Monday 3 September 2012


--------------------------{ Qayamat k Din kya Honge }--------------------------
------{ Aasman, Suraj, Chaand, Sitare, Zameen, Pahad, Samandar }------

--{ Aasman }—

• Pus jab Aasman phat kar surkh chamde ki tarah ho jayega.{Surah:Al-Rahman,Aayat:37}
• Aur Aasman phat jayega aur us ki bandish dhili pad jayegi.{Surah:Al-Haqqah, aayat:16}
• Us din aasman misl tail ki tilchat k ho jayega.{Surah:Al-Ma’arij, aayat:8}
• Us din Aasman thar tharane lagega.{Surah:Toor, aayat:9}

--{ Suraj, Chaand, Sitare }--

• Suraj be noor ho jayega.
• (Qayamat k roz) suraj lapait diya jayega.{Surah:Al-Takwirr, Aayat:1}
• Aur chaand be noor hojayega.{Surah:Al-Qiyamah, aayat no:8}
• Suraj aur chaand ikhatte kardiye jayenge.{surah:Al-Qiyamah, aayat:9}
• Pus jab sitare be noor kardiye jayenge.{Surah:Al-Mursalat, aayat:8}
• Aur jab sitare be noor ho jayenge.{Surah:Takwir, aayat:2}
• Aur jab sitare bikhar jayenge.{Surah:Al-Infitar, aayat:2}

--{ Zameen }—

• Jab zameen zalzale k sath hila di jayegi.{Surah:Al-Waqiah, aayat:4}
• Zameen Allah tala k dar se kanpne lage gi.
• Us roz zameen aur pahad kanpne lagenge aur pahad rait k zarre ban kar bikhar jayenge.{Surah: Al-Muzzammil, aayat:14}
• Jab zameen buri tarah hila dali jayegi aur wo apne sare bojh (murde aur digar ashya) bahar nikal phenke gi.(Surah:Al-Zalzalah, aayat:1-2)
• Jab soor phunka jayega to zameen aur pahado ko aik hi chot se reza reza kardiya jayega.{Surah: Al-Haqqah, aayat:13-14}
• Aur jab zameen (kheench) kar phailadi jayegi.{Surah: Al-Inshiqaq, aayat:3}
• Allah Tala zameen ko bilkul hamwaar saaf maidan kar k chhodega jis me tu na kahi mod tod daikhe ga na oonch neech.{Surah:Taha, aayat:106-107}
• Us zameen k oopher jo kuch (nabatat) hai use ham saaf kar k hamwar maidan banadenge.{Surah:Al-Kahf, aayat:8}

--{ Pahad, Samandar }--

• Aur aap pahadon ko daikh kar apni jagah jame huwe khayal karte hai lekin wo bhi badal ki tarah udhte phirenge ye hai san’at Allah ki jis ne har cheez ko mazboot banaya hai jo kuch tum karte ho us se wo ba khabar hai.{Surah:Naml, aayat:88}
• Aur pahad chalaye jayenge yahan tak k wo rait k zarrat ban jayenge.{Surah:Al-Naba, aayat:20}
• Log tum se pahadon ki nisbat sawal karte hain? To aap keh de k inhen mera Rab reza reza kar k uda dega.{Surah:Taha, aayat:105}
• Aur pahad bilkul reza reza kardiye jayenge phir wo misl bikhra huwa gubaar ban kar rah jayenge.{Surah:Al-waqiah, aayat:5-6}
• Aur pahad dhune huwe rangeen uoon ki tarah ho jayenge.{Surah:Al-Qariah, aayat:4}
• Aur jab samandar bhad ka diye jayenge.{Surah:Al-Takwir, aayat:6}
• Aur jab samandar beh niklenge.{Surah:Al-Infitar, aayat:3}


------------{ Assalamualaikum wa Rahmatullahi wa Barakatuh }------------

Shuru Allah k Naam se: Aur jub Tumhen Salam kiya Jaye to tum usse Accha jawab do ya unhi Alfaz ko Loutado, Beshak Allah tala har cheez ka Hisab lene wala hai.(Surah:Al-Nisa, Surah No:4, Aayat No:86)

When a (courteous) greeting is offered you, meet it with a greeting still more courteous, or (at least) of equal courtesy. Allah takes careful account of all things. (The Holly Quran - Chapter 4, Al-Nisa - Verse 86)



......................✿....... H A D E E S .......✿......................

عائشہ (رضي اللہ تعالی عنہا) ام المومنین سے روایت ہے کے نبی (صلی اللہ علیہ واله وسلم) نے فرمایا.. الله تعالیٰ اس عورت کی نماز قبول نہیں فرماتے جو بلوغت تک پہنچ جاۓ اور پردہ نہ کرے.

[ ابو داؤد، کتاب:2 ، حدیث:641 ]

Narrated Aisha (Razi Allah Ta'ala Anha) Ummul Mu'minin The Prophet said (Sallallahu Alaihi Wa'alehi Wasallam) Allah does not accept the prayer of a woman who has reached puberty unless she wears a veil.

[Dawud :Book 2 :Hadith 641]


----------------{ Jab Kabhi Gairate Insan ka Sawal aata Hai }----------------
----------------{ Bint e Zohra Tere Parde ka Khayal Aata Hai }----------------

--{ Meri Bahen Haya Kar }--

• Yun jism ko dikha kar, sar se rida hata kar,
• Khud ko bana saja kar, sadko pe mat chala kar,
• Meri bahen haya kar.
• Aourat to wo hai jo k, har gair ki nazar se,
• Khud ko bachaye rakkhe, jame me apne aakar,
• Meri bahen haya kar.
• Islam ka hai kehna, iman me khalal ka,
• Ba’is hai tera jalwa, mardo pe ye ata kar,
• Meri bahen haya kar.
• Islam ne kaha hai, k Aql se haya hai,
• Be aql hai k kya hai, ye sonch kar bata kar,
• Meri bahen haya kar.
• Azmath, waqar, iffat, Parde ki hai Badolat,
• Parda hai teri izzat, Izzat ko rakh bacha kar,
• Meri bahen haya kar.
• Teri ye kij adai, teri ye be hayai,
• Shohar se be wafai, shohar se tu wafa kar,
• Meri bahen haya kar.
• Hai ye gunahe akbar, duniyae bd se badtar,
• Dozakh tera muqaddar, dozakh se tu dara kar,
• Meri bahen haya kar.
• Parde me rah k jitni tu chahe kar taraqqi,
• Hayel nahi hai koi, bhai ki tu suna kar,
• Meri bahen haya kar, Meri bahen haya kar, Meri bahen haya kar.

Dua-e-Qunoot is recited in the third Rakat of Witr (Witar) Salaah after Isha Prayer

"Allah humma inna nasta-eenoka wa nastaghfiruka wa nu'minu bika wa natawakkalu alaika wa nusni alaikal khair, wa nashkuruka wala nakfuruka wa nakhla-oo wa natruku mai yafjuruka, Allah humma iyyaka na'budu wa laka nusalli wa nasjudu wa ilaika nas aaa wa nahfizu wa narju rahma taka wa nakhshaa azaabaka inna azaabaka bil kuffari mulhikun".

Aye Allah! Hum tujh se madat chahte hai aur tujh se muaafi mangte hai aur Tujh per Iman late hai aur Tujh per bhrosa rkhte hai aur Teri bahot acchi tareef karte hai aur Tera shukr karte hai aur Teri na shukri nahi karte aur Alag karte hai aur chodte hai us shaksh ko jo Teri nafarmani karen, Ilahi hum teri hi Ibadat karte hai aur Tere hi liye Namaz padhte hai aur sajdah karte hai aur Teri hi taraf doaudte aur khidmat k liye hazir hote hai aur Teri rahmat k ummeed waar hai aur Tere azab se darte Hai Beshak tera azab kafiron ko milne wala hai.

"O' Allah! We implore You for help and beg forgiveness of You and believe in You and rely on You and extol You and we are thankful to You and are not ungrateful to You and we alienate and forsake those who disobey You. O' Allah! You alone do we worship and for You do we pray and prostrate and we betake to please You and present ourselves for the service in Your cause and we hope for Your mercy and fear Your chastisement. Undoubtedly, your torment is going to overtake infidels".


----------------{ Aye Abuzar tu Yunhi be Fikr k Jiye ja Raha tha }----------------

Zindagi main do pal koi mere paas nahi baitha,
Aaj sab mere paas baithe ja rahe hai,
Koi dua ka tohfa na mila aaj tak mujhe,
Aur aaj sab mere magfirat ki dua diye ja rahe hai,
Taras gaye ham kisi k hath se ek kapde ko,
Aur aaj naye naye kapde pehnaye ja rahe hai,
Do qadam sath chalne ko na tayyar tha koi,
Aur aaj sab qafila banker le ja rahe hai,
Aaj pata chala k mout itni haseen hoti hai,
Aye Abuzar tu yunhi be fikr k jiye ja raha tha.

Jayega jab Jahan se kuch bhi na Paas hoga,
Do gaz kafan ka tukda tera Libas hoga.
Kabhi ham aise the Jaise Aaj tum ho Aur,
Kal tum aise ho jaoge jaise aaj ham Hain.

Aye Allah Ham sab ko Aakhirat ki Tayyari karne ki Toufeeq Ata Farma Aameen.

Shuru Allah k Naam se: Aur ham kisi na kisi tarah tumhari aazmaish zaroor karenge, dushman k dar se, bhook pyas se, Maal-0-Jaan aur phalo ki kami se aur un sabr karne walon ko khushqabri dai dijiye.(Surah:Al-Baqarah, Surah No:2, Aayat No:155)

Be sure we shall test you with something of fear and hunger, some loss in goods or lives or the fruits (of your toil), but give glad tidings to those who patiently persevere.(The Holly Quran - Chapter 2, Al-Baqarah - Verse 155)


--------------------------------{ Sachche Moti }-------------------------------

• Kaaba par Gilaf is liye hai k pata chale k ye koi aam ghar nahi Allah ka ghar hai.
• Quran par Gilaf is liye hai k pata chale k ye koi aam kitab nahi Allah ki kitab hai.
• Aourat ko parde ka hukum hai k pata chale ye koi aam aourat nahi Musalman aourat hai.
• Apni nazron ko bhi jhuka kar chala karo k pata chale k ye koi aam shaksh nahi Hazrat Muhammad s.a.w ka ummati hai.

• Allah k khof se tanhai me rone k siwa koi bhi cheez Allah ki narazgi ko nahi mita sakti.
• Dua k siwa koi cheez taqdeer k faisle ko rad nahi kar sakti.
• Naiki k siwa koi cheez umr ko nahi badha sakti.
• Sadqe k siwa koi cheez musibat ko nahi taal sakti.
• Zakat k siwa koi cheez doulat aur maal ko paak nahi bana sakti.
• Kayenat me khair o shar dono moujood hai shar se bachne ka wahid rasta ye hai k Allah ki raza me yun doob jao k sirf Allah hi Allah baqi rah jaye.
• Khuda un mutakabbiron ko sakht na pasnd karta hai jin ki chaal me akad hoti hai aur aise logon par zameen o aasman la’nat karte hai.

Shuru Allah k Naam se: Aur ham ne aap se Pehle bhi apne Rasoolon ko un ki Qoum ki Taraf bheja wo un k paas dalilain layen, Phir ham ne Gunhgaron se inteqam liya, ham par Momino ki madat karna lazim hai.(Surah:Al-Rum, Surah No:30, Aayat No:47)

We did indeed send, before thee, messengers to their (respective) peoples, and they came to them with Clear Signs: then, to those who transgressed, we meted out Retribution: and it was due from us to aid those who believed. (The Holly Quran - Chapter 30 , Al-Rum - Verse 47)


------------------{ Allah Tabarak o Tala k Mahboob Koun? }------------------

--{ Mahbubiyat ki Shart Awwal }--

Shuru Allah k Naam se: keh dijiye! Agr tum Allah Tala se mohabbat rakhte ho to meri tabedari karo khud Allah Tala tum se mohabbat karega aur tumhare gunah muaaf farmadega aur Allah Tala bada bakhashne wala maherban hai.(Al-Imran, Aayat:31)

• Beshak Allah neki karne walon ko dost rakhta hai.(al-baqarah, aayat:195)
• Beshak Allah toba karne walon ko aur paak rahne walon ko pasnd farmata hai.(al-baqarah, aayat:222)
• Beshak Allah Tala parhaiz garon se mohabbat karta hai.(al-imran, aayat:76)
• Aur Allah sabr karne walon ko (hi) Chahta hai.(al-imran, aayat:146)
• Beshak Allah Tala tawakkul karne walo se mohabbat karta hai.(al-imran, aayat:159)
• Beshak Allah insaf karne walon k sath mohabbat rakhta hai.(al-maidah, aayat:42)
• Aur Allah Tala paak rahne walon ko pasnd karta hai.(al-toba, aayat:108)
• Beshak Allah to un ko pasnd karta hai jo us ki rah me saf baandh kar ladte hain goya wo sisa pilayi huwi diwar hai.(al-saf, aayat:4)
• Tum Allah Tala k Zikr me dil lagalo sukoon aur itminan tum se dil laga lenge.

Allah Tala Farmate hai Bande se:Tu karta wo hai jo Tu chahta hai, Par hota wo hai jo Main chahta hoon,Tu wo kar jo Main chahta hoon, Phir wo hoga jo Tu Chahta hai.

Shuru Allah k Naam se: Pus Duniyavi Zindagi ki halat to Aisi hai jaise hum ne Aasman se Pani barsaya phir usse zameen ki Nabatat, jin ko Aadmi aur Chao paye Khate hai, khoob gnjaan ho kar nikli, Yahan tak k Jub wo Zameen Apni Rounq ka Poora hissa le chuki aur us ki khoob Zaibayesh hogai Aur us k Maliko ne samjh liya k ab hum is per Bilkul Qabiz ho chuke to Din me ya Raat me us per Hamari taraf se koi hukum (Azab) Aapda so hum ne us ko Aisa saaf kardiya k Goya kal wo Maujood hi na thi , Hum Isi tarah Aayat ko saaf saaf Bayan karte hai Aise logon k liye Jo sonchte hai.(Surah:Yunus, Surah No:10, Aayat No:24).

The likeness of the life of the present is as the rain which we send down from the skies: by its mingling arises the produce of the earth which provides food for men and animals: (it grows) till the earth is clad with its golden ornaments and is decked out (in beauty): the people to whom it belongs think they have all powers of disposal over it: there reaches it our command by night or by day, and we make it like a harvest clean mown, as if it had not flourished only the day before thus do we explain the Signs in detail for those who reflect. (The Holy Quran-Chapter 10, Yunus – Part of Verse 24).


-------------------{ Rasool paak ki Midhat Bayan Kaise Karun }-------------------

Rasool paak ki midhat bayan kaise karun,
Mili hai un se jo Naimat bayan kaise karun,

Labo pe naam ka aana husool barkat hai,Hai pairwi ki jo Lazzat bayan kaise karun,
Wo khush naseeb jo un k mutee hote hai,Mile gi un ko hi jannat bayan kaise karun,
Karenge pairwi jo bhi rasool akram ki,Unhen milegi shifa’at bayan kaise karun,

Zaleel o khwar hai ta’at se un k door hai jo,
Naseeb us ko hai zillat bayan kaise karun,
Madina jaun na aaun wahi pe rah jaun,
Wahan pe rahne ki barkat bayan kaise karun,

Faqt Quran o sanan par aml karu warna,
Hai bid’ati pe jo La’nt bayan kaise karun,
Wo qoul wo fail k jis me mutabiqat hi na ho,
Hai ye nifaq ki surat bayan kaise karun,

Nabi ki shan me adna si jo iha’nt hai, Hai us ki kitni mazmat bayan kaise karun,
Jo door hogaye ta’at se un ki ruswa hai, Wahi hai sahab bid’at bayan kaise karun,

Jo khoo k pyase the qatil the sakht dushman the,
Mili inhen bhi hidayat bayan kaise karun,

Hai itteba nabi Itteba rahma bhi,Hai bas inhin ki ye azmath bayan kaise karun,
Hakeemul umma Nabi hai Imam Aazam bhi,Unhi pe utri shari’at bayan kaise karun,
Tamam ambiyan the muqtadi shabe asra,Karai sab ki imamat bayan kaise karun,

Zaban me quwwat goyayi na qalam me hayat,
Meraj un ki mai Raf’at bayan kaise karun.

-------------------{ Sallallahu Alaihi Wasallam }-------------------

Shuru Allah k Naam se: Siwaye Allah k tumhara wo kounsa lashkar hai jo tumhari madat kar sakain, kafir to sara sar dhoke hi me hain.(Surah:Al-Mulk, Surha No:67, Aayat No:20)

Nay, who is there that can help you, (even as) an army, besides (Allah) Most Merciful? In nothing but delusion are the Unbelievers.(The Holly Quran - Chapter 67 , Al-Mulk - Verse 20)


--{ Ibraten Beshumar Hain, Magar Inka Asar Lene Wale Bahot Kum Hain }--

• Aansuon ka jari Na hona dil ki sakhti ki wajeh se hai.
• Dil ki sakhti gunaho ki kasrat ki wajeh se hai.
• Gunahon ki kasrat mout ko bhulane ki wajeh se hai.
• Mout se gaflat lambi ummidon ki waje se hai.
• Lambi ummiden duniya se mohabbat ki waje se hai.
• Duniya ki mohabbat hi har gunah ki jad hai.

• Zindagi ko is Tarha Jeo k Jaise hamesha Zinda hi Rehna hai…! Aur
• Aakhirat ki Fikar Aise karo Jaise aglay hi lamhe mar Jana hai…! (Hazrat Ali r.a)

• 3 ka Ehteram karo: Waldain, Ustad, Buzurg.
• 3 ko sath rakho: Sacchai, Iman, Naiki.
• 3 ko yaad rakho: Nasihat, Ehsan, Mout.
• 3 k liye lado: Watan, Izzat, Haq.
• 3 par qabo rakho: Nafs, Gussa, Zaban.
• 3 se bacho: Hasad, Burai, Chogli.
• 3 aik baar milti hai: Waldain, Husn, Jawani.
• 3 samajh kar uthao: Qadam, Qasam, Qalam.
• 3 sonch kar karo: Mohabbat, Baat, Faisla.
• 3 kisi ka intezar nahi karti: Mout, Waqt, Umr.
• 3 ko chota mat samjho: Farz, Qarz, Marz.


******{ In the name of Allah, the Most Beneficent, the Most Merciful }******
Shuru Karta Hu Allah Tala k Naam se Jo Bada Maherban Nihayat Rahem Wala Hai

Aap keh Dijiye k Aye Kafiron! Na mai Ibadat krta hun us ki Jis ki tum Ibadat krte ho, Na tum Ibadat karne wale ho us ki Jis ki Mai Ibadat karta hun, Aur na mai Ibadat karunga jiski tum Ibadat karte ho, Aur na tum us ki Ibadat karne wale ho ji ki mai Ibadat kaar raha hun, Tumhare liye Tumhara Deen hai Aur mere liye Mera Deen hai.(Surah:Kafirun)

Aap keh dijiye k wo Allah Tala Aik (hi) Hai, Allah Tala beniyaz hai, Na usse koi paida huwa na wo kisi se Paida huwa, Aur na koi us ka humser Hai.(Surah:Al-Ikhlas).

Aap keh Dijiye! k mai subah k Rab ki panah me aata hun, Hur us cheez k shar se jo us ne Paida ki, Aur Andhairi raat ki Taariqi k shar se jub us ka Andhaira Phail jaye, Aur girah (laga kar un) me Phook ne Waliyon k shar se (bhi), Aur hasad karne wale ki burai se bhi jub wo Hasad kare.(Surah:Al-Falaq)

Aap keh Dijiye! k mai logon k parwardigaar ki panah me aata hu, Logon k Malik ki (aur), Logon k mabood ki (panah me), waswase dalne wale peeche hut jane wale k shar se, Jo logon k sino me waswase dalta hai, (kwah) wo Jin me se ho ya Insan me se.(Surah:Al-Nas)

Allah Tala hi Mabood barhaq hai Jis k siwa koi Mabood nahi, Jo zinda aur sab ka Thamne wala hai, Jise na uoongh aaye na neend, us ki Mulkiyat me zameen aur Aasmano ki tamam Cheezain hai, koun hai jo is ki Ijazat k bagair is k samne shifaat karsake, wo Janta hai jo un k samne hai, Aur jo un k piche hai, Aur wo us k ilm me se kisi cheez ka Ihata nahi karskte magr Jitna wo chahe, us ki kursi ki wus’at ne zameen o Aasman ko ghair rakha hai aur Allah Tala un ki hifazat se na thkta hai aur na uktata hai, wo to bahot bulnd aur bahot bada hai.(Surah:Al-Baqarah, Surah No:2, Aayat No:255)

Say: O ye that reject Faith! I worship not that which ye worship, Nor will ye worship that which I worship, And I will not worship that which ye have been wont to worship, Nor will ye worship that which I worship, To you be your Way, and to me mine. (SURAH: AL-KAFRUN)

Say: He is Allah, the One and Only, Allah, the Eternal, Absolute, He begetteth not, nor is He begotten, And there is none like unto Him. (SURAH: AL-IKHLAS)

Say: I seek refuge with the Lord of the Dawn, From the mischief of created things, From the mischief of Darkness as it overspreads, From the mischief of those who practise Secret Arts, And from the mischief of the envious one as he practises envy. (SURAH: AL-FALAQ)

Say: I seek refuge with the Lord and Cherisher of Mankind, The king (or Ruler) of Mankind, The Allah (or Judge) of Mankind, From the mischief of the Whisperer (of Evil), who withdraws (after his whisper), (The same) who whispers into the hearts of Mankind, Among [or from] Jinns and among [or from] Men. (SURAH: AL-NAS)

Allah! There is no God save Him, the Alive, the Eternal. Neither slumber nor sleep overtaketh Him. Unto Him belongeth whatsoever is in the heavens and whatsoever is in the earth. Who is he that intercedeth with Him save by His leave? He knoweth that which is in front of them and that which is behind them, while they encompass nothing of His knowledge save what He will. His throne includeth the heavens and the earth, and He is never weary of preserving them. He is the Sublime, the Tremendous.(The Holly Quran - Chapter 2, Al-Baqarah - Verse 255)


------------------------{ Naimaten Jin ka Hisab Hoga }------------------------

• Insan ko di gai mukhtalif naimaton ka hisab liya jayega.
• “Phir tum us roz naimaton k bare me puche jaoge”.(surah:taksur, aayat no:8)
• Kaan, Aankh aur Dil wagerah k bare me bhi sawal hoga.
• “wo Allah hi hai jis ne tumhare liye kaan aur aankh aur dil paida kiye magar tum bahot (hi) km shukr ada karte ho”.(surah:muminun, aayat no:78)
• Izzat, ohda, daowlat aur biwi bhi naimaten hai jin k bare me bhi sawal hoga.
• Tandrsuti aur thande pani k bare me bhi sawal hoga.
• sahet aur waqt k bare me bhi sawal hoga.
• kaan, aankh, maal, aoulad, maweshi aur khait jaisi naimaton k bare me bhi sawal hoga.

Hazrat Abu Hurairah r.a kehte hai Rasulullah s.a.w ne irshad farmaya: “Qayamat k roz logon se naimaton k silsilen me sab se pehle jis cheez ka sawal hoga wo ye hoga kya ham ne tere badan ko sahet na di aur thande thande pani se sair na kiya?”. (tirmizi).

Hazrat Abdullah bin abbas r.a se riwayat hai Rasulullah s.a.w ne farmaya: “do naimaton k bare me logon ki aksariyat dhoke me padi huwi hai sahet aur faragat”.(bukhari).

Hazrat Abu Hurairah r.a aur Hazrat Abu saeed r.a kehte hai Rasulullah s.a.w ne Farmaya: “Qayamat k roz aik Aadmi ko laya jayega aur Allah Tala us se daryaft farmayega “kya mai ne tujhe kaan, aankh, maal aur aoulad nahi di thi, tere liye maweshi aur khait musakkhar nahi kiye the, tujhe sardari ka moqa bhi ata kiya ta k tu aik chothai mua’fza wusool karen, phir kya aaj k roz mulaqat ka tujhe yaqeen tha (ya nahi)?” Aadmi kahe ga “Nahi” Allah Tala us se Irshad farmayenge “Aaj ham tujhe usi tarah bhulaye dete hai jis tarah tu ne hamen bhula diya tha” (tirmizi).

Darj zail 5 Cheezon ka hisab bhi Liya jayega:Hazrat Abdullah bin Masood r.a se riwayat hai Nabi Akram s.a.w ne Farmaya: Qayamat k roz insan k qadam us waqt tak Nahi hatne diye jayenge jab tak 5 baton ka jawab na delen.
1. Umr kis kaam me khapai?
2. Jawani kis kaam me basar ki?
3. Maal kaha se kamaya?
4. Maal kaha par kharch kiya?
5. Apne ilm k mutabiq aml kaha tak kiya? (tirmizi).


Shuru Allah k Naam se: Aur un k liye aik nishani raat hai jis se ham din ko alag kar dete hain to wo yaka yak andhere me rah jate hain.(Surah:Yasin, Surah No:36, Aayat No:37)

And a Sign for them is the Night: We withdraw therefrom the Day, and behold they are plunged in darkness.(The Holly Quran - Chapter 36, Yasin - Verse 37)


----------------------{ Dil me Ghar kar Jane Wali Batain }----------------------

• Agr tum hanste ho to sari duniya tumhare sath hanse gi, lekin rote waqt tumhen akele rona padega.
• Lakhon ko dost banana koi badi baat nahi, badi baat ye hai k aik aisa dost banao jo tumhara us waqt sath de, jab lakho tumhare mukhalif hon.
• Gunah se bachne ka aasan tareen hul ye hai k Gunahon ko talte raho gunah se bache rahoge aise hi jaise naiki ko talte ho.
• Kisi ko ilzam dete waqt apne gireban me jhaank lena chahiye.
• Kabhi kisi ka dil mat dukhao kyun k muaafi mang lene k bawajood use dukh zaroor rahega Jaise diwar me lage keel ko nikaalne k bawajood Nishan rah jata hai.
• Koi tumhara dil dukhaye to naraz mat hona, kyun k Qudrat ka qanoon hai jis darakht ka phal zyada mitha hota hai log patthar bhi usi ko marte hai.
• Dushmano k darmiyan aise raho jaise aik (1) zaban battees (32) danton k darmiyan rahti hai, milti sab se hai dabti kisi se nahi.
• Shak aik aisi Bimari hai jo insan ka sukoon khatam kar deti hai.


Shuru Allah k Naam se: Aam logon k liye to ye (Quran) bayan hai aur Parhaiz garon k liye hidayat o nasihat hai.(Surah:Al-Imran, Surah No:3, Aayat No:138)

Here is plain statement to men, a guidance and instruction to those who fear Allah! (The Holly Quran - Chapter 3, Al-Imran - Verse 138)


------{ Sab se Bada Gunah wo hai jo Karne wale ki Nazar me Chota ho }------

• Neki Allah ki taraf se hai, Gunah shaitaan aur nafs ki taraf se hai.
• Neki karna mushkil hai aur Gunah ka karna bahot aasan hai.
• Neki Jannat ki Raah hai, Gunah Jahannam ki Raah hai.
• Neki wo hai jis me Allah ki raza ho, Gunah wo hai jis me shaitan aur nafs ki raza ho.
• Neki wo hai jo sunnat k mutabiq ho, Gunah wo hai jo Sunnat k khilaf ho.
• Neki Dil ko zinda karti hai, Gunah Dil ko murda karta hai.
• Neki Namaz Allah k liye pdhna hai, Gunah Logon k dikhwae k liye padhna hai.
• Neki duniya aur aakhirat me kaam aati hai, Gunah sirf duniya me kaam aata hai.
• Neki kar k gunah karna Insan ka kaam hai, Gunah kar k toba karna Musalman ka kaam hai.

Hazrat Abu hurairah r.a se riwayat hai k Rasulullah s.a.w ne farmaya: Momin banda jab koi gunah karta hai to us k natije me us k dil per aik siya noqta lag jata hai, phir agr us ne us gunah se toba ki aur Allah Tala k huzoor me muaafi aur bakhshish ki ilteja o dua ki to wo siya noqta zayel ho kar qalb (dil) saaf ho jata hai aur agr us ne gunah k baad toba o istegfar k bajaye mazeed gunah kiye aur gunahon ki wadi me qadam badhaye to dil ki wo siyahi aur badh jati hai, yahan tak k qalb pr cha jati hai, Aap s.a.w ne farmaya k: yahi wo zang aur siyahi hai jis ka Allah Tala ne is aayat me Zikr farmaya: un ki badkariyon ki wajeh se un k dilon per zang aur siyahi aagai hai.{83:14} (musnad ahmad, tirmizi).

Allah Tala ham sab ko Gunaho se bachne ki toufeeq Ata Farmaye, Aye Allah ham ne ab tak jo bhi Gunah jan kar kiye hai ya Anjane me ham se hogaye ho to Aye Allah tu apne Fazl o karam se Muaaf farmade ham Ahed karte hai aye Allah k ham ainda gunah nahi karenge, ham sab ki tu hifazat farma, hame gunaho se bachaye rakhna Hame naiki karne wala bana gunahon se aye allah hame door rakh, Aye Allah ham gunahgar hai khata kar hai teri muaafi k talab gar hai aye Allah ham sab ko tu muaaf karde muaaf karden Aameen.


Shuru Allah k Naam se: Naikiyan karne walon k liye bhalai bhi hai aur zyadati bhi, na to un k chahron per siyahi hogi aur na zillat, ye to jannati log hai jo waha hamesha hamesha rahenge.(Surah:Yunus, Surah No:10, Aayat No:26)

To those who do right is a goodly (reward) yea, more (than in measure)! No darkness nor shame shall cover their faces! They are Companions of the Garden; they will abide therein (for aye).(The Holly Quran - Chapter 10 , Yunus - Verse 26)


----------------------------{ Phoolon Jaisi Baten }----------------------------

• Zindagi ki asal khoobsurti ye nahi k Aap kitne khush hai bal k zindagi ki asal khoobsurti to ye hai k doosre aap se kitna khush hain.
• Logon k khof se haq ki baat kehne se na ruko kyun k na to koi mout ko qareeb kar sakta hai aur na koi rizq ko door kar sakta hai.
• Logon ko dua k liye kehne se behter hai k aise aml karo k logon k Dil se aap k liye dua nikle.
• Doulat, Rutba aur Ekhtiyar milne par Insan badalta nahi us ka asli chehra samne aajata hai.
• Khoobsurat log lazmi nahi k acche ho, Lekin Acche log hamesha khoosurat hote hai.
• Do chehre insan ko kabhi nahi bhoolte Aik mushkil me sath dene wala aur doosra mushkil me sath chhod jane wala.
• Gunah k chota hone ki taraf na daikho bal k ye daikho k tum Nafarmani kis ki kar rahe ho.



----------------------{ April Fool Ek Gunaho Ka Zakhira }----------------------
----------------------{ Aur Jhoot Bolna Gunahe Kabirah }----------------------

Faisla Aap Khud Karen --{ April fool }-

Jhoot bolne wale par ALLAH TA'ALA ki laanat hoti hai.(Surah:Al Imran, Surah No:3, Aayat No. 61)

Har saal 1April ko April fool manaya jata hai, Is ki ibteda k bare me mukhtalif Kahaniya Milti hai, “ Kahani koi bhi ho Sawal ye paida hota hai”.

• Kya ham samajhte hai jhoot bolna acchi adat hai?
• Kya ham pasnd karte hai k koi ham se jhoot bole?
• Kya ham me se koi pasnd karta hai k us ka mazakh udaya jaye?

Yaqinan ham jhoot ko accha nahi samajhte na hi kisi ka mazakh udana hamare nazdeek koi pasndida harkat hai aur na hi Ham khud apne liye aisa chahte hai to Phir April Fool kaise mana sakte hai Jo Jhoot bolkar doosron ko bewaqoof banana aur un ka Mazakh udane ka din hai.

Allah Tala Irshad Farmate hai: “Aye Iman walon! Mard doosre Mardon ka Mazaq na udayen Mumkin hai k ye un se behter ho aur na Aaorten Aaorton ka Mazaq udayen Mumkin hai k ye un se behter hon, aur Aaps me aik doosre ko Aaib na Lagao, Aur na kisi ko Bure Laqab do, Iman k baad Fusq bura Naam hai, Aur jo toba na karen wahi Zalim log hai.(Surah: Al-Hujrat, Surah No:49, Aayat No:11)

• Na mazakh banayye aur na mazakh ka nishana baniye.
• Na jhoot boliye aur na kisi k jhoot me shamil hoyye.
• Apne akhlaq o aamal ki khoobsurti ko duniya k samne layye ta k wo jaan saken k aap kitne shandar deen k numayenda hain.
• Rasulullah s.a.w ne Farmaya: “Jis ne kisi qoum ki mushabihat ikhtiyar ki wo unhi me se hai.(bukhari).
• Kisi ko Fool banana aik Qabeeh (buri) harkat hoti hai, Jhoot bole bagair kisi ko bewaqoof nahi banaya ja sakta aur Aik Musalman ko Jhoot nahi zeba deta.
• Rasulullah s.a.w ne Farmaya: “Halakat hai us shaksh k liye jo logon ko hansane k liye jhoot bole, us k liye halakat hai, us k liye halakat hai.(abudawood,tirmizi).
• Yaad rahe! Musalman wo hai jo apne bhai k liye wahi pasnd karta hai jo apne liye pasnd karta hai, jab ham apne liye jhoot aur mazakh pasnd nahi karte to phir kisi doosre k liye kaise kar sakte hai?.
• Aur Jhoot bolna gunahe kabirah hai.
• Allah Tala ham sab ki hifazat farmaye Aameen.


Shuru Allah k Naam se: Aye Logon! Apne us Rab ki Ibadat karo jis ne tumhe aur tum se pehle k Logon ko paida kiya, yahi tumhara bachao hai.(Surah:Al-Baqarah, Surah No:2, Aayat No:21)

O ye people! Adore your Guardian Lord, Who created you and those who came before you, that ye may become righteous.(The Holly Quran - Chapter 2, Al-Baqarah - Verse 21)


-----------------------------{ Anmol Moti }-----------------------------

• Bagair koshish k kamiyabi aisa hai jaise bagair paro k udne ki koshish karna.
• Suraj guroob hone par agr tum rote raho ge to sitaron ko bhi kho baithoge.
• Jab manzil samne ho to raste talash nahi karte.
• Mout aisa qarz hai jo ham sab ko aik na aik din ada karna hai.
• Agar manzil pana chahte ho to kabhi mayoos na hona.
• Aakhirat ka kaam aaj karle, duniya ka kal karlena.
• Khush kalami aisa phool hai jo murjhata nahi.
• Itna narm na bano k nichhod liye jao aur na itna sakht k tod diye jao.
• Kisi ka dil mat dukhao kyun k tumhare pahlu me bhi dil hai.
• Tanahai me nasihat karne se islah, jab k sare aam nasihat karne se ruswai hoti hai.
• Kisi gareeb insan k bhaide aur phate huwe libas ko na daikho bal k us ki sharafat aur insaniyat ko daikho.
• Apni islah karna sab se mushkil doosron per nokta chini karna sab se aasan kam hai.

---------------- Koun Kehta hai k koi Mera Nahi Raha
---------------- Jab tak Khuda ki Zaat hai Tanha Nahi hu Mai.


Shuru Allah k Naam se: Be kas ki pukaar ko jub k wo pukare, koun Qabool kar k sakhti ko door kardeta hai? aur tumhen zameen ka khalifa banata hai, kya Allah Tala k sath aur mabood hai? tum bahot km Nasihat o Ibrat hasil kartai ho.(Surah:An-Naml, Surah No:27, Aayat No:62)

Or, who listens to the (soul) distressed when it calls on Him, and who relieves its suffering, and makes you (mankind) inheritors of the earth? (Can there be another) god besides Allah? Little it is that ye heed!(The Holly Quran - Chapter 27 , An-naml - Verse 62)


------------------------{ Sab ko Pata hai Sab Jante Hai }------------------------

• Sab ko pata hai sab jante hai k filmo me kaam karne wale sharabi hai.
• Sab ko pata hai sab jante hai k filmo me kaam karne wale zani hai.
• Sab ko pata hai sab jante hai k filmo me kaam karne wale be haya hai.
• Sab ko pata hai sab jante hai Phir bhi ham un ko apna ideal mante hai.
• Sab ko pata hai sab jante hai phir bhi ham un se mohabbat karte hai.
• Kya aap aise gande aur na paak logon ko apna ideal banaoge?
• Jis ne in jaiso ko pasnd kiya us ki Pasnd bhi gandi, sonch bhi gandi.

Mujhko Bada hi Afsos hota hai k Hamare pyare bhai aur bahne aise logon ko pasnd karte hai aur un se mohabbat karte hai un ki adao ko apne zindagi me late hai, Kash! K ye log aisi mohabbat hamare pyare Nabi s.a.w se karte, Kash! K ye log hamare pyare Nabi s.a.w ki sunnaton per aml karte, kya ye log bhool chuke k ye duniya fani, yaha ki har cheez fani hai aik din hamen Allah Tala k yaha khada hona hai agr ham in jaiso ko pasnd karenge to hamara hashr bhi un hi k sath hoga. "The Prophet (peace_be_upon_him) said: He who copies any people is one of them." - Sunan Abu-Dawud, Book 32, #4020 - Narrated Abdullah ibn Umar. [1].

Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:1. Gane wali moazzaz ho jayengi 2. Mosiqi k aalat ki hifazat ki jayegi. Jo jis se Muhabbat kare Ga Jis k Culture ko Follow kare ga us ka Hashar unhi main se hoga.....

Mere pyare bhai aur bahno se meri adaban guzarish hai k behuda gane ya pics upload na kare aur apne Profile pic per bhi na rakhe jo jo us ko daikhe ya gana sunenge sab ka gunah aap ko hoga. Ab faisla aap khud karle k aap ko kaha kamiyab hona hai kaha ki zindagi aap ko pasnd hai.

----------------------{ Duniya ---- ya phir ---- Aakhirat }----------------------

Shuru Allah k Naam se: Aur Duniya ki ye zindagani to mahez khail tamasha hai Albatta aakhirat k ghar ki zindagi hi haqiqi zindagi hai, Kash! Ye jante hote.(Surah:Al-Ankabut, Surah No:29, Aayat No:64)


Shuru Allah k Naam se: Kya tum is baat se bai khof ho gaye ho k aasmano wala tumhe zameen mai dhasadain aur achanak zameen larazne lagain.(Surah:Al:Mulk, Surah No:67, Aayat No:16)

Do ye feel secure that He Who is in heaven will not cause you to be swallowed up by the earth when it shakes (as in an earthquake)? (The Holly Quran - Chapter 67, Al-Mulk - Verse 16)



http://www.quranflash.com/en/quranflash.html

----------------------{ Aye Abuzar Tujhe Kya Hogaya }----------------------

• Tu ne apni ibadaton ko sirf pareshani aur musibat k waqt k liye hi rakha huwa hai.
• Tu ne 70maao se zyada chahne wale Rab ko sirf apni waqti khwahesh k liye Naraz kiya huwa hai.
• Zara sonch to sahi wo Rab hai k jis ne itne gunah karne k bawajood teri aankhen na nikali, tere hath aur pairon ko salamat rakha, aur tu hai k us se door hi hota ja raha hai.
• Yaad rakh! Tujhe aaram k liye nahi bal k “Imtehan” k liye bheja gaya hai.
• Wo zaat jis ne tumhen mitti se insan banaya.
• Wo zaat jo tumhare gunahon k bawajood tumhen har roz rizq deta hai.
• Wo zaat jo tumhari toba pe tumhari gunahon ko bhi naikiyon me badal deta hai.
• Wo zaat jo tumhare raaz jante huwe bhi tumhari sarkashi k bawajood unhen fash nahi karta.
• Wo zaat jis ne tumhen fazilat bakhshi tamam makhooq par.
• Wo zaat jis ne tumhare liye Quran utara ta k tum rahe hidayat pa sako.
• Aur tum apne rab ki kis kis naimat ko jhutlaoge.


Shuru Allah k Naam se: Ye sare k sare yaksa nahi balke in Ahle Kitaab me aik jamat (haq per) qayem rahne wali bhi hai jo raton k waqt bhi kalamullah ki tilawat karte hai aur sajde bhi karte hai.(Surah:Al-Imran, Surah No:3, Aayat No:113)

Not all of them are alike: of the People of the Book are a portion that stand (for the right); they rehearse the Signs of Allah all night long, and they prostrate themselves in adoration.(The Holly Quran - Chapter 3, Al-Imran - Verse 113)


-------------{ Aye Iman walon Allah ka kasrat se zikr karo. 33:41 }-------------

--{ Jab Bhi }--

• koi kaam shuru karen to kahen -------- Bismillah
• kaam karne ka irada kare to kahen -------- Inshaallah
• kisi cheez ki tareef karna ho to kahen -------- Subhanallah
• kisi ki tareef maqsood ho to kahen -------- Mashaallah
• kisi ka shukriya ada karna ho to kahen -------- Jazakallah
• baidar ho to kahen -------- Laillaha ilaallah
• gunah se toba karte waqt kahen -------- Astagfirullah
• juda hote waqt kahen -------- Fiamanillah
• khairat karte waqt kahen -------- Fisabilillah
• khush gawar tabdili ho to kahen -------- Tabarakallah
• na khush gawar muamla ho to kahen -------- Fa’azubillah
• sakhti o pareshani ka samna ho to kahen -------- Ya Allah
• koi naimat mile to kahen -------- Alhumdulillah
• cheenk aaye to kahen -------- Alhumdulillah
• cheenk k jawab me kahen -------- Yarhamukallah
• koi kaam khilaf touqi ho to kahen -------- Inil hukmu illa lillah
• mushkil ya koi masla darpaish ho to kahen-------- Tawakkaltu alallah
• mout ya ranj o gam ki khabar sune to kahen ----- Inna lillahi wa inna ilayhi raji'un.

Bismillah-Allah k naam se, Inshaallah-Agar Allah Tala ne chaha, Subhanallah-Allah paak hai, Mashaallah- kya hi allah ki chahat hai, Jazakallah-Allah aap ko badla den, Laillaha ilaallah-Allah k siwa koi mabood nahi, Astagfirullah-mai Allah se magfirat chahta hun, Fiamanillah-Allah ki hifazat me, Fisabilillah-Allah ki rah me, Tabarakallah-Buzrg hai Allah Tala, Fa’azubillah-Mai Allah ki panah Chahta hun, Ya Allah- Aye Allah, Alhumdulillah-Sab tareef Allah k liye hai, Yarhamukallah- Allah aap per rahem farmaye, Inil hukmu illa lillah-Faisla to sirf Allah hi ka hai, Tawakkaltu alallah-Mai ne Allah per Etemad kiya, Inna lillahi wainna ilayhi raji’un-Ham allah hi k hai aur usi ki taraf loutne wale hai.

-------{ Mere Pyare Bhai Aur Bahne Dua me Yaad Rakhe Abuzar ko }------


Shuru Allah k Naam se: (Aise) bandon per Afsos! kabhi bhi koi Rasool un k paas nahi aaya Jis ki hansi unhon ne na udai ho.(Surah:Yaseen, Surah No:36, Aayat No:30)

Ah! Alas for (My) servants there comes not a messenger to them but they mock him. (The Holly Quran - Chapter 36, Yaseen - Verse 30)



---------------{ Aye Abuzar Tu Khud Jan le Tera Hai Qasoor Kitna }---------------

Hazrat Musa a.s k Sahifon ka Mazmoon: Hazrat Abuzar r.a ne pucha aye Allah k Rasool s.a.w! Musa a.s k Sahifon me kya Mazameen the? Nabi akram s.a.w ne Farmaya sab ki sab Ibrat ki baten thi (un me se chnd ye hai) Allah Tala ne Farmaya:

• Mujhe taj’jub hai us shaksh par jis ko mout k aane ka yaqeen hai aur phir bhi itrata aur akadta aur takabbur karta hai.
• Mujhe taj’jub hai us shaksh per jis ko jahannam k moujood hone ka yaqeen hai phir bhi wo us se gafil ho kar hansta hai.
• Mujhe taj’jub hai us shaksh per jo daikhta hai duniya apne chahne walon k sath kaisa bura hashar karti hai phir bhi wo duniya se mutmain hai.
• Mujhe taj’jub hai us shaksh per jo kal qabar aur qayamat k hisab ko janta hai phir bhi aml nahi karta.

----------{ Hai Nafs K Hathon Tu Majboor Kitna }----------

• Hai nafs k hathon tu majbor kitna,
• Sab jan k bhi hai aj la shaoor kitna,
• Jis chehre ne hai ek din matti men mil jana,
• Us chehry pe hai tujhe garoor kitna,
• Ek sajde k inkar ne IBLEES ko Shetaan bana diya,
• Tu khud jan le tera hai qasoor kitna,
• Jin ki sunnat pe chalna tujhe gawara nahi,
• Tere liye roye the woh HUZOOR kitna,
• Tune chakhi hai fakhat Gunahon ki lazzat,
• Tu kiya jane zikr-e-ilahi men hai suroor kitna,
• Teri shahrag se bhi ziyada jo tere qareeb hai,
•Phir bhi tu us khuda se hai door kitna!

---------------------{ Think About It }---------------------


Bismillahir Rahmanir Rahim.'Al-Hamdu lillahi Rabbil-'Aalamin. 'Ar-Rahmaanir-Rahiim. Maaliki Yawmid-Diin. 'Iyyaaka na'-budu wa 'iyyaaka nasta-'iin. 'Ihdinas-Siraatal-Mustaqiim. Siraatal-laziina 'an-'amta 'alay him, Gayril-magzuubi 'alay him wa laz-zaaalliin.Aameen

Shuru karta hu Allah Tala k Naam se jo bada Maherban Nihayat Rahem wala hai. Sub Tareefen Allah Tala k liye hai Jo tamam Jahano ka Palne Wala Hai. Bada Maherban Nihayat Rahem karne wala.Badle k din (yani qayamt) ka Malik hai. (Aye Allah) Hum sirf teri hi ibadat karte hai aur sirf tujh hi se madat chahte hai. Hamen seedhi (aur sacchi) Raah dikha. un logon ka Raasta jin par toone Inaam farmaya, un logon ka Nahi jin par gazab kiya gaya aur na (hi) Gumraho ka.

1. In the name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.
2. Praise be to Allah, The Cherisher and Sustainer of the Worlds.
3. Most Gracious, Most Merciful.
4. Master of the Day of Judgment.
5. Thee do we worship, and Thine aid we seek.
6. Show us the straight way,
7. The way of those on whom Thou hast bestowed Thy Grace, those whose (portion) is not wrath, and who go not astray.


--------------------------{ In Baaton ko Yaad Rakhe }--------------------------

• Gunah zaher ki Manind hai, jo km ho ya zyada har surat me Noqsan deh hai.
• Kisi ka ayeb talash karne wale ki missal us makkhi ki jaisi hai jo sara Khoobsurat jism chhod kar sirf zakhm per hi batih ti hai.
• Ye na soncho Allah tumhari dua ko fouran qabool kyun nahi karta ye shukr karo k tumhare gunahon ki saza faouran nahi deta.
• Jo Allah k diye huwe rizq ko kafi samjhe wo zindagi me kabhi kisi ka mohtaj nahi ho sakta.
• Allah se daro! Tumhen gunahon k ba wajood bhi Allah ki Naimaten mil rahi hai.
• Ye daant Allah ki Naimaten kha kha kar tu te ja rahe hain lekin Zaban Allah ki na Shukri se baaz nahi aati.


----------{ Dukh dekar Maa Baap ko koun Sukh pa saka Abuzar }----------
----------{ Yahi markaz hai Sukoon ka Yahin se Rahat milti Hai }-----------

• Maa tum duniya ki azeem tareen hasti ho.
• Maa tumhare bagair duniya ka har rang adhura hai.
• Maa jab mai tumhare paas hota hun to har gam mujh se door hota hai.
• Maa tum wo wahid hasti ho, jo mere har dukh ko samajhti ho.
• Maa meri takleef ko apne andar mahsoos karti hai.
• Maa tujh bin mai adhura mera wajood na mukammal hai.

• Baap ka ehteram karo ta k tumhari aoulad tumhara ehteram kare.
• Baap ki izzat karo ta k us se faiz yaab ho sako.
• Baap ka hukum mano ta k khush haal ho sako.
• Baap ki baten gour se suno ta k doosron ki na sunni paden.
• Baap k samne uncha na bolo warna Allah tumhen nicha kardega.
• Baap aik zimmedar insan hai jo apni khoon pasine ki mehnat se ghar chalata hai.
• Baap aik muqaddas muhafiz hai jo sari zindagi khandan ki nigarani karta hai.
• Baap k aansu tumhare dukh se na gire warna Allah tumhen jannat se gira dega.

--{ Allah Tala Ham sab ko Apne Waldain ka Farmanbardar Banaye Aameen }--


Shuru Allah k Naam se: Wo aisa hai jis ne Tumhare liye raat banai ta k tum is me aaram karo aur din bhi is tour per banaya k daikhne bhalne ka zariya hai, tahqeeq is me dalayel hai un logon k liye jo sunte hai.(Surah:Yunus, Surah No:10, Aayat No:67)

He it is that hath made you the night that ye may rest therein, and the day to make things visible (to you). Verily in this are Signs for those who listen (to his message).(The Holly Quran - Chapter 10 , Yunus - Verse 67)


----------------------{ Kaash! k Aye Abuzar Tu Aisa Hota }----------------------

--{ Aye Musalman Kaash! }--

• Cricket se jitna lagao hai tumhen,kash! utna lagao deen se b hota!
• Jitna afsos team k harne pr hota hai, kash! utna Namaz chorny pe hota!
• Match daikhny ki jitni tayari karte hai, kash! utni tayari Qabar k liye karta!
• Jitni mohabbat khiladi se karte hai, kash! utni apne Rab se karte.

--{ Kaash Mere Rab Mai aaisa Hota }--

• Teri Raah me margaya hota,
• Kaash mere Rab mai aaisa hota.
• Tere Nabi ki mohabbat me diwaana hogaya hota,
• Kaash mere Rab mai aaisa hota.
• Qur'an-o-Sunnat ki Raah par chalta hota,
• Kaash mere Rab mai aaisa hota.
• Maa Baap ki har dum mai Khidmat karta,
• Kaash mere Rab mai aaisa hota,
• Namazon ki pabandi mai karta,
• Kaash mere Rab mai aaisa hota,
• Fikre Aakhirat me din raat rota,
• Kaash mere Rab mai aaisa hota,
• Behayaei aur Burai se mai bachta,
• Kaash mere Rab mai aaisa hota.




Shuru Allah k Naam se: Wo Allah hi hai jo tumhai bijli ki chamak darane aur ummid dilanai k liye dikhata hai, aur bhaari badalon ko paida karta hai.(Surah:Al-Rad, Surah No:13, Aayat No:12)

It is He Who doth show you the lightning, by way both of fear and of hope: it is He Who doth raise up the clouds, heavy with (fertilizing) rain.(The Holly Quran - Chapter 13 , Al-Rad - Verse 12)


---------------{ Apne Aap ko Zair Samjho Zabar mat Samjho }---------------
-------------------{ Kyun k Kal ko Tumhein Paish hona Hai }-------------------


Aye INSAN tu samajhta hai k tu hamesha zinda rahe ga??? Nahi balke duniya jald hi tumhara naam zindo main se nikal kar murdo ki fahrist main shamil kar degi.

• Walidain: Bohat roenge aakhir mayous ho kar baith jayenge.
• Azeez o Aqarib: Tumhain khoob yaad kar k hamesha k liye bhool jayenge.
• Biwi: Kuch arsa sogawaar rahe gi magar kuch roz k baad halaat ki tabdiliyan ise taza mashaghil main uljha dengi.
• Bachay: Bohat yad karenge magar ahista ahista in k zehan se tumhara naksh mit jaye ga.
• Tufaan: Tumhari qabar ki bulandi ko hamwaar kar k tumhara naam safa-e-hasti se mita denge.
• Chand Saal Baad: 1 Bhule howe khuwab ki tarha ho jao ge.
• Nisf Sadi: Guzar jane par is baat ka andaza karna mushkil hoga k tum kabhi duniya main bhi aye the?

Is Liye Duniya ki Fikr Chhodo! Or Aakhirat ki tayyari karo Jahan hamesha ki zindagi Hamare Muntazir hai..BESHAK: Wohi wo Jaga hai Jahan hmesha k liye Rehna hai.


Shuru Allah k Naam se: Allah Tala par aur us k Rasool par Iman lao aur Allah ki raah me apne maal aur apni jano se Jihad karo, ye tumhare liye behtar hai agr tum me Ilm ho.(Surah:Al-Saff, Surah No:61, Aayat No:11)

That ye believe in Allah and His Messenger, and that ye strive (your utmost) in the Cause of Allah, with your property and your persons: That will be best for you, if ye but knew!(The Holly Quran - Chapter 61 , Al-Saff - Verse 11)


-------------------{ Har Kaam Me Allah ko Apne Sath Paoge }-------------------

**{ Char Baten Yaad Rakhne ki Hain }**

• Duniya ki cheezen milne par Khush na hon.
• Duniya ki cheezen cheenne par ranj na hon.
• Deen ka kaam karte huwe koi wah wah kare to khush na hon.
• Deen ka kaam karte huwe koi bura bhala kahe to ranj na hon.

Apni Zindagiyon me Allah ki Mohabbat lane k liye Subhanallah, Mashaallah, Jazakallah aur Alhumdulillah ka zyada se zyada istemal lao jab har baat me Allah ka Zikr laoge to har kaam me Allah ko apne Sath paoge.


8 comments: