Saturday, 25 July 2020

Sunnah is to put a morsel into your wife’s
mouth with your own hand.

Allah's Messenger (ﷺ) said: "You will be rewarded for whatever you spend for Allah's sake even if it were a morsel which you put in your wife's mouth."

RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya Ke “Tum Jo Kuch Allah Ta’ala Ko Razi Karne Ke Liye Kharch Karte Ho Tumhen Us Ka Zaroor Sawab Diya Jayega Yahan Tak Ke Jo Luqma Tum Apni Biwi Ke Muh Mein Dete Ho (Is Par Bhi Tumhen Sawab Milega).” (Sahih al-Bukhari: 56)


The Messenger of Allah (ﷺ) said: "Indeed, the one who does not have the Qur'an inside him (his heart), is like the ruined house.”

RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya “Jis Ke Sine Mein Kuch Bhi Quran Na Ho Wo Aisa Hai Jaise Ujaad Ghar.” (Jami` at-Tirmidhi: 2913)

Kisi Musalman Dil Ko Quran Majeed Se Khali Na Hona Chahiye


The Prophet (ﷺ) said: “The best medical treatment you apply is cupping.”

Nabi Kareem (ﷺ) Ne Farmaya Ke “Jin Chizon Se Tum ilaj Karte Ho Un Mein Se Agar Kisi Mein Khair Hai To Wo Pachna (Hijama) Lagana Hai.” (Sunan Abi Dawud: 3857)


✦.........♥ Ashrah Dhul-Hijjah ♥.........✦

❶ Takbeer o Tahleel - اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ
❷ Taubah o Astaghfar
❸ Tahajjud Aur Duayen
❹ Rozah - (Pehle Ashre Ke 9 Din, Bilkhusu 9 Dhul Hijjah Yaume Arafah Ka Rozah)
❺ Takbirate Tashreeq - (9 Ki Fajr Ta 13 Ki Asr Tak)
اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد
❻ Qurbani - (10 Ta 12 Dhul Hijjah)


✦......► Ashrah Dhul Hijjah Ke Roze ◄......✦

The Messenger of Allah (ﷺ) used to fast the first nine days of Dhul-Hijjah.

Urdu Translation: “RasoolAllah (ﷺ) Dhul Hijjah ke Ibtedayi 9 Din Roze Rakha Karte The.”

[Sunan Abi Dawud :: Book 13 :: Hadith 2431, 2437]


✦.........✿.........♥ Dil Ka Saaf INSAN! ♥.........✿.........✦

It was narrated that ‘Abdullah bin ‘Amr RadiyAllahu Anhu said: "It was said to the Messenger of Allah (ﷺ): ‘Which of the people is best?’ He said: ‘Everyone who is pure of heart and sincere in speech.’

They said: ‘Sincere in speech, we know what this is, but what is pure of heart?’ He (ﷺ) said: ‘It is (the heart) that is pious and pure, with no sin, injustice, rancor or envy in it."

●════════════════◄►═══════════════●

Urdu Translation: Hazrat ‘Abdullah Bin ‘Amr RadiyAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Nabi Kareem ﷺ Se Pucha Gaya Ke "Sab Se Afzal Shaks Kon Hai?' Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: 'Saaf Dil Wala Aur Zuban Ka Saccha.'

Sahaba Karam (RadiyAllahu Anhum) Ne Arz Kiya: 'Zuban Ke Sacche Hone Ka Mafhoom To Ham Jante Hain Lekin Dil Saaf Hone Se Kya Murad Hai?'

Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: 'Wo Muttaqi (Parhaizgar) Aur Saaf Suthra Dil Jis Mein Na Gunah Ho Na Baghawat, Na Hi Us Mein Kisi Ka Keena (Boghz) Ho Aur Na Kisi Ke Bare Mein Hasad."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4216]


✦.....✔ Mushkilat Mein Aasani Ki Muassar Dua ✔.....✦

لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِينَ
Lā ilāha illā anta subḥānaka innī kuntu minaẓ-ẓālimīn.

RasoolAllah (ﷺ) Ne Farmaya: “Hazrat Yunus Alaihis Salam Ki Dua Machli Ke Pait Mein Ye Thi: (Lā ilāha illā anta subḥānaka innī kuntu minaẓ-ẓālimīn.) Tarjuma: Tere Siwa Koi Mabood Nahin, Teri Zaat Paak Hai, Main Hi Zulm Karne Walon Mein Se Hun.

“Jo Musalman Bhi Kisi Mushkil Mein Ye Dua Padhe Allah Subhanahu Wa Ta'ala Us Ki Dua Zaroor Qubool Farma Lete Hain.” (Jami` at-Tirmidhi: 3505)

the Messenger of Allah (ﷺ) said: “The supplication of Dhun-Nun (Prophet Yunus) when he supplicated, while in the belly of the whale was: ‘There is none worthy of worship except You, Glory to You, Indeed, I have been of the transgressors. (Lā ilāha illā anta subḥānaka innī kuntu minaẓ-ẓālimīn)’ So indeed, no Muslim man supplicates with it for anything, ever, except Allah responds to him.” (Jami` at-Tirmidhi: 3505)


●◗► “Deendar Logon Ka Mua’shre Se Shikwah: “Ham Musalman Hain, Islam Aik Jame Mazhab Aur Mukammal Zabta Hayaat Hai, Ham Islam Par Chalne Ki Apni Si Koshish Karte Hain Lekin Insan Hone Ke Nate Ham Ghalti Bhi Kar Sakte Hain, Kisi Ki Dil Aazari Aur Haq Talfi Ka Gunah Ham Se Sarzad Ho Sakta Hai, Please! Agar Ham Koi Ghalti Karen To Islam Aur Islami Sha’ayer (Dadhi, Pagdi, Aur Topi Wagherah) Ko Bura Bhala Na Kahen Balke Hamen Bura Bhala Kahen.”


✦.....✔ Musibat Zadah Shaks Ki Dua ✔.....✦

اللَّهُمَّ رَحْمَتَكَ أَرْجُو فَلاَ تَكِلْنِي إِلَى نَفْسِي طَرْفَةَ عَيْنٍ وَأَصْلِحْ لِي شَأْنِي كُلَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ ‏"
Allaahumma rahmataka 'arjoo falaa takilnee 'ilaa nafsee tarfata 'aynin, wa'aslih lee sha'nee kullahu, laa'ilaaha 'illaa 'Anta.

Aye Allah Main Aap Ki Hi Rehmat Ki Ummid Karta Hun, Lehaza Mujhe Lamha Bhar Ke Liye Bhi Mere Nafs Ke Supurd Na Ki Jiye, Meri Mukammal Halat Durust Farma Dijiye, Aap Ke Alawah Koi Mabood Nahin.” (Sunan Abi Dawud: 5090)

The Messenger of Allah (ﷺ) said: The supplications to be used by one who is distressed are: "O Allah! Thy mercy is what I hope for. Do not abandon me to myself for an instant, but put all my affairs in good order for me. There is no god but Thou." (Sunan Abi Dawud: 5090)

✦.........♥ Ashrah Dhul-Hijjah ♥.........✦

❶ Takbeer o Tahleel - اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ
❷ Taubah o Astaghfar
❸ Tahajjud Aur Duayen
❹ Rozah - (Pehle Ashre Ke 9 Din, Bilkhusu 9 Dhul Hijjah Yaume Arafah Ka Rozah)
❺ Takbirate Tashreeq - (9 Ki Fajr Ta 13 Ki Asr Tak)
اللہ اکبر اللہ اکبر لا الہ الا اللہ واللہ اکبر اللہ اکبر وللہ الحمد
❻ Qurbani - (10 Ta 12 Dhul Hijjah)


✦.....✔ Mushkilaat Ke Hal Ki Dua ✔.....✦

اللهُمَّ لا سَهْلَ إلا مَا جَعَلتَهُ سَهْلا وَ أنتَ تَجْعَلُ الحزْنَ إذا شِئْتَ سَهْلا
Allahumma la sahla illa ma ja`altahu sahla wa anta taj`al ul-hazna idha shi’ta sahla

“Aye Allah! Koi Kaam Aasaan Nahin Magar Wohi Jise Tu Aasaan Karde Aur Tu Mushkil Kaam Jab Chahe Aasan Kar Deta Hai.” (Sahih Ibn Hibban: 974)

“O Allah! There is nothing easy except that which You make easy; and You make the difficult, if You wish, easy (Allahumma la sahla illa ma ja`altahu sahla wa anta taj`al ul-hazna idha shi’ta sahla).” (Sahih Ibn Hibban: 974)


✦.....✔ Doodh Peene Ke Baad Ki Dua ✔.....✦

اللَّهُمَّ بَارِكْ لَنَا فِيهِ وَزِدْنَا مِنْهُ
Allāhumma Bārik Lanā Fīhi Wa zidnā Minhu

“Aye Allah! Hamare Liye Is Mein Barkat Farma Aur Hamen Is Se Bhi Zyadah De.” (Jami` at-Tirmidhi: 3455)

....and whomsoever Allah gives milk to drink, then let him say: “O Allah bless it for us, and grant us increase in it (Allāhumma bārik lanā fīhi wa zidnā minhu).” (Jami` at-Tirmidhi: 3455)


✦.....► Halal Janwar Mein 7 Haram Chizen ◄.....✦

❶ Behta Khoon.
❷ Muzakkar (Bail) Ki Paishab Gaah.
❸ Kapure (Khusyatain).
❹ Mo’annas (Gaee) Ki Paishab Gaah.
❺ Ghudood (Ye Koi Mustaqil Azu Nahin Balke Fasid Gosht Ki Us Gillti Ka Naam Hai Jo Kisi Bimari Ki Wajah Se Ubhar Aati Hai Aur Us Ke Gird Charbi Bhi Hoti Hai).
❻ Masaanah (Wo Jhilli Jis Mein Paishab Jama Hota Hai.)
❼ Pitta. (Ahsan Ul Fatawa : Jild 7 : Safah 406)


✦....✔ Qurbani Karne Wale Baal o Nakhun Na Tarashen ✔....✦

Umm Salama RadiyAllahu Anha reported (these words) directly from Allah's Messenger (ﷺ): "If anyone has in his possession a sacrificial animal to offer as a sacrifice (on 'Id al-Adha), he should not get his hair cut and nails trimmed after he has entered the first days of Dhu'l Hijja."

[Sahih Muslim :: Book 22 :: Hadith 4871, 1977]

Urdu Translation: Hazrat Umm Salamah RadiyAllahu Anha Se Riwayat Hai Ke RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: "Jab Tum Maah Dhul Hijjah Ka Chand Dekh Lo Aur Tum Mein Se Kisi Ka Qurbani Karne Ka Iradah Ho To Use Chahiye Ke Wo (Janwar Zabah Karne Tak) Na Apne Jism Ke Baal Kate Aur Na Hi Nakhun Tarashe."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5119]

●◗► 21-July-2020 Baroze Mangal Ko 29 Dhul Qa’dah Hai Aur Dhul Hijjah Ka Chand Nazar Aane Ka Imkan Hai, Lehaza Qurbani Ka Iradah Rakhne Wale Tamam Hazraat 29 Dhul Qa’dah Mangal (Tuesday) Ke Din Maghrib Se Pehle Pehle Jism Ke Ghair Zaroori Baal Aur Nakhun Wagerah Tarash Len!


✦..........♥ Ashrah Dhul Hijjah Ke Aamal ♥..........✦

● Hajj
● Qurbani
● Yaume Arfah Ka Rozah
● Takbeer o Tasbeeh o Tahmeed
● Allah Se Manajaat
● Tilawate Quran Majid
● Allah Ke Raste Mein Kharch Karna
● Amr Bil Maroof Wa Nahi Anil Munkar
● Din Mein Roze Raton Mein Ibadat

The Messenger of Allah ﷺ said: "There are no days in which righteous deeds are more beloved to Allah than those ten days ( Dhul-Hijjah)." They said: "O Messenger of Allah! Not even Jihad in Allah Cause?" The Messenger of Allah ﷺ said: "Not even Jihad in Allah's Cause, unless a man were to out with his self and his wealth and not return from that with anything."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Dhul Hijjah Ke Dus Dinon Ke Muqable Mein Dusre Koi Din Aise Nahin Jin Mein Naik Aml Allah Ta’ala Ko In Dinon Se Zyadah Mahboob Ho.” Sahaba Ne Arz Kiya: Ya RasoolAllah! Kya Jihad Fi Sabilillah Bhi Nahin?

Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jihad Fi Sabilillah Bhi Nahin, Han Magar Wo Shaks Jo Apni Jaan o Maal Ke Sath Rahe Jihad Mein Nikle Aur Kuch Wapas Lekar Na Aaye (Wahin Shahid Ho Jaye).”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 3 :: Hadith 757, 757]


●◗► “Akele Baith Kar Khud Se Sawal Karen Ke Aap Ke Marne Par Kitne Logon Ki Zindagiyon Par Farq Padega, Jin Logon Ko Farq Padega Un Ka Khayal Rakhen, Aur Koshish Karen Ke Un Ke Liye Aap Ke Baad Aasaniyan Hon Aur Baqi Logon Ki Fikr Chhod Den…!!


✦.............► Jaisi Karni Waisi Bharni!◄.............✦

Abu Sirmah RadiyAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah (ﷺ) said: "Whoever causes harm, Allah harms him, and whoever is harsh, Allah will be harsh with him."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jo Dusre Ko Nuqsan Pohnchaye Allah Subhanahu Wa Ta'ala Use Nuqsan Pohnchayega Aur Jo Dusre Ko Takleef De Allah Subhanahu Wa Ta'ala Use Takleef Dega.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1940, 1940]


✦.........♥ Kapde Tabdeel Karte Waqt! ♥.........✦

The Messenger of Allah (ﷺ) said: “The barrier between the eyes of the Jinn and the nakedness of the Children of Adam is [created] when a Muslim discards a garment and says, 'In the name of Allah besides Whom there is no other god'."

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jinnat Ki Aankhon Aur Bani Adam Ki Sharmgahon Ke Darmiyan Pardah Aur Hijab Ki Surat Ye Hai Ke Aadmi Jab Apne Kapde Utare To Bismillah Padhe.”

[Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani :: 7066]

●◗► Jinn look's at you, While removing clothing recite 'Bismillah'' as the devil gets blinded and can't look at the private parts due to this.


✦.........► Kina o Adawat Ki Aag Ka Wabal! ◄.........✦

Allah's Messenger (ﷺ) as saying: "The gates of Paradise are not opened but on two days, Monday and Thursday. and then every servant (of Allah) is granted pardon who does not associate anything with Allah except the person in whose (heart) there is rancour against his brother. And it would be said: Look towards both of them until there is reconciliation; look toward both of them until there is reconciliation; look towards both of them until there is reconciliation."

[Sahih Muslim :: Book 32 :: Hadith 6222, 2565]

Urdu Translation: Nabi Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya: “Jannat Ke Darwaze Peer Aur Jumerat Ke Din Khole Jate Hain Aur Har Us Bande Ki Maghfirat Kardi Jati Hai Jo Allah Ta’ala Ke Sath Shirk Na Karta Ho, Siwaye Us Shaks Ke Jis Ke Aur Us Ke Bhai Ke Dil Mein Aik Dusre Ke Liye Kina o Adawat Ho, Phir Un Donon Ke Bare Mein Hukum Hota Hai Ke In Ki Maghfirat Mein Intezar Karo Yahan Tak Ke Ye Sulah Karlen, In Donon Ki Maghfirat Mein Intezar Karo Yahan Tak Ke Ye Sulah Karlen, In Donon Ki Maghfirat Mein Intezar Karo Yahan Tak Ke Ye Sulah Karlen.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 6 :: Hadith 6544]


✦....► Khawateen Ki Mulazimat Ki 3 Qurani Sharayet! ◄....✦

❶ Ghair Mahram Mardon Ke Sath Ikhtilat Na Ho: Hazrat Shuaib Alaihis Salam Ki Betiyan Jab Ghar Se Bahar Kaam Ke Liye Niklen To Unhon Ne Farmaya: “Ham Apne Janwaron Ko Us Waqt Tak Pani Nahin Pila Sakten Jab Tak Sare Mard Charwahe Nikal Nahin Jate.” (Al-Quran, Surah Al-Qasas, 23)

❷ Naukri Aur Kaam Ki Ashad Zarurat Ho Aur Koi Kaam
Karne Wala Mard Ghar Mein Na Ho: Hazrat Shuaib Alaihis Salam Ki Betiyon Ne Apne Kaam Kaaj Karne Ki Majburi Ka In Alfaz Mein Tazkirah Farmaya: “Hamare Walid Bahot Budhe Aadmi Hain (Aur Kaam Kaaj Se Qasir Hain).” (Al-Quran, Surah Al-Qasas, 23)

❸ Jab Kisi Kamane Aur Kaam Karne Wale Ka Intezam
Ho Jaye To Fauran Naukri Aur Kaam Chhod Diya Jaye: Hazrat Shuaib Alaihis Salam Ki Betiyon Ne Musa Alaihis Salam Ke Bare Mein Apne Walid Se Farmaya: “Abba Jaan! Aap In Ko Ujrat Par Koi Kaam De Dijiye.” (Al-Quran, Surah Al-Qasas, 26)


✦...► Qurbani Janwar ki Khareedari o Hissa Daari ka Marhala! ◄......✦

❶ Halal Raqam Ka Bandobast Karen.
❷ Razaye Khudawandi Ka Husool Aur Sunnate Ibrahimi Ki Adayegi Ka Jazba Dil Mein Rakhen.
❸ Qurbani Ke Liye Umdah Aur Khoobsurat Janwar Ka Intekhab Karen.
❹ Naam o Namood Aur Numayesh Ke Jazbat Dil Se Nikal Den.
❺ Agar Bade Janwar Mein Hissa Lene Ka Iradah Ho To Pehle Se Hissa Daar Ya Ijtemayi Qurbani Ka Nazm Muntakhab Karlen.
❻ Jis Shaks Ke Bare Mein Yaqeen Ho Ke Us Ki Aamdani Haram Hai Us Ko Hissa Daar Na Banayen.
❼ Isi Tarah Us Shaks Ko Bhi Hisse Daar Na Banayen Jis Ka Maqsad Mahez Gosht Hasil Karna Ho.
❽ Dhul HIjjah Ka Chand Nazar Aane Se Qabl Hajamat Banwalen, Nakhun Tarash Len Aur Zayed Balon Ko Saaf Karlen.


●◗► Afu o Darguzar Se Kaam Len! Kisi Se Ghalti Ho Jaye To Inteqam Na Len Aur Na Hi Ta’an o Tashnee Ka Ise Nishana Banayen Balke Ise Utna Hi Jaldi Muaaf Karden Jitni Jaldi Aap Apne Gunah Aur Ghaltiyan Allah Ta’ala Se Muaaf Karwana Chahte Hain.


🌺 Bhoolta Koi Nahin Bus Yaad Karne Ke Bahane Khatam Ho Jate Hain 🌺


✦..............♥ Dua Ka Martaba ♥..............✦

Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu narrated that: The Prophet ﷺ said: “There is nothing more honorable with Allah [Most High] than supplication.”

Urdu Translation: RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya: “Allah Ke Nazdeek Dua Se Badh Kar Koi Qabile Ikram Cheez Nahin.”

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3370, 3370]


●◗► Qurbani Karne Ke Bajaye Qurbani Ki Qeemat Digar Rafahi Aur Neki Ke Kamon Par Kharch Karne Ki Muhim Chalana Durust Nahin.

Kyun Ke Janwar Ki Qurbani Karna Allah Aur Us Ke Rasool ﷺ Ka Hukum Aur Aik Mustaqil Ibadat Hai Aur Kisi Bhi Naik Kaam Ko Mustaqil Ibadat Ke Qayem Muqam Qarar Dena Durust Nahin.

No comments:

Post a Comment