Saturday 1 February 2020

●◗► Din Mein 5 Baar Wudu “Coronavirus” Se Bachao Ka Zariya!: Vice Chancellor University Of Health Sciences Lahore Janab Professor Doctor Javed Akram Ka Kehna Hai Ke Wudu Ke Zariye Corona Virus Par Qabo Paya Ja Sakta Hai, Professor Javed Akram Ke Mutabiq Cheenk Aur Sans Ke Zariye Corona Virus Ke Zarrat Mahol Mein Shamil Hokar Aap Ke Jism Ke Expose Parts Skin, Chehre, Aankh Aur Naak Par Chale Jate Hain, Jabke Wudu Mein In Expose Parts Ko Baar Baar Dhoya Jata Hai, Naak Bhi Saaf Ki Jati Hai, Pura Chehrah Bashmool Aankhen Bhi Saaf Ki Jati Hain, Kulli Bhi Karni Hoti Hai Aur Apne Hathon Aur Paon Ko Bhi Dhona Hota Hai, Lehaza Din Mein 5 Martaba Wudu Karne Se Bahot Hadtak Is Virus Par Qabo Paya Ja Sakta Hai.


☝️Musalmanon Ke Chehron Se Naqab Chinne Wale Aaj Naqab Mein Zindagi Talash Rahe Hain...! Aur Tum Apne Parwardigar Ki Kon Kon Si Nematon Ko Jhutlaoge! ☝️- China


●◗► Zyadah Ki Hawas, Maujudah Nematon Ka Lutf Bhi Nahin Lene Deti.


✦.................► C O R O N A V I R U S ◄.................✦
► Virus Mutasireen Ko Dekh Kar Ye Dua Padhen! ◄

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “Whoever sees an afflicted person then says: ‘All praise is due to Allah who saved me from that which He has afflicted you with, and blessed me greatly over many of those whom He has created, (Al-ḥamdulillāhi alladhī `āfānī mimmabtalāka bihī wa faḍḍalanī `alā kathīrin mimman khalaqa tafḍīla)’ he shall not be struck by that affliction.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Shaks Kisi Aafat Zadah Shaks Ko Dekh Kar Ye Dua Padh Le To Use Wo Aafat Na Pohnche Gi.” 

الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي عَافَانِي مِمَّا ابْتَلاَكَ بِهِ وَفَضَّلَنِي عَلَى كَثِيرٍ مِمَّنْ خَلَقَ تَفْضِيلاً

(Tarjuma: Tamam Tareefen  Us Allah Ke Liye Hain Jis Ne Mujhe Is Musibat Se Aafiyat Di Jis Mein Tujhe Mubtela Farmaya Aur Us Ne Apni Bahot Si Makhluqat Par Mujhe Fazilat Di)

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3432, 3432]


✦.► “Corona Virus” Mutasirah Ilaqon Ka Safar Na Karen! ◄.✦

RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jab Tumhen Kisi Sar Zameen Mein “Taoon (Nami Waba)” Ka Ilm Ho To Us Sar Zameen Mein Dakhil Mat Ho, Aur Jab Kisi Aisi Sar Zameen Mein “Taoon” Phail Jaye Jahan Tum Pehle Se Maujood Ho To Us Sar Zameen Se Bahar Mat Niklo!” (Sahih Bukhari:5728) 

Aik Dusri Riwayat Mein RasoolAllah ﷺ Ka Irshad Marwi Hai Ke “Jo Shaks “Taoon” Par Sabr Kare Us Ke Liye Shaheed Ke Barabar Ajr o Sawab Hai Aur “Taoon” Se Bhagne Wala Jihad Se Bhagne Wale Ki Tarah Hai.”  (Musnad Ahmad:25118)

●◗► Nabi Kareem ﷺ Ne Wabayi Amraz Se Mutalliq Umumi Zabta Ye Bayan Farmaya Ke Jis Ilaqe Mein Koi Mauzi Waba Ya Virus Phail Jaye To Wahan Jane Se Bilkul Ehteraz Kiya Jaye Aur Jo Log Pehle Se Wahan Maujood Hon Aur Waba Ya Virus Se Mutassir Ho Jayen To Wo Us Ilaqe Se Hargiz Bahar Na Niklen Balke Wahin Rehkar Sabr Karen Aur Us Sabr Par Unhen Azeem Al-Shan Ajr o Sawab Ki Khushkhabri Sunayi Gayi, Aaj Ki Jadeed Medical Science, 1400 Saal Qabl Bayan Kiye Gaye Is Nabwi Zabte Ko Waba Ke Phailao Ki Rok Tham Ka Sab Se Muassar Tariqa Qarar Deti Hai.


✦...► “Coronavirus” Aur Halal o Haram Ke Sharyi Zabte! ◄...✦

Irshade Khudawandi Hai: Aye Logo! Zameen Mein Jo Halal Pakizah Chizen Hain Wo Khao! (Quran, Al-Baqarah:168)

●◗► Zaraye Iblagh Ke Mutabiq Chamgadar Ka Soup Pine Aur Zindah Chuhe Khane Ki Waja Se Coronavirus Muntaqil Hua Aur Tezi Se Phaila Aur Is Ne China Mein Tabahi Macha Dali, Shariate Mutahrah Ne Chamgadar, Chuha Aur Billi Wagherah Ko Haram Qarar Diya Hai, Dunya Ko Ye Haqiqat Tasleem Karni Chahiye Ke Islam Ke Halal o Haram Ke Zabton Mein Hi Insaniyat Ki Baqa Aur Najat Hai.


✦..........► “Coronavirus” Se Allah Ki Panah! ◄..........✦

‏ "‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْبَرَصِ وَالْجُنُونِ وَالْجُذَامِ وَمِنْ سَيِّئِ الأَسْقَامِ ‏"‏
“Allahumma inni a'udhu bika minal-barasi, wal- jununi, wal-judhami, wa sayyi'il-asqaam”.

The Prophet (ﷺ) used to say: "O Allah, I seek refuge in Thee from leprosy, madness, elephantiasis, and evil diseases."

Aye Allah! Main Aap Ki Panah Mangta Hun Bars Se, Dimaghi Kharabi Se, Kodh Se Aur Har Qism Ki Buri Bimariyon Se.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 8 :: Hadith 1549, 1554]


✦...►Paakdaman Aurton Pe Tohmat Lagane Ka Wabal! ◄...✦

⇨ Allah Subhanahu Wa Ta'ala Irshad Farmate Hain:
“Yaad Rakho Ke Jo Log Paakdaman Bholi Bhali Musalman Aurton Par Tohmat Lagate Hain, Unpar Dunya Aur Aakhirat Mein Phatkaar Hai, Aur Un Ko Zabardast Azab Hoga.” (Al-Quran, Surah Nur:23)

⇨ Allah Subhanahu Wa Ta'ala said: “Indeed, those who [falsely] accuse chaste, unaware and believing women are cursed in this world and the Hereafter; and they will have a great punishment.” (Al-Quran, Surah Nur:23)


●◗► Ambulance Mein Mareez Ho Ya Ambulance Khali Ho Use Har Surat Mein Raasta Dena Chahiye, Ambulance Ya To Kisi Mareez Ko Lekar Ja Rahi Hogi Ya Kisi Mareez Aur Zakhmi Ko Lene Ja Rahi Hogi, Insani Jaan Bachane Mein Apna Kirdar Ada Karen!


💞 Behtareen Rishte Ki Sab Se Badi Khaasiyat Ye Hai Ke Wo Aap Se Ekhtelaf Aur Narazgi Ke Bawajood Bhi Aap Ka Khayal Rakhna Aur Fikr Karna Nahin Chhodta 💞


●◗► Apne Bacchon Ko Smartphone Aur Screen Se Door Rakhen… Bacchon Ka Waqti Taur Par Rona Is Baat Se Behtar Hai Ke Aap Ko Un Ke Akhlaq o Kirdar Par Rona Pade.


♥ Agar Aap Ke Paas Abhi Tak Is Tarah Ki Call’s Aarahi Hain To Yaqeen Janiye Ke Aap Dunya Ke Khush Qismat Tareen Insanon Mein Se Hain ♥


✦…......♥ Na’Shukri se Bachne ka Nabwi Nuskha ♥…......✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (ﷺ) as saying: "Look at those who stand at a lower level than you but don't look at those who stand at a higher level than you, for this would make the favours (conferred upon you by Allah) insignificant (in your eyes)."

[Sahih Muslim :: Book 42 :: Hadith 7070, 2963]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "(Maal o Daulat Aur Husn o Jamaal Ke Aaitebar Se) Apne Se Kam Logon Ki Taraf Nigah Rakho Aur Apne Se Unche Logon Ko Mat Dekho, Aisa K0arne Se Tum Allah Ki Nematon Ki Na’qadri Aur Na’Shukri Se Bache Rahoge."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 7430]


✦.........♥ Zaban Ta Dil Aik Balisht Ka Safar! ♥.........✦

Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Ki Zindagi Quran o Sunnat Ka Amli Namuna Thi, Jabke Hamare Paas Quran o Sunnat Ki Malumat To Bahot Hain Lekin Qurna o Sunnat Ki Talimat Ham Par Asar Andaz Nahin Ho Rahin. 

Wajah Ye Hai Ke Ham Mein Aur Sahaba Karam RadiyAllahu Anhum Mein Aik Balisht Ka Farq Hai, Lekin Zaban Ta Dil Aik Balisht Ka Ye Safar Bahot Kathin Aur Mehnat Talab Hai Aur Sirf Qismat Walon Ko Ise Tai Karne Ki Toufeeq Naseeb Hoti Hai!!! Allah Ta’ala Hamen Guftaar Ki Tarah Kirdar Ka Ghazi Bhi Banade. (Aameen)


●◗► Apna Hunar, Salahiyat Aur Tajruba Aage Muntaqil Kijiye! Agar Aap Apne Shobe Ke Kamyab Tareen Fard Hain To Muashre Ko Rashan Aur Sadaqah Khairat Dene Ke Sath Apne Jaise Kam Az Kam 10 Hunar Mand Afrad Tayyar Kar Ke Den!



✦....► Jahannam Ke Sab Se Halke Azab Ki Holnaki ◄....✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "The least tormented of the inhabitants of the Fire would be he who would wear two shoes of Fire and his brain would boil on account of the heat of the shoes."

[Sahih Muslim :: Book 1 :: Hadith 412]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya "Ahle Dozakh Mein Sab Se Kam Azab Pane Wala Wo Shaks Hoga Jis Ne Aag Ke 2 Jute Pehne Honge Jin Ki Garmi Aur Tapish Se Us Ka Dimagh Khoulta Hoga."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 1 :: Hadith 514, 211]



❤️ Aap Ka Bada Sarmaya Wo Log Hain Jo Aap Ki Ghair Maujoodgi Mein Apne Rab Se Duaon Mein Aap Ke Liye Khair Mangte Hain ❤️


●◗► Allamah Sha’abi Rahimahullah Farmate Hain: “Agar Tum Se 99 Kaam Sahih Hon Aur Aik Ghalti Ho Jaye To Log 99 Kamon Ko Chhod Kar Us Aik Ghalti Ko Lekar Baithenge (Aur Ta’an o Tashnee Karna Shuru Karden Ge).” (Hilyatul Auliya Abi Nu`aym)


✦.............♥  Sardi Ke Mosam Mein Wuzu ♥.............✦
♥ Gunahon Ki Muafi Aur Darjat Ki Bulandi Ka Sabab ♥

The Messenger of Allah (ﷺ) said: Should I not suggest to you that by which Allah obliterates the sins and elevates the ranks (of a man). They (the hearers) said: Yes, Messenger of Allah. He (ﷺ) said: Performing the ablution thoroughly despite odds, tranverside of more paces towards the mosque, and waiting for the next prayer after observing a prayer, and that is mindfulness.

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Faramya: “Kya Main Tumhen Aisa Aml Na Batlaun Jis Ki Waja Se Allah Subhanahu Wa Ta'ala Gunahon Ko Muaaf Aur Darjaat Buland Farmate Hain? Sahaba Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Zaroor Batayye, Aap ﷺ  Ne Irshad Farmaya:

❶ (Sakht Sardi Wagherah Ki) Na Gawari Ke Bawajud Acchi Tarah Wuzu Karna

❷ Zyadah Se Zyadah Qadam Utha Kar Masjid Ki Taraf Jana

❸ Aur Aik Namaz Ke Baad Dusri Namaz Ka Intezar Karna 

Yahi Ribat (Yani Jihad Ki Tayyari) Ke Manind Hai.”

[Sahih Muslim :: Book 2 :: Hadith 485, 251]


●◗► Ham Jis Chehre Ke Sath Paida Hokar “Aalame Dunya” Mein Aate Hain Wo Hamara Apna Intekhab Nahin Hota.

Magar Jis Chehre Ke Sath Ham Ne Marna Hai Aur “Aalame Barzakh” Mein Pahonchna Hai Use Quran o Sunnat Ke Mutabiq Dhalne Ke Zimmedar Ham Khud Hain!


✦.......♥ Bin Bulaye Mehman Pehle Ijazat Len! ♥.......✦

Narrated Abu Mas`ud RadiyAllahu Anhu: An Ansari man, called Abu Shu'aib (RadiyAllahu Anhu), came and told his butcher slave, "Prepare meals sufficient for five persons, for I want to invite the Prophet (ﷺ) along with four other persons as I saw signs of hunger on his face." Abu Shu'aib invited them and another person came along with them. The Prophet (ﷺ) said (to Abu Shu'aib), This man followed us, so if you allow him, he will join us, and if you want him to return, he will go back." Abu Shu'aib said, "No, I have allowed him (i.e. he, too, is welcomed to the meal).

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 3 :: Book 34 :: Hadith 295, 2081]

Urdu Translation: Hazrat Abu Mas`ud RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Aik Ansari Sahabi Jin Ki Kunyat Abu Shu'aib RadiyAllahu Anhu Thi, Tashreef Laye Aur Apne Ghulam Se Jo Gosht Ka Kaam Karta Tha Farmaya Ke Mere Liye Itna Khana Tayyar Karo Jo Panch Aadmiyon Ke Liye Kafi Ho, Main Ne Nabi Akram ﷺ Ke Chehre Anwar Par Bhook Ka Asar Numayan Dekh Kar Aap ﷺ Aur Aap Ke Sath Mazeed Char Aadmiyon Ki Dawat Ka Iradah Kiya Hai, Chunanche Unhon Ne AanHazrat ﷺ o Digar Char Mahmanon Ko Dawat Di, Aap ﷺ Ke Hamrah Aik Aur Sahabi Bhi Aagaye, Aap ﷺ Ne Mezban Se Farmaya:

“Hamare Sath Ye Sahab (Zayed) Aagaye Hain, Agar Aap Inhen Ijazat Dena Chahen To Ye Aajayenge Aur Agar Wapas Karna Chahen To Ye (Bakhushi) Wapas Chale Jayenge, Mezban Ne Jawab Diya: Zaroor Tashreef Layyen! Main Inhen Bhi Ijazat Deta Hun.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2081]

No comments:

Post a Comment