karta tha (Yani Peshab ke Qatron aur Chinton se Bachne ka Ehtemam Nahin karta Tha) Jab ke Dusra Chughal khori kiya Karta tha.”

Phir Aap ﷺ ne Aik Hari Tehni le kar Beech se us ke do Tukde kiye aur har Aik Qabr Par Aik Tukda Gaad Diya, Logon ne Pucha ke Ya RasoolAllah ﷺ! Aap ne Aisa kyun kiya? Aap ﷺ ne Irshad Farmaya: “Shayad Jab tak ye Tehniyan khushk Na hon in Donon par Azab mein Kuch Takhfeef Rahe.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 218]

💖 Bahot Khush Naseeb Hoti Hai Wo Ladkiyan Jin Ke Paas Bahen Jaisi Dost Hoti Hai 💖
✦......► Bus Itna Yaad Rakh, Tu Khaak Hai! ◄......✦

Man ki Mail ko Khatam Karne ke Liye Sab se Pehle Apni “Main” ko Khatam karo Aur “Main” ko Khatam Karne ke Liye Aajiz banna Zaroori hai aur Aajiz banne ke liye ye Zaroori hai ke tu Apni Hasti tak Bhool ja ke tu Kya hai Bus Itna Yaad Rakh Tu Khaak hai Khaak Par hai aur Tujhe Khaak mein hi Jana hai.

Aajiz - Bebas, Bechara, Khaak pa.

✦.......♥ Nemat Ke Asrat Nazar Aane Chahiyen! ♥.......✦

"The Messenger of Allah (ﷺ) said: 'Indeed Allah loves to see the results of his favors upon His Slaves.'"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 41 :: Hadith 2819]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Bila Shuba Allah Ta’ala Apne Bande Par Apni Nemat ke Asrat ko Dekhna Pasand Farmate Hain.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. :: Hadith 723, 2819]

●◗► Allah ki di hui Nematon aur Sahuliyat ko In’aam Samajh kar Istemal karna Chahiye aur Fakhr, Dikhlawa aur Badayi jatane ke Jazbat se Bachte hue Munasib Andaz mein Nemat ka izhar bhi Karna Chahiye.

🍁 Jahan Narazgi Ki Qadar Na Ho, Wahan Naraz Hona Chor Dena Chahiye 🍁

✦......► Dunyawi Taleem Mamnoo Nahin, Lekin!!! ◄......✦

“Main Ye Nahin Kehta ke Dunyawi Taleem hi Na di Jaye, Lekin Pehle Musalman to Banaya Jaye, Pehle ye to Maloom ho Ke

● Main Kaun hun?
● Meri Manzil Kya hai?
● Mujhe Kahan Jana hai?
● Mujhe Kis ne Bheja hai?
● Kyun Bheja hai?

Jab Ye Samajh Aajaye to Phir Doctor Banen, Engineer Banen, Jo Marzi Banen, Lekin Pehle Musalman to Banen.” (Az Khutbat Maulana Tariq Jameel Sahab)



❤️ Baap Aik Aisa Shajar Hai Jis Ke Saye Mein Betiyan Raaj Karti Hain ❤️

✦.........► Dewar aur Jeth to Mout Hain! ◄.........✦

Allah's Messenger (ﷺ) as saying: "Beware of getting, into the houses and meeting women (in seclusion). A person from the Ansar said: Allah's Messenger, what about husband's brother, whereupon he (ﷺ) said: Husband's brother is like death."

[Sahih Muslim :: Book 26 :: Hadith 5400, 2172]

Urdu Translation: Rasool Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “(Na Mahram) Aurton ke Paas Jane Se Bacho!” Aik Ansari Sahabi Farmane Lage: Ya RasoolAllah! Khawind ke Bhaiyyon  (Dewar aur Jeth Wagherah) Se Mutalliq Aap ﷺ ka Kya  Hukum hai?         RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: "Khawind ke Bhai To Maut hain. (Yani in Se Pardah Karne Aur Door Rehne ka To Bahot Zyadah Ehtemam karna Chahiye)."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5674]

●◗► Hadees Baala o Digar Ahadees se Wazeh hai ke Dewar aur Jeth se bhi Pardah Farz hai, Magar Aaj kal Mustarke Khandani Nizam mein Aurat ke liye Ghar mein Hamesha Naqab laga kar Rakhna Zaroori Nahin Balke Aurten Aise Gharon mein Badi Chadar Wagerah ka istemal karen Taa ke Bawaqte zarurat Ghoonghat kar ke Chehra Chupaya Ja sake, isi Tarah Ghar mein Na mahram Mard o Khawateen Nazren jhuka ke Rakhen aur Aapas mein Hansi Mazah aur be Takallufana Guftagu se Ijtenab karen, Naiz Mard Hazrat ghar mein Dakhil hote waqt ijazat len ya Khankhar len ya Pairon ki Chaap aur Aahat ko Zara buland Karden taa ke Ghar ki Masturaat ko Aane ki ittela ho Jaye, in Umoor ke Ehtemam se Mustarka khandani Nizam mein bhi Parde ke hukum ki Baja Aawari ke Sath sath Gharelu kaam kaaj Ba’aasani sar Anjam diye ja skate Hain.

❤️ Izzat Ho To Mohabbat Ho Hi Jati Hai, Izzat Na Ho To Mohabbat Bhi Kho Jati Hai ❤️

✦...........♥ Qeemti Aur Sunehri Baat! ♥...........✦

Misr ke Mashhoor Aalim aur Adeeb Shaikh Ali Tantawi Aik Jaga badi Qeemti Baat Kehte hain, Farmate hain: 

Jo log hamen Nahin Jante Un ki Nazar mein ham Aam hain, Jo Ham se Hasad rakhte Hain Un ki Nazar mein Ham Maghroor hain, Jo hamen Samajhte hain Un ki Nazar mein Ham Acche hain, Jo ham se Mohabbat karte Hain Un ki Nazar mein ham Khaas Hain, Jo ham se Dushmani Rakhte hain un ki Nazar mein Ham Bure hain, Har shaks ka Apna aik Alag Nazarya aur Dekhne ka Tariqa hai, 

●◗► Lehaza Dusron ki Nazar Mein Accha Banne ke Piche Apne Aap ko mat Thakayye, Allah Ta’ala Aap se Razi ho Jaye Yahi Aap ke liye Kafi hai, Logon ko Razi Karna Aisa Maqsad hai Jo kabhi Pura Nahin ho Sakta, Allah Ta’ala ko Razi karna Aisa Maqsad hai jis ko Chhoda Nahin Ja Sakta, To jo Cheez mil Nahin Sakti use Chhor kar Wo Cheez Pakdiye Jise Chhoda Nahin Ja Sakta.

🌸 Jaise Jaise Umr Guzarti Jati Hai Ehsas Hone Lagta Hai, Waldain Har Cheez Ke Bare Mein Bilkul Theek Kehte The 🌸

✦........►Aurten Khufya Cameras Se Bachen ◄........✦

Narrated Abu Al-Malih Al-Hudhali: That some women from the inhabitants of Hims, or from the inhabitants of Ash-Sham entered upon 'Aishah, so she said: "Are you those whose women enter the Hammamat? I heard the Messenger of Allah (ﷺ) saying: 'No woman removes her garments in other than the house of her husband except that she has torn the screen between herself and her Lord.'"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 5 :: Book 41 :: Hadith 2803]

Urdu Translation: Ahle Hims ya Ahle Sham ki Aurten Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha ke Hujre Mein Dakhil Huyin to Hazrat Aishah RadiyAllahu Anha ne Farmaya: Tum hi Wo Log Ho Jin ki Aurten (Awami) Hamamon Mein Jati Hain? Main ne Nabi Akram ﷺ Ko Irshad Farmate hue Suna: “Jis Aurat ne Bhi Apne Khawind Ke Ghar ke Alawah Kahin Aur Apne Kapde Utare to Us ne Apne aur Allah Ta’ala ke Darmiyan Parde ko Phad Dala.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 705, 2803]

●◗► Aurat ko Badan Chupane ka Sakhti se Hukum hai, Hatta ke Tanhayi wali Jaga Mein bhi Bila Zaroorat Shadidah Kapde Utarne ki Ijazat Nahin, Albatta kisi Qareebi Rishtedaron ke Ghar Bawaqte Zarurat kapde Tabdeel kiye Ja sakte Hain.

Aaj ki Aurten Fashionable, Raushan Khayal aur Modern banne ke Bajaye Agar Shari’at Par Aml shuru Karden to Apni Iffat, Namoos aur Izzat Bacha Sakti hain, Kyun ke Aaj kal Aurton ke Fitness Club, Sports Club, Beauty Parlours aur Kapdon ki Dukanon ke Dress Tabdeel karne ki Jagahon mein Khufya Camera Nasb hote Hain, Jin ke Zariye Badi Tadad mein Barhana Tasaweer aur Videos bana kar Internet Par Shaye ki ja Rahi hai.

No comments:

Post a Comment