Thursday, 27 February 2020

Coronavirus Se Bachao Ke Aamal!


✦...........► Coronavirus Ke Hawale Se ◄...........✦
✦..► Tashwish Aur Dehshat Na Phailayyen! ◄..✦

Sanpon Ki Lag Bhag 3000 Aqsam Mein Se Sirf 200 Aqsam Ke Sanp Aise Hain Jin Ka Katna Insan Ke Liye Muhlik Sabit Ho Sakta Hai, Research Se Pata Chalta Hai Ke Sanp Ke Katne Ke Baad Beshtar Amwat Zaher Se Nahin Balke Sanp Ke Khof Se Hoti Hain. 

Hindustan Mein Bhi Corona Virus Ke Hawale Se Yahi Surate Haal Banti Ja Rahi Hai, Zyadah Tar Log Is Ki Dehshat Se Hi Zehni Amraz Ka Shikar Ho Rahe Hain.

Lehaza Tashweesh Aur Dehshat Phailane Ke Bajaye Aagahi Aur Ehtiyati Tadabeer Ko Phailayyen, Masnoon Duaon Ka Ehtemam Karen Aur Allah Ta’ala Ki Zaat  Par Bharosa Rakhen.


✦.............► Muqame Afsos! ◄.............✦

Subah Uthne Ke Baad Hamara Pehla Kaam: WhatsApp Check Karna, Facebook Wall Check Karna.

●◗► Magar Qurane Kareem Jo Hamare Liye Azeem Tohfa Aur Hamare Dunyawi o Ukhrawi Masayel Ka Hul Hai, Use Padhne Ke Liye Hamare Paas Na Subah Waqt Hai Aur Na Shaam Ko.


Yaa Arhamar Rahimeen! Corona Virus Se Puri Insaniyat Ki Hifazat Farma Bilkhusoos Mutasirah Shahron Aur Mumalik Ke Bashindon Ko Is Se Najat Ata Farma. (Aameen)


INDIA New Delhi: Inteha Pasand Masajid Par Chadh Daude, Minaar Tod Dale, Aag Lagadi Aur Bharti Parcham Minaron Par Aawezan Kar Ke Muslim Aqliyat Ke Hawale Se Bharti Riyasati Policy Wazeh Kardi.

Allah Subhanahu Wa Ta'ala  Bharti Musalmanon Ki Ghaib Se Madad o Nusrat Farmaye Aur Inteha Pasandon Ke Mazalim Se Mazloom Musalmanon Ki Hifazat Farmaye. Aameen


✦...► Zalimon Ko Waqti Dheel Aur Phir Zabardast Pakad ◄...✦

Narrated Abu Musa RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (ﷺ) said, "Allah gives respite to the oppressor, but when He takes him over, He never releases him." Then he (ﷺ) recited:-- "Such is the seizure of your Lord when He seizes (population of) towns in the midst of their wrong: Painful indeed, and severe is His seizure.' (11.102)

[Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Book 60 :: Hadith 208]

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Rasool Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Allah Ta’ala Zalim Ko Kuch Waqt Ke Liye Muhlat Dete Hain, Magar Jab Zalim Ko Pakad Lete Hain To Phir Nahin Chhodte. 

Phir Aap ﷺ Ne Ye Aayat Tilawat Farmayi: (Tarjuma): "Aur Jo Bastiyan Zalim Hoti Hain, Tumhara Rab Jab Un Ko Girift Mein Leta Hai To Us Ki Pakad Aisi Hi Hoti Hai, Waqeyi Us Ki Pakad Badi Dardnaak, Badi Sakht Hai."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Hadith 4686]



✦..........► Zalimon Ko Zulm Se Roko ◄..........✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "Help your brother whether he is an oppressor or an oppressed," A man said, "O Allah's Messenger (ﷺ)! I will help him if he is oppressed, but if he is an oppressor, how shall I help him?" The Prophet (ﷺ) said, "By preventing him from oppressing (others), for that is how to help him."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 9 :: Book 85 :: Hadith 84, 6952]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Apne Zalim Ya Mazloom Bhai Ki Madad Karo, Aik Shaks Ne Arz kiya: Ya RasoolAllah ﷺ! Mazloom Ki Madad Karna To Samajh Mein Aata Hai, Lekin Zalim Ki Kis Tarah Madad Karun? Aap ﷺ Ne Farmaya: Zalim Ko Zulm Se Rok Do, Yehi Us Ki Madad Hai.”

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 6952]


✦...♥ Mahe Rajab Ke Aaghaz Par Masnoon Dua Ka Ehtemam! ♥...✦

●◗► Aaj 25 February 2020 Baroz Mangal Ki Sham Ko Rajab Ka Chand Dekh Kar Maahe Rajab Ki Masnoon Dua Padhne Ka Ehtemam Farmayyen.

Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Jab Rajab Ka Mahina Shuru Hota To RasoolAllah        Ye Dua Farmaya Karte The:

اَللّهُمَّ بَارِكْ لَنَا فِى رَجَبَ وَ شَعْبَانَ وَ بَلِّغْنَا رَمَضَان
"Allahumma barik lana fi Rajab wa Sha'ban wa ballighna Ramadan"

Aye Allah! Hamare Liye Rajab Aur Sha’ban Ke Mahinon Mein Barkat Ata Farma Aur Hamen Ramadan Ka Mahina Naseeb Farma. (Al-Mu’jamul Al-Sagheer Al-Tabarani: 3939)


●◗► Raat Sone Se Pehle Ird Gird Nazar Daudayen Ke Koi Shaks Bhuka To Nahin!

Hazrat Ibn Umar RadiyAllahu Anhuma Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Basti Mein Kisi Shaks Ne Aisi Halat Mein Subah Ki Ke Wo Raat Bhar Bhuka Raha To Us Basti Walon Se Allah Rabbul Izzat Ki Hifazat o Nigrani Ka Wadah Khatam.” (Musannaf Ibn Abi Shaybah: 48)



✦.......► Zyadah Kha Kar Dakaren Marna! ◄.......✦

Yahya Al-Bakka' narrated from Ibn 'Umar RadiyAllahu Anhu who said: "A man belched in the presence of the Prophet (ﷺ), so He (ﷺ) said: 'Restain your belching from us. For indeed those who are filled most in the world will be the hungriest on the Day of Judgement.'"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 11 :: Hadith 2479]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Anhuma Farmate Hain Ke Aik Shaks Ne RasoolAllah ﷺ Ke Samne Dakar Li To Aap ﷺ Ne Us Se Irshad Farmaya: “Tum Apni Dakar Ham Se Door Rakho!!! Is Liye Ke Dunya Mein Zyadah Pait Bhar Kar Khane Wala Qayamat Ke Din Zyadah Bhooka Rahega.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 368, 2479]

●◗► Umuman Zarurat Se Zyadah Khane Ki Wajah Se Badi Badi Dakaren Aati Hain, Isi Liye RasoolAllah ﷺ Ne Is Par Tanbee Farmayi, Agar Dakar Medah Ki Kharabi Ya Gas Ki Bimari Ki Wajah Se Aaye To Harj Ki Baat Nahin, Kyun Ke Ye To Insani Majboori Hai.



✦........► Mobile Phone Ka Kaar Aamad Istemal ◄.......✦

◈➲ Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ka Irshade Girami hai: "Rishte Naate Todne Wala Jannat Mein Dakhil Nahin Hoga." (Sahih Bukhari :: Hadith 5984)

◈➲ Aik Dusri Hadees Mein RasoolAllah ﷺ Ka Irshad Hai: Momin Ke Liye Jayez Nahin Ke Apne Musalman Bhai Ko (Qata Talluqi Ki Bina Par) Teen Din Se Zyada Chhode Rakhe. Naiz Ye Bhi Irshade Nabwi ﷺ Hai Ke Jis Shaks Ne (Narazgi Ki Wajah Se) Apne Musalman Bhai Se Aik Saal Tak Milna Julna Chhode Rakha To Goya Us Ne Us Ka Khoon Kiya. (Sunan Abu Dawood: 4910, 4915)

●◗► Hamare Mua’shre Mein Mamuli Mamuli Baton, Jaidad o Makan Ke Jhagdon Aur Paise Ke Lain Dain Ke Tanazue Par Qareebi Rishtedaron Se Qata Talluqi Karne Ka Riwaj Aam Hai Aur Ham Mein Se Taqriban Har Dusra Shaks Is Ka Shikar Nazar Aata Hai, Qata Talluqi Ki Wajah Se Jannat Se Mahrumi Aur Aakhirat Ka Dardnaak Azab To Apni Jaga Magar Dunya Mein Jo Be Barkati, Nahusat Aur Tangi Hoti Hai Us Ke Tasawwur Se Hi Har Musalman Kaanp Uthta Hai.

✿ Lihaza Ham Mein Se Har Shaks Qata Talluqi Khatam Kar Ke Silah Rahmi Shuru Kare, Aur Is Azeem Maqsad Ke Liye Agar Apne Aap Ko Jhukna Pade To Ham Jhuk Jayen Allah Izzat Ki Bulandiyan Ata Farmayenge, Agar Haq Par Hone Ke Bawajood Apna Hissa Ya Haq Chhorna Pade To Chhorden Allah Jannat Mein Mahel Marhamat Farmayenge.

✿ Pehle Zamane Mein Qata Talluqi Khatam Karne Ke Liye Bade Jatan Karne Padte The, Dusre Shaher Ka Safar Karna Padta Tha, Apni Masrufiyaat Mein Se Waqt Nikal Kar Us Rishtedar Ke Paas Chal Kar Jana Padta Tha, Ab "Mobile Phone" Ki Aijad Se Ye Mushkil Aasan Hogayi Hai, Aaj Aur Abhi Phone Uthayen Aur Jis Rishtedar Se Qata Talluqi Kar Rakhi Ho Us Se Dil Saaf Kar Ke Baat Karen, Us Ki Kadwi Kasili Bardasht Karlen Magar Qata Rahmi Ka Wabal Apne Sir Se Utar Kar Phenk Den.


Nakami Ka Raaz: "Kamyabi Ke Raaz To Sab Hi Bayan Karte Hain Lekin Nakami Ka Aik Bada Raaz Ye Hai Ke “Sab Ko Khush Karne Ki Koshish Ki Jaye.”


✦..............► Aik Dilchasp Sawal ◄..............✦

◈ Kisi Ne Matke Se Pucha: 

“Tum Itne Thande Kyun Rehte Ho?” 

◈ Matke Ne Muskura Kar Jawab Diya: 

“Jis Ka Maazi, Haal Aur Mustaqbil Sab Mitti Se Bana Ho To Takabbur Aur Garmi Kis Baat Ki!?”


✦..........► Dhoka Dahi Aur Milawat ◄..........✦

It is narrated on the authority of Abu Huraira RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (ﷺ) observed: “He who took up arms against us is not of us and he who acted dishonestly towards us is not of us.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Ham Par Hathyar Uthaye Wo Ham Mein Se Nahin Hai Aur Jo Shaks Hamen Dhoka De Wo Bhi Ham Mein Se Nahin Hai.”

[Sahih Muslim :: Book 1 :: Hadith 182, 101]


✦.....♥ Maal o Daulat Ka Batore Nemat Izhar! ♥.....✦

Hazrat Abu Hazim RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Wo Nabi Kareem ﷺ Ki Khidmat Mein Paragandah (Pareshan) Haal Mein Hazir Hue To Aap ﷺ Ne Unse Pucha Ke Kya Tumhare Paas Maal Wagherah Nahin Hai? Unhon Ne Arz Kiya: Kyun Nahin! Mere Paas To Allah Ta’ala Ka Diya Har Tarah Ka Maal, Gaye, Oont Aur Bakriyan Maujood Hain.

Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Ke Paas Maal Maujood Ho To Us Ke Asrat Nazar Aane Chahiye.” (Al M’ujam Al Kabeer At-Tabarani:7282)


✦...► Ahliya Ko Teer Ki Tarah Sidha  Karne Ki Koshish! ◄...✦

●◗► Aksar Khawindon Ki Khuahesh Hoti Hai Ke Un Ki Biwiyan, Tor Tareeqe, Bol Chal Aur Digar Khangi o Muashrati Muamlat Mein Har Qism Ki Basri Kami Kotahiyon Aur Onch Nich Se Paak Rahen Aur 100% Un Ke Mizaj Ke Mutabiq Chalen, Ye Aik Na Mumkin Khayal Hai, Is Khayal Ko Amli Jama Pehnane Ki Koshish Mein Ladayi Jhagde Be Qabo Hadtak Badh Sakte Hain Aur Nobat Talaq Tak Pahonch Sakti Hai, Aisi Soch Rakhne Wale Khawind Hazraat Darj Zail Hadeese RasoolAllah Pe Ghor Karen, Aap  ﷺ Ne Irshad Farmaya:

“Aurat Pasli Ki Haddi Ki Tarah Hai, Agar Tum Use Bilkul Sidha Karna Chahoge To Tum Use Tod Doge (Yani Judayi Ki Nobat Aa Pohnchegi) Aur Agar Tum Aurat Se Faidah Uthana Chaho To Tumhen Us Ka Tedha Pan Bardasht Karte Hue Us (Ki Khubiyon) Se Faidah Uthana Hoga.” (Sahih Bukhari: 5184)

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (ﷺ) said, "The woman is like a rib; if you try to straighten her, she will break. So if you want to get benefit from her, do so while she still has some crookedness."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 62 :: Hadith 113, 5184]

No comments:

Post a Comment