Tuesday 7 July 2020

❶ Barish Baraste Waqt Ki Dua:

‏ "‏ اللَّهُمَّ صَيِّبًا نَافِعًا ‏"‏
Aye Allah! Is Barish Ko Faidah Mand Bana. (Sahih Bukhari:1032)

❷ Barish Ke Baad Ki Dua:

مُطِرْنَا بِفَضْلِ اللَّهِ وَرَحْمَتِهِ
Ham Allah Ke Fazl Aur Us Ki Rehmat Ke Sath Barish Se Nawaze Gaye. (Sahih Bukhari:846)

❸ Zaroorat Se Zyadah Barish Ke Waqt Dua:

"‏ اللَّهُمَّ حَوَالَيْنَا وَلاَ عَلَيْنَا، اللَّهُمَّ عَلَى الآكَامِ وَالْجِبَالِ وَالآجَامِ وَالظِّرَابِ وَالأَوْدِيَةِ وَمَنَابِتِ الشَّجَرِ ‏"‏‏.‏
Aye Allah! Hamare Ird Gird Barish Barsa Aur Ham Par Na Barsa, Aye Allah! Telon, Pahadon, Jangalaat, Unche Maidanon, Wadiyon Aur Darakhton Ki Jadon Mein Barish Barsa. (Sahih Bukhari:1013)


✦..........► Riyakari Chup Nahin Sakti! ◄..........✦

Allah's Messenger (ﷺ) said: "Whoever does a good deed in order to show off, Allah will expose his intentions on the Day of Resurrection (before the people).”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 9 :: Book 89 :: Hadith 266, 7152]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Logon Ko Dikhlane Aur Shohrat Ke Liye (Khair Ke) Kaam Karega To Allah Subhanahu Wa Ta'ala Qayamat Ke Din Us Ki Riyakari Ka Haal Logon Ko Suna Dega.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Hadith 7152]


💔 Aaj Kal Ke Rishte Aise Hogaye Hain Ki "Zarurat Nahin Hai Agar To Phir Zaroori Bhi Nahin..!! 💔


✦........► Munkirine Hadees Ka Tariqaye Wardaat! ◄........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Soon there will come a time that a man will be reclining on his pillow, and when one of my Ahadith is narrated he will say: 'The Book of Allah is (sufficient) between us and you. Whatever it states is permissible, we will take as permissible, and whatever it states is forbidden, we will take as forbidden.' Verily, whatever the Messenger of Allah (ﷺ) has forbidden is like that which Allah has forbidden."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 12]

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Wo Waqt Door Nahin Jab Aik Shaks Aaram Se Takya Lagaye Hue Palang Pe Baitha Hua Hoga, Jab Us Se Meri Hadeeson Mein Se Koi Hadees Bayan Ki Jayegi To Kahega Ke Hamare Aur Tumhare Darmiyan Allah Ki Kitab Maojood Hai, Jis Cheez Ko Us Mein Halal Payenge To Use Halal Janenge Aur Jis Cheez Ko Us Mein Haram Payenge To Use Haram Janenge (Yani Hadeese Rasool ﷺ Ki Hamen Zarurat Nahin Quran Hi Kafi Hai)…

Khoob Kaan Khol Kar Sunlo! Jis Cheez Ko Rasool Ne Haram Qarar Diya Ho Wo Aisa Hi Hai Jaise Use Allah Ne Haram Qarar Diya Hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 12]


🌺 Baaz Logon Ka Guman Hai Ke Mazboot Hone Ka Matlab Dard Mahsoos Na Karna Hai Jab Ke Mazboot Wahi Banta Hai Jo Sab Se Zyadah Dard Sehta Hai 🌺


✦......♥ Bure Khwab Ke Shar Se Hifazat Ka Nuskha ♥......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: "A good dream is from Allah, and a bad dream is from Satan. So if anyone of you sees (in a dream) something he dislikes, when he gets up he should blow thrice (on his left side) and seek refuge with Allah from its evil for then it will not harm him."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Beshak Accha Khwab Allah Ki Taraf Se Hota Hai Aur Bura Khwab (Jis Mein Ghabrahat Ho) Shaitan Ki Taraf Se Hota Hai, Is Liye Jab Tum Mein Se Koi Shaks Koi Aisa Khwab Dekhe Jo Bura Aur Na Gawaar Ho To Jagte Hi Wo 3 Martaba Bayen Taraf (Left Side) Thu Thu Kare Aur Us Khwab Ki Burayi Se Allah Ki Panah Mange, Is Tarah Karne Se Bure Khwab Ka Use Nuqsan Nahin Hoga.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 71 :: Hadith 643, 5747]


💔 Musalsal Ahmiyat Dene Ke Bawajood Bhi Agar Rishte Be Qadre Aur Bad Mizaaj Rahen To Koi Malamat Nahin Tab Rehne Ki Behtareen Jaga Hudood Hai..!! 💔


●◗► Sunehra Moqa!: “Har Namaz Allah Ki Khushnudi Hasil Karne Ka Moqa Sath Lekar Aati Hai.”


❤️ Meetha Bol Bolne Wali Biwi Hamesha Shohar Ke Dil Ke Qareeb Rahti Hai ❤️


✦......♥ Hazrat Yusuf Alaihis Salam Ki Qamees! ♥......✦

Quran Majeed Mein Hazrat Yusuf ؑ Ki Qamees Ka 6 Martaba Zikr Aaya Hai, Aik Martaba In Alfaz Ke Sath: ⇨ “Aur Wo (Yusuf ؑ Ke Bhai) Yusuf Ki Qamees Par Jhoot Moot Ka Khoon Bhi Laga Kar Le Aaye.” (Surah Yusuf:18)

Ye Wo Gham Naak Waqt Tha Jab Hazrat Yusuf ؑ Ki Qamees Un Ke Walid Hazrat Ya’qub Alaihis Salam Ke Liye Ranj o Gham Aur Shadeed Zahni Sadme Ka Ba’is Bani Aur Bete Ki Judayi Mein Rote Rote Un Ki Binayi Bhi Chali Gayi.

Lekin Phir Waqt Aur Halaat Ne Tezi Se Palta Khaya…Aur Hazrat Yusuf ؑ Hi Ki Qamees Hazrat Ya’qub Alaihis Salam Ki Binayi Wapas Lot Aane Aur Farhat o Shadmani Ka Ba’is Ban Gayi, Chunanche Quran Kareem Mein Irshad Hai:

⇨ “(Hazrat Yusuf ؑ Ne Farmaya) Meri Ye Qamees Le Jao, Aur Ise Mere Walid Ke Chehre Par Daal Do, Is Se Un Ki Binayi Wapas Aajayegi.” (Surah Yusuf:93)

●◗► Yusuf Alaihis Salam Ki Qamees Ke Darj Baala Qurani Waqiye Se Hamen Ye Sabaq Milta Hai Ke Ham Mushkilat Aur Na Musa’id Halaat Mein Pareshan Na Hon, Allah Par Kamil Tawakkul Aur Ummid Rakhen, Wo Zaroor Pareshaniyon Ki Shaklon Mein Rahat o Khushi Ke Naqshe Paida Farma Dega.


✦............► Salebi Nishan ◄............✦

Narrated `Aisha RadiyAllahu Anha: I never used to leave in the Prophet (ﷺ) house anything carrying images or crosses but he obliterated it.

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke RasoolAllah ﷺ Ko Ghar Mein Jab Bhi Koi Aisi Cheez Milti Jis Par Saleb (Jaisi Alamat) Bani Ho To Use Tod Dalte (Taa Ke Nasara Se Kisi Darja mein Bhi Mushabihat Na Ho).

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Book 72 :: Hadith 836, 5952]


✦.......► Khawateen Ka Mard Doctor Se Ilaj Karwana!◄.......✦

Narrated Jabir RadiyAllahu Anhu: Umm Salamah asked the Messenger of Allah (ﷺ) permission for getting herself cupped. He (ﷺ) commanded Abu Tibah (RadiyAllahu Anhu) to cup her. The transmitter said: I think he was her foster-brother or a boy not yet of age.

[Sunan Abi Dawud :: Book 33 :: Hadith 4093, 4105]

Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Zojah Rasool Umm Salamah RadiyAllahu Anha Ne Nabi Akram ﷺ Se Hijama Lagwane (Cupping Therapy Aik Qism Ka Ilaj Jis Mein Jism Ke khaas Muqamat Se Khoon Nikala Jata Hai) Ki Ijazat Chahi, Aan Hazrat ﷺ Ne Hazrat Abu Taibah RadiyAllahu Anhu Ko Hukum Farmaya Ke Wo Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha Ko Hijama Lagaden, Hadees Ke Rawi Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Abu Taibah RadiyAllahu Anhu Ko Hukum Farmane Ki Wajah Ye Thi Ke Wo Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha Ke Razayi Bhai The Ya Na Baligh The.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 704, 4107]

●◗► Hadeese Bala Se Maloom Hua Ke Ilaj Ke Silsile Mein Bhi Parde Ka Khayal Rakhna Lazim hai, Agar Ma’alij (Doctor) Ke Samne Be Pardah Ho Kar Aane Ki Ijazat Hoti To Jaleel ul-Qadr Sahabi Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu Ko Ye Wazahat Pesh Karne Ki Zarurat Na Hoti Ke Ma’alij Abu Taibah RadiyAllahu Anhu, Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha Ke Mahram Ya Na Baligh Ladke The, Shari’at Mutahrah Ka Asal Hukum To Yahi Hai Ke Aurat Apna Ilaj Khatoon Ma’alij (Doctor) Se Karwaye, Bilkhusus Jab Ke Daurane Ilaj Satar Wale Aaza Bhi Kholne Ki Zarurat Ho, Albatta Kisi Hangami Halat Ya Majburi Ki Surat Mein Sharayet o Quyudat Ke Sath Mard Ma’alij Se Ilaj Karwane Ki Ijaat Hai, Bashart Ye Ke Ma’alij Itna Badan Dekhe, Jitna Dekhna Zaroori Ho, Isi Tarah Agar Zubani Haal Kehna kafi Ho To Ma’alij Ko Hath Lagane Aur Jism Dekhne Ki Ijzat Nahin, Nabz Dekhna Zaroori Ho To Digar Badan Kholna Aur Dekhna Durust Nahin Wagherah.


✦.......► Resham Aur Sona (Gold) Mardon Par Haram! ◄.......✦

Narrated Ali ibn AbuTalib RadiyAllahu Anhu: The Prophet of Allah (ﷺ) took silk and held it in his right hand, and took gold and held it in his left hand and said: both of these are prohibited to the males of my community.

Hazrat Ali Bin Abi Talib Farmate Hain Ke Nabi Kareem ﷺ Ne Resham (Ka Tukda) Lekar Use Apne Dayen Hath Par Rakha Aur Sone Ka (Tukda) Lekar Use Apne Bayen Hath Par Rakha Aur Phir Farmaya: “Beshak Ye Donon Meri Ummat Ke Mardon Par Haram Hain.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 33 :: Hadith 4046, 4057]


✦.......► Qurbe Qayamat Ki Nishaniyan! ◄.......✦

Qurbe Qayamat Ki 2 Nishaniyan Is Saal Badi Tezi Se Zaher Ho Rahi Hain:

❶ Akabir Ulama Ki Kasrat Se Amwat. (Makhuz Az Saihh Bukhari:100)
❷ Achanak Amwat. (Makhuz Az: Al-Mu’jamul Al-Sagheer Al-Tabarani: 1132)

Allah Subhanahu Wa Ta'ala Ham Sab Par Apna Khaas Rahem o Karam Farmaye. Aameen


✦........✔ Quwwate Baazu Par Etemad ✔.......✦

●◗► Shaakh Par Baitha Parindah Kabhi Shakh Ki Kamzori Se Nahin Darta, Kyun Ke Use Apni Quwwate Baazu Aur Paron Par Etemad Hota Hai.

●◗ Isi Tarah Kisi Ki Baisakhiyon Par Bharosa Karne Ke Bajaye Apne Andar Khud Etemadi Paida Karo Aur Apni Quwwate Bazu Par Jina Sikho, Na Kisi Se Toqiaat (Ummiden) Bandho Aur Na Kisi Se Koi Gila Karo.


❤️ Jin Logon Ko Aap Ki Maut Ka Gham Ho Sakta Hai Un Ko Zindagi Mein Khushi Zaroor Dena ❤️


✦.......♥ Dua Ko Jaldi Qubool Karwane Ka Tariqa! ♥.......✦

Hazrat Abdullah Bin Mas’ud RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke “Jab Tum Mein Se Koi Dua Mange To Use Chahiye:

❶ Dua Ki Ibteda Mein Allah Rabbul Izzat Ki Shayane Shaan, Hamd o Sana Bayan Kare.
❷ Phir Nabi Akram ﷺ Par Durood Shareef Padhe.
❸ Aur Phir Us ke Baad (Jo Dua Mangni Ho Wo) Dua Mange.

Kyun Ke Is Tarteeb Se Wo Apni Muraad Jald Palega (Yani Us Ki Dua Jaldi Qubool Ho Jayegi).”

(Al-Mu'jam Al-Kabeer Al-Tabarani: 8780) (Riyad as-Salihin :: Book 15 :: Hadith 1404)


●◗► Ham Aksar o Beshtar Apne Kahe Hue Alfaz Se Dusron Ko Takleef Pohncha Rahe Hote Hain, Is Liye Bolne Se Pehle Acchi Tarah Sochlen Ke Aap Ke Alfaz Se Dusron Par Kya Asar Padega?


🌺 Insan Tanhayi Pasand Us Waqt Hota Hai Jab Wo Logon Ki Haqiqaten Dekh Leta Hai 🌺


✦..............♥ Aik Khoobsurat Nasihat ♥..............✦

Aik Shaks Ne Shadi Ke Moqe Par Buzurg Se Kuch Nasihat Karne Ke Liye Kaha Buzurg Ne Ye Jame Nasihat Ki:

“Tumhari Jiwan Sathi Apne Shafeeq Baap, Maherban Waldah Aur Jaan Lutane Wale Bhai Chhod Kar Tumhare Paas Aarahi Hai, Lehaza Tum Us Ke Liye Ye Sab Kuch Ban Jao.”


✦........► Aurat Ka Khushbu Laga Kar Nikalna! ◄........✦

It was narrated that Al-Ash'ari RadiyAllahu Anhu said: "The Messenger of Allah (ﷺ) said: 'Any woman who puts on perfume then passes by people so that they can smell her fragrance then she is an adulteress.'"

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 6 :: Book 48 :: Hadith 5129, 5126]

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa Al-Ash’ari RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Bhi Aurat Khushbu Laga Kar (Na Mahram) Mardon Ke Paas Se Is Liye Guzre Ke Wo Us Ki Khushbu Soongh Len To Aisi Aurat Zaniya Hai.”

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa'i :: Vol. 3 :: Hadith1427]


🌺 Jahan Lage Ahmiyat Kam Ho Rahi Hai Wahan Jana Kam Kar Do, Phir Chahe Kisi Ka Ghar Ho, Baat Ho, Yaad Ho, Ya Dil 🌺


✦.......♥ Momin Ke Dil Mein Basne Wali Aurten! ♥.......✦

Momin Ke Dil Mein Char Tarah Ki Aurten Basti Hain:
❶ Us Ki Maa ❷ Us Ki Biwi ❸ Us Ki Bahen ❹ Us Ki Beti

● Pahli Ki Razamndi Mein Allah Ki Raza Mandi Aur Jannat Hai.
● Dusri Ke Sath Diljoyi Aur Umdah Sulook Karna, RasoolAllah (ﷺ) Ki Wasiyat Hai.
● Teesri Ke Sath Ehsan Aur Naik Bartao Karna, Silah Rahmi Aur Khair o Barkat Ka Zariya Hai.
● Chauthi Ki Acchi Parwarish Aur Tarbiyat, Jannat Mein RasoolAllah (ﷺ) Ki Rafaqat Ka Sabab Hai.

●◗► Lehaza Apni Tamam Tar Tawajjuhat Ka Mahwar Inhin Aurton Ko Banayen Aur Hamesha Inhen Khush Rakhne Ki Koshish Karen!


✦......♥ Zaitoon (Olive) Ka Istemal! ♥......✦

"The Prophet (ﷺ) said: "Eat of its oil and use it (the olives), for indeed it is from a blessed tree."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 3 :: Book 23 :: Hadith 1852, 1852]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Zaitoon (Ka Tail) Khane Mein Bhi Istemal Karo Aur Malish Mein Bhi! Kyun Ke Ye Ba Barkat Darakht Ka Phal Hai.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol.1 :: Hadith 1910, 1852]


✦............♥ Musalman Ke Panch Haq ♥............✦

❶ Salam Ka Jawab Dena
❷ Iyadat Karna
❸ Janaze Ke Sath Jana
❹ Dawat Qubool Karna
❺ Chinkne Wale Ko Jawab Dena. (Sahih Bukhari: 1240)

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: I heard Allah's Messenger (ﷺ) saying, "The rights of a Muslim on the Muslims are five: to respond to the salaam, visiting the sick, to follow the funeral processions, to accept an invitation, and to reply to those who sneeze. (Sahih Bukhari: 1240)


💔 Kisi Ke Bare Mein Ghalat Guman Na Karen Kyun Ke Aap Us Ki Zindagi Ki Uljhanon Se Waqif Nahin Hai 💔


✦.......► Apne Marhumin Ka Qarza Ada Karen, Warna!! ◄.......✦

Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu narrated that: The Messenger of Allah (ﷺ) said: "The believer's soul is suspended by his debt until it is settled for him."

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Marne Ke Baad Momin Ki Rooh Us Ke Qarze Ki Waja Se Latki Rehti Hai (Rahat o Rehmat Ki Us Manzil Tak Nahin Pahonchti Jis Ka Naik Logon Se Wadah Hai) Jab Tak Ke Us Ka Qarza Ada Na Kar Diya Jaye.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 5 :: Hadith 1078, 1078]


✦........► Suraj Grahan Aur Masnoon Aamal ◄........✦

❶ 2 Rakat Namaze Kusuf

Aam Nawafil Ki Tarah 2 Rakat Padhi Jaye, Is Namaz Mein Taweel Qirat Aur Taweel Ruku Aur Sajde Karna Masnoon Hai, Mardon Ke Liye Ba Jamat Padhna Afzal Hai, Agar Jamat Muyassar Na Ho To Tanha Bhi Padh Sakte Hain, Khawateen Gharon Mein Is Ka Ehtemam Karen Gi

❷ Hasbe Taufeeq Sadqah o Khairat Karna
❸ Aakhirat Ke Bare Mein Fikr Mand Hona
❹ Jab Tak Suraj Grahan Khatam Na Ho Jaye:

● Qibla Rukh Baith Kar Dair Tak Dua Karna
● Allah Ke Zikr Mein Waqt Guzarna
● Astaghfar Mein Mashghool Rehna.


●◗► 21 June 2020 Baroz Itwar Subah 09:15 Par Hindustan Mein Suraj Grahan Ka Aaghaz Hoga, 10:17 Par Suraj Grahan Urooj Par Hoga Aur 12:10 Par Suraj Grahan Ka Ekhtetam Hoga.

✦..........► Suraj Aur Chand Grahan Ke Moqe Par! ◄..........✦
Allah Ka Zikr Aur Tauba o Astaghfar Ka Ehtemam Karen!

Urdu Translation: Nabi Kareem ﷺ Ke Zamane Mein Suraj Ko Grahan Laga To Aap ﷺ Ne Namaz Padhi Aur Us Ke Baad Aap ﷺ Ne Khutba Diya Aur Irshad Farmaya: “Suraj Aur Chand Donon Allah Ta’ala Ki Nishaniyan Hain Aur Kisi Ki Maut o Zindagi Ki Waja Se Un Mein Grahan Nahin Lagta Is Liye Jab Tum Ko Malum Ho Ke Grahan Lag Gaya Hai To Allah Ta’ala Ka Zikr Karo.”

Narrated `Aisha RadiyAllahu Anha: In the lifetime of Allah's Messenger (ﷺ) (p.b.u.h) the sun eclipsed, so he led the people in prayer, and stood up and performed a long Qiyam, then bowed for a long while. He stood up again and performed a long Qiyam but this time the period of standing was shorter than the first. He bowed again for a long time but shorter than the first one, then he prostrated and prolonged the prostration. He did the same in the second rak`a as he did in the first and then finished the prayer; by then the sun (eclipse) had cleared. He delivered the Khutba (sermon) and after praising and glorifying Allah he (ﷺ) said,

"The sun and the moon are two signs against the signs of Allah; they do not eclipse on the death or life of anyone. So when you see the eclipse, remember Allah and say Takbir, pray and give Sadaqa."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Book 18 :: Hadith 154, 1044]


🌺 Jo Wazahat Nahin Chahte Un Ko Deni Bhi Nahin Chahiye, Aur Jo Doori Chah Rahe Hon Un Se Door Ho Jana Chahiye 🌺


✦.......► Murghe Ki Baang Aur Gadhe Ki Aawaz ◄.......✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet (ﷺ) said, "When you hear the crowing of cocks, ask for Allah's Blessings for (their crowing indicates that) they have seen an angel. And when you hear the braying of donkeys, seek Refuge with Allah from Satan for (their braying indicates) that they have seen a Satan."

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jab Tum Murghe Ki Baang Suno To Allah Se Us Ka Fazl Mango Kyun Ke Murgha Farishte Ko Dekhta Hai Aur Jab Tum Gadhe Ki Aawaz Suno To Allah Ki Panah Mango Shaitan Mardood Se, Kyun Ke Gadha Shaitan Ko Dekhta Hai.”.”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 522, 3303]


✦..............► Itminan Aur Bechaini ◄..............✦

Al-Hasan bin 'Ali RadiyAllahu Anhu said: "I remember that the Messenger of Allah (ﷺ ) said: 'Leave what makes you in doubt for what does not make you in doubt. The truth brings tranquility while falsehood sows doubt.'"

Urdu Translation: Hazrat Hasan RadiyAllahu Anhu Se Pucha Gaya Ke Aap Ko RasoolAllah ﷺ Ki Koi (Ahem) Baat Yaad Hai? To Unhon Ne Jawab Diya Ke Mujhe RasoolAllah ﷺ Ki Ye Baat Yaad Hai: “Jo Cheez Tumhen Shak Mein Dale Use Chhod Kar Aisi Cheez Ekhtiyar Karlo Jo Shak o Shubah Mein Dalne Wali Na Ho, Kyun Ke Sacchayi Ba’ise Itminan Hai Jabke Jhoot Shak Aur Be Chaini Ka Sabab Hai.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 11 :: Hadith 2518]


✦......► 2 Logon Ki Namaz Qubool Nahin! ◄......✦

Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Anhu se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: 2 Log Aise Hain Jin Ki Namazen Un Ke Saron Se Uphar Bhi Nahin Jaati (Yani Qubool Nahin Hotin):

❶ Wo Ghulam Jo Apne Aaqa Se Bhag Gaya Ho, Yahan Tak ke Wapas Aajaye.

❷ Wo Aurat Jo Apne Shohar Ki Nafarman Ho Yahan Tak Ke Wo Nafarmani Se Baaz Aajaye.

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 7330]


✦...........► Khud Kushi Ka Ibrat Naak Anjam ◄...........✦

It is narrated on the authority of Abu Huraira RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (ﷺ) observed: He who killed himself with steel (weapon) would be the eternal denizen of the Fire of Hell and he would have that weapon in his hand and would be thrusting that in his stomach for ever and ever, he who drank poison and killed himself would sip that in the Fire of Hell where he is doomed for ever and ever; and he who killed himself by falling from (the top of) a mountain would constantly fall in the Fire of Hell and would live there for ever and ever.

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jis Ne Lohe Ke Hathyar Se Khud Kushi Ki To Jahannam Ki Aag Mein Wo Hathyar Us Ke Hath Mein Hoga Aur Wo Us Se Apne Pait Ko Hamesha Zakhmi Karta Rahega, Aur Jis Ne Zaher Pikar Khud Kushi Ki To Wo Bhi Jahannam Ki Aag Mein Hamesha Hamesha Us Zaher Ko Ghoont Ghoont Kar Pita Rahega, Aur Jis Ne Pahad (Ya Kisi Unchi Jaga) Se Gir Kar Khud Kushi Ki To Wo Bhi Jahannam Ki Aag Mein Hamesha Hamesha Pahad Se Yun Hi Girta Rahega.”

[Sahih Muslim :: Book 1 :: Hadith 200, 109]


✦......♥ Bimari Mein Sabr Ajr Hi Ajr ♥......✦

Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: Allah Subhanahu Wa Ta'ala Irshad Farmate Hain (Hadees Qudsi): “Jab Main Apne Kisi Momin Bande Ko Bimari Mein Mubtela Karta Hun Aur Wo Iyadat Karne Walon Se Mere Bare Mein Koi Shikwah Shikayat Bhi Nahin Karta To Main Use Jahannam Se Aazad Kar Deta Hun, Aur Use Us Ke (Badan Par Maujood) Gosht Aur Khoon Se Behtar Gosht Aur Khoon Ata Karta Hun, Phir Wo Sahetyabi Ke Baad Naye Sire Se Apne (Acche Ya Bure) Aamal Ka Aaghaz Karta Hai.” (Sunan Baihaqi: 6786)


✦..► Bewah Ya Mutalqah Beti Pe Kharch Karne Ka Sawab! ◄...✦

Suraqa ibn Malik (RadiyAllahu Anhu) reported: The Messenger of Allah (ﷺ) said to him, “O Suraqa, shall I not tell you about the greatest of charities?” He said, “Of course, O Messenger of Allah.” He (ﷺ) said: “To provide for your daughter when she is returned to you and you are her only source of provision.”

Urdu Translation: Hazrat Suraqa bin Malik RadiyAllahu Anhu Farmate Hain ke RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Kya Main Tumhen Azeem Sadaqa ke Bare mein Aagah Kardun ? (Wo Kharch Karna hai) Apni us Beti Par Jo Tumhari Taraf Wapas Kardi Gayi ho (Yani us ka Khawind Faut ho Gaya ho ya Khawind ne Talaq De di ho) Aur Tumhare Siwa us ka Koi Kamane Wala na ho.”

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim : 7345]


✦........♥ “Narmi Se Pesh Aana Chahiye.” ♥........✦

Ye Lafz Surah Kahf Ki 19 Wi Aayat Ka Hai, Ye Lafz Thoda Bada Likha Hota Hai Kyun Ke Yahan Quran Majeed Ka Darmiyan Hota Hai, Quran Majeed Ke Bilkul Beech Yani Dil Mein Aane Wala Ye Lafz Hamari Puri Zindagi Ke Liye Model Aur Rahnuma Hai. Lehaza...

Narmi Zaroori Hai ► Ektelaaf Ke Moqe Par
Narm Lehja Lazim Hai ► Nasihat Ki Ghadi Mein
Narm Atwar Lazim Hain ► Ghair Muslimon Ke Hamrah
Sarapa Narmi Na Guzeer Hai ► Waldain Ke Samne
Narm Khuyi Na Guzeer Hai ► Burayi Se Rokte Waqt
Narm Goyi Lazim Hai ► Biwi Ke Sath
Narm Kirdar Zaroori Hai ► Musalmanon mein Meil Mulaqat Mein
Narm Akhlaq Zaroori Hain ► Bacchon Ki Tarbiyat Ke Liye

●◗► Narmi har Lamha, Har Ghadi Aur Har Lahza Lazim Aur Zaroori Hai, Narmi Ekhtiyar Karen, Aap Ka Har Aml Khoobsurat Ho Jayega, Warna To Bigad Hi Bigad Hai. ♥


●◗► Kaha Jata Hai Ke Mohabbat Insan Ko Andha Kar Deti Hai, Magar Islam Se Mohabbat Insan Ko Aisi Roshni Ata Karti Hai Jis Se Har Cheez Nikhri Nikhri Aur Khoobsurat Nazar Aane Lagti Hai.


✦......♥ Jannat Mein Mahel Ki Zamanat ♥......✦
✦......♥12 Rakat Sunnate Muakkadah Ki Pabandi♥......✦

Aishah RadiyAllahu Anha Narrated that Allah's Messenger (ﷺ) said: "Whoever is regular with twelve Rak'ah of Sunnah (prayer), Allah will build a house for him in Paradise: Four Rak'ah before Zuhr, two Rak'ah after it, two Rak'ah after Maghrib, two Rak'ah after Isha, and two Rak'ah before Fajr."

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Jo Shaks Rozana Pabandi Ke Sath 12 Rakat Sunnate Mokkadah Padha Kare, Us Ke Liye Jannat Mein Aik Ghar Banaya Jayega, (Wo 12 Rakat Ye Hain:) 4 Rakaten Zohar Se Pehle Aur 2 Rakat Zohar Ke Baad, 2 Rakat Maghrib Ke Baad, 2 Rakat Isha Ke Baad, 2 Rakat Fajr Se Pehle.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 2 :: Hadith 414 , 414]


✦..........♥ Dil Kaise Narm Hote Hain? ♥..........✦

Imam Ahmad Rahimahullah Se Pucha Gaya:
Aye Abu Abdullah! Dil Kaise Narm Hote Hain?
Aap Ne Farmaya: “Halal Khane Se.”

(Hilyatul Auliya Abi Nu`aym, Jild:6)


●◗► Agar Ham Apni Aulad Ko Apna Dost Bana Kar Accha Insan Nahin Banayenge To Bure Log Unhen Apna Dost Bana Kar Bura Insan Bana Denge....!!


✦......► Bewah Aurat Ke Liye Iddat Ke Ehkam! ◄......✦

Narrated Umm Salamah, UmmulMu'minin RadiyAllahu Anha: The Prophet (ﷺ) said: A woman whose husband has died must not wear clothes dyed with safflower (usfur) or with red ochre (mishq) and ornaments. She must not apply henna and collyrium.

[Sunan Abi Dawud :: Book 12 :: Hadith 2297, 2304]

Urdu Translation: Ummul Mu'minin Hazrat Umm Salmah RadiyAllahu Anha Farmati Hain Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Bewah Aurat (Daurane Iddat) Rangeen Kapde Nahin Pehnegi, Na Zard Na Geru (Surkh Mitti) Se Range Hue, Isi Tarah Wo Na Zewraat Istemal Karegi Aur Na Mehndi Aur Surma Lagaye Gi.”.”

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol. 2 :: Hadith 534, 2304]

●◗► Shariat-e-Mutahrah Mein Bewah Aurat Par Shohar Ki Wafat Ki Iddat Lazim Hai, Shohar Ke Inteqal Ke Waqt Agar Biwi Hamela Ho To Delivery Hone Tak Iddat Rahegi, Jaisa Ke Quran Kareem Mein Irshade Ta’ala Hai: Hamela Aurton Ki Iddat Un Ke Waza Hamal (Yani Baccha Janne) Tak Hai. (Surah At-Talaq: 4) Hamal Na Hone Ki Surat Mein Shohar Ke Inteqal Ki Iddat 4 Maah Aur 10 Din Hai Jaisa Ke Allah Ta’ala Ne Irshad Farmaya: “Tum Mein Se Jo Log Faut Ho Jayen Aur Biwiyan Chhod Jayen To Wo Aurten Apne Aap Ko Chaar Maah Aur Dus Din Iddat Mein Rakhen.” (Surah Al-Baqarah: 234)


✦...► Rishta Tai Karne Mein Ladke Ki Maldari Na Dekhen ◄...✦

●◗► Beti Ka Rishta Aik Naik Sifat Aur Salih Magar Ghareeb Ladke Ke Liye Manga Gaya To Maa Baap Ne Inkar Kar Diya, Phir Usi Ghar Mein Aik Bigde Hue Magar Ameer Gharane Ke Ladke Ka Rishta Aaya To Ye Keh Kar Qubool Kar Liya Gaya Ke Allah Paak Is Ladke Ko Hidayat Dega Aur Naik Ban Jayega.

●◗► Jo Allah Bigde Hue Ladke Ko Hidayat De Sakta Hai Kya Wo Ghareeb Ladke Ko Maali Farawani (Maaldari) Nahin De Sakta?


●◗► Apni Mahdood Aamdani Mein Khush Rahiye!!! Kisi Se Apna Mawaazna (Compare) Mat Kijiye!!! Kam Khareediye!!! Sasta Pahen Lijiye!!! Sadah Kha Lijiye!!! Bus Halal o Haram Ki Tameez Rakhiye!!!


●◗► Curfew Lage Ya Na Lage, Lockdown Ho Ya Na Ho Lekin Apni Hifazat Aur Ehtiyati Tadabeer Ekhtiyar Karna Aap Ke Apne Hath Mein Hai.

Yaad Rakhen! Hukumat Ke Liye Aap Sirf Aik Ginti Ka Number Hain Lekin Apni Family Ke Liye Aap Puri Kainaat Hain.

Maherbani Farma Kar Is Wabai Surate Haal Mein Ehtiyat Zaroor Karen.


✦......♥ Aale Muhammad ﷺ Ka Rizq! ♥......✦

Allah's Messenger (ﷺ) said, "O Allah! Give food to the family of Muhammad."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Aye Allah! Muhammad Ki Aal (o Aulad) Ko Baqadre Kifayat Rizq Ata Farma (Yani Bus Itni Rozi De Ke Wo Ba Aasani Zindah Reh Saken)!”

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 8 :: Book 76 :: Hadith 467, 6460]

●◗► RasoolAllah ﷺ Ne Apne Ahle Khana Ke Liye Allah Se Bus Itni Rozi Mangi Jo Baqadre Kifayat Ho Aur Zindagi Ki Guzar Basar Ho Sake Aur Kisi Ke Aage Daste Sawal Daraz Na Karna Pade, Is Liye Bahot Zyadah Maal o Daulat Aur Aaish o Aaram Ki Zindagi Mangne Ke Bajaye Hamen Allah Se Baqadre Kifayat Aur Aafiyat Wali Rozi Mangni Chahiye.


💔 Pait Aur Ghuroor Badh Jaye To Apnon Ko Gale Lagana Mushkil Ho Jata Hai 💔


✦......♥ Mohabbat Bhara Musafha Aur Mulaqat! ♥......✦

“Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Jab Nabi Akram ﷺ Kisi Se Musafha Farmate To Us Waqt Tak Us Ke Hath Se Apna Hath Nahin Kheenchte The Jab Tak Wo Khud Na Kheench Leta Aur Us Waqt Tak Us Ki Taraf Se Chehrah Mubarak Nahin Pherte The Jab Tak Wo Khud Chehrah Na Pher Leta.”

[Shuab ul Iman Al-Bayhaqi : 8132 Sahih]

عن أنس قال كان رسول الله صلى الله عليه و سلم إذا صافح رجلا لم ينزع يده من يده حتى يكون الرجل هو الذي ينزع و لا يصرف وجهه حتى يكون الرجل هو الذي يصرف
(شعب الایمان لابی بکر البیہقی: 8132، حدیث صحیح


✦...........► Aik Muashrati Almiya! ◄..........✦

●◗► Hamare Muashre Mein Maal o Daulat Ya “Status” Ke Liye 41 Saala Ghair Mulki Aurat Ko Kam Umr Ladka Bhi Qubool Karleta Hai Aur Us Ka Pura Khandan Bhi Khushi Khushi Qubool Kar Leta Hai Magar Mulk Mein Basne Wali Badi Umr Ki Kunwari, Bewah Ya Mutaliqa Khawateen Se Shadi Ko Muashre Mein Ma’yoob Samjha Jata Hai.

✦.............♥ Roshan Aur Muskurata Chehrah ♥.............✦

Hazrat Abdullah Bin Haris RadiyAllahu Anhu Farmate Hain: “Main Ne RasoolAllah ﷺ Se Zyadah Muskurate Hue Kisi Aur Shaks Ko Nahin Dekha.” (Shama'il Muhammadiyah At-Tirmidhi:217)

Naiz Hazrat Abu Dhar Ghifari RadiyAllahu Anhu Farmate Hain Ke Rasool Akram ﷺ Ne Farmaya: “Apne Bhai Ke Chehre Ki Taraf Muskurakar Dekhna Bhi Sadaqah Hai.” (Jami` at-Tirmidhi: 1956) ●◗► Ahle Khana, Rishtedar, Dost Ahbab, Padosiyon Aur Matahton Ke Sath Hamesha Hanste, Muskurate Aur Khandah Peshani Se Milye.

●═══════════════◄►══════════════●

Abdullah ibn Haarith ﷺ RadiyAllahu Anhu reports, I did not see anyone who smiled more than Rasoolullah ﷺ. (Shama'il Muhammadiyah At-Tirmidhi: 217)

Abu Dharr RadiyAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah ﷺ said : "Your smiling in the face of your brother is charity,..(Jami` at-Tirmidhi: 1956)


●◗► Bila Shuba Coronavirus Ki Wabai Surate Haal Mein Musalmanon Ke Liye Sab Se Takleef Dah Aur Rooh Farsa Cheez Haramain Sharifain Ki Bandish Thi, Aaj Masjide Nabwi Ko Hifazati Tadabeer Ki Pabandi Ke Sath Awam Ke Liye Khol Diya Gaya. Alhamdulillah

Dua Farmayen Ke Allah Ta’ala Jald Hi Khair Ki Tamam Jaghon Bashmool Tableeghi Marakiz, Khanqahon Aur Deeni Madaris o Qurani Makatib Ko Puri Aab o Taab Ke Sath Aabad Farmade Aur Is Wabai Surate Haal Ko Ham Se Door Farmade. Aameen

1 comment:

  1. This is a really informative knowledge, Thanks for posting this informative Information.
    Online Quran Classes

    ReplyDelete