Sunday 27 October 2013

✦...........♥ Rahman ke Sacche Bande Ban Jayye....! ♥...........✦


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "PRAY FOR PEACE AT THE END OF EVERY PRAYER" ✦

It was Narrated from 'Aishah Radi Allahu Anha that: After saying the taslim the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) would say: "Allahumma anta as-salam wa minka as-salam tabarakta ya dhal-jalali wal-ikram (O Allah, You are the source of eace (or the One free from all faults) and from You comes peace, blessed are You, O Possessor of Majesty and Honor)."

[Sunan An-Nasa’i :: Vol. 2 :: Book 13 :: Hadith 1339]

Urdu Translation: Hazrat Aisha Radi Allahu Anha se Riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Jis waqt Salam phairte the to Farmate, "Allahumma anta as-salam wa minka as-salam tabarakta ya dhal-jalali wal-ikram” (Aye Allah! Tu har qism ki burayi aur Aaib se saalim aur bari hai aur Teri Janib se hamari salamati hai tu badi barkat wala hai tu Aye buzrugi aur izzat wale).

[Urdu Ref :: Sunan An-Nasa'i :: Vol.1 :: Hadith 1341]

✦......♥ Khoobsirat Hona hi Insan ki Asal Khoobsurti Hai ♥......✦

★ Acchi shakal aur Surat Allah Tala ka In'aam hai, kisi bhi Insan ki Aik izafi khubi, Lekin us khubhi mein us ka Apna koi kamal Nahi hota, Acchi shakal Bagair kisi mehnat aur koshish ke use Mil jati hai,

Lekin....! Khoobsirat hona Insan k Apne bus mein hai aur us me Waldain ki Tarbiyat aur Bachpan mein kis mahol mein Insan ne Parwarish payi in tamam ka kafi Amal Dakhl hai, Khoobsirat hona hi Insan ki Asal Khoobsurti hai.

••► Aik Khaas baat ye hai k Acchi Aadat aur Acchi sonch ka Aks Insan ke Chehre par padta hai aur Aisa insan khud ba khud Khoobsurat Nazar Aane Lagta hai aur har aik ko accha lagta hai, Go ya Khoobsirat hi Dar haqiqat Khoobsurti hai.


✦...........♥ Rahman ke Sacche Bande Ban Jayye....! ♥...........✦

♥ Rahman ke Sacche Bande Wo Hain...! ♥

●◗► Jo zameen par Aajizi se chalte hain. Jab jahil log un se (Jahilana) guftagu karte hain to wo salamati ki baat kehte hain.

●◗► Jo raten is tarah guzaarten hain ke Apne Parwardigar ke aage (kabhi) sajde mein hote hain aur (kabhi) Qayam mein.

●◗► Jo ye Dua mangte hain ke: Hamare Parwardigar! Jahannam ke azab ko ham se door rakhiye, Haqiqat ye hai ke us ka Azab wo tabahi hai jo Chimat kar rehjati hai.

●◗► Jo kharch karte hain to na Fuzool kharch karte hain na tangi karte hain balke un ka tariqa is (ifrat o tafreet) ke darmiyan Aaitedal ka tariqa hai. Jo Allah ke siwa kisi bhi doosre Mabood ki ibadat nahi karte.

●◗► Jis Jaan ko Allah ne hurmat bakshi hai, use na haq Qatal nahi karte. Jo na zina karte hain. Jo nahaq kamon mein shamil nahi hote aur Jab kisi lagu cheez ke paas Guzarte hain to waqar ke sath Guzarjate hain.

●◗► Jab unhe apne Rab ki aayat ke zariye Nasihat ki jati hai to wo un par behre aur andhe bankar nahi girte. Jo (dua karte hue) kehte hain: Hamare Parwardigar! Hamen Apni Biwi Baccho se aankhon ki thandak ata farma, aur Hamen parhaizgaron ka sarbarah banade.

♥ Ye log hain Jinhen un ke Sabr ke badle Jannat ke baala khane ata honge, Aur waha Duaon aur salam se un ka Isteqbal kiya jaye, wo wahan hamesha rahgenge, wo bahot hi Acchi jaga aur Umdah Muqam hai ♥ (Qur’an 25:63 to 76)


✦......♥ Bradari o Bhai Chaargi ke Rahnuma Usool ♥......✦

●◗► Teen din se zyada kisi se la Talluqi Ekhtiyar na Karen.
●◗► Gibat na Karen.
●◗► Kisi ko apne se km tar na samjhen.
●◗► Kisi ka mazakh na udhayen.
●◗► Kisi ko bure Alqab aur Naam se na pukaren.
●◗► Hasad na kare.
●◗► Dhoke na den.
●◗► Khayanat na Karen.
●◗► Jhoot na bolen.
●◗► Muaaf karne ki Aadat Daalen.
●◗► Kisi ka raaz faash na Karen.


......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated `Aisha Radi Allahu Anha: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "If anyone of you feels drowsy while praying he should go to bed (sleep) till his slumber is over because in praying while drowsy one does not know whether one is asking for forgiveness or for a bad thing for oneself."

[Sahih Bukhari :: Vol.1 :: Book 4 :: Hadith 211]

Urdu Transtion: Hazrat Aayesha Radi Allahu Anha se riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Famaya ke Jab Namaz Parhte waqt tum mein se kisi ko oongh Aajaye (feeling sleepy) to use so jana chahiye yahan tak ke Neend (ka asar) us se khatam ho jaye, isliye ke jab tum mein se koi shaks Namaz padhne lage aur wo oongh raha ho to wo kuch nahi janega k wo (khuda se) Maghfirat Talab kar raha hai ya Apne nafs ko baddua de raha hai.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 212]


✦......♥ Keep Your Heart Fresh With Zikr of "Allah" ♥......✦

๑۩๑ Allah ke Zikr se Dil lagalo Sukoon o Etminaan tum se Dil Lagalenge ๑۩๑

♥ Subhan Allah
♥ Alhamdulillah
♥ Allahu Akbar

✿ "Verily, in the remembrance of Allah do hearts find rest". (Qur'an 13:28)

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "CARING FOR ORPHANS" ✦

Narrated Sahl bin Sa`d Radi Allahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "I and the person who looks after an orphan and provides for him, will be in Paradise like this," putting his index and middle fingers together.

[Sahih Bukhair :: Vol. 8 :: Book 73 :: Hadith 34]

Urdu Translation: Hazrat Sahl bin Sa’d Radi Allahu Anhu se Riwayat hai Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke Main aur Yateem ki parwarish karne wala Jannat mein is tarah honge aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Shahadat aur Darmiyani Ungliyon ke Ishare se (Qarb ko) bataya.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 6005]


✦ Taqwa aur Parhaizgari ke Dunya o Aakhirat ke Fawayed o Samraat ✦

✦......♥ Dunyawi Fawayed ♥......✦

◗► Dunyawi Azab se Bachao. (Qur’an 41:18)
◗► Har kaam mein Aasani. (Qur’an 65:4)
◗► Ilm nafe ka husool. (Qur’an 2:282)
◗► Haq o batil ki pehchan. (Qur’an 8:29)
◗► Allah Tala ka Mahboob Banna. (Qur’an 3:76)
◗► Allah Tala ki Nusrat o Taa’id. (Qur’an 2:194)
◗► Aasman o Zameen se barkat ka barasna. (Qur’an 7:96)
◗► Fitnon aur Sazishon se Hifazat. (Qur’an 3:120)
◗► Aane waali naslon ki Hifazat. (Qur’an 4:9)
◗► Aa’mal ki qubuliyat ka sabab. (Qur’an 5:27)
◗► Har tangi mein farakhi aur Wahem o Guman se badh kar rizq. (Qur’an 65:3)

✦......♥ Ukhrawi (Aakhirat) Fawayed ♥......✦

◗► Gunahon ka dhul jana. (Qur’an 5:65)
◗► Darjaat ki bulandi aur Ajr o Sawab ka badhna. (Qur’an 65:5)
◗► Magfirat ka parwana. (Qur’an 8:29)
◗► Jannat ka mustahiq taherna. (Qur’an 3:133)
◗► Jannat mein shaandaar Isteqbal. (Qur’an 39:71)
◗► Jannat ki mehman nawazi. (Qur’an 19:85)
◗► Jannat ke Aa’la darjat par Fayez hona (Qur’an 54:55)
◗► Jannat mein dost Ahbab aur Rishtedaron se khuhsgawar Talluqat. (Qur’an 43:67)

●◗► Har kisi mein manchahi khubiyan nahi hoti, Kon kehta hai wo jis mein kuch khamiyan nahi hoti, Kya Karen wo jin k Ghar khamakhuah Nasibon se, Betiyan to hoti hain Shadiya Nahi hoti.

◈ The upper hand is better than the lower hand Obey the SUNNAH and be a proud UMMAH, Say "BIG NO" To Dowry.

●═══════════════════════◄►══════════════════════●

✦ Dahej aur Jode ki Raqam lene wale International Bikhariyon ke liye Aik Chutkula aur Nasihat, “Mahman-Dadi Ammi Aur Chotu” ✦

Mahman: (Shan se bolre) Hamari bacchi ko ham to 8 Laakh diye khala. :)
Dadi Ammi: 8 lakh..? :o

Mahman: Haan ham 6 Bole the Mager wo log 8 MAANGE.

Chotu (khelte khelte suna): Dadi Ammi lekin Chacha se to sirf 5 Rupiye MAANGE. :o

Dadi Ammi: Kiski baat karre beta Aap?

Chotu: Wo Majid ke seediyon pe baithe so wale Aadmi, Chacha 1rp Dere to 5rp Mange.

Dadi Ammi.. Hahahahaha! :D Ye wo Mangne wale nahi hote beta, ye log Apne Jaise Achche kapde pahenke rahte.

Chotu: Lekin maine to Masjid ki sidiyon par Achche kapde pahene so walon ko nahi dekha. :o

Dadi Ammi: Ye log wahan nahi baithte beta, ye log ko Achche ghar rahte. :D

Chotu: Lekin Dadi Ammi Chacha to bolre the, "Chotu Yaad Rakh Jo Logon Se Mangte Wo Masjid ki Seediyon Pe Baithte, Aur Jo Allah Se Mangte Wo Masjid Ke Ander Baithte" Dene Wali Zaath Sirf ALLAH ki Hai Hamesha Usi Se Mang" Bole..

Dadi Ammi: Masha Allah! :-)

Mahman: :o :( :'(

✦................♥  Muaaf karna Sikhen ♥................✦

★ Makkah walon ne Chaand k do tukde daikhe to kaha k Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Chand par jadu kardiya, Pattharon ko kalima padhte daikha to kaha ke in par Jadu kardiya, Makkah Walon ne Jange badar mein Farishte daikhe lekin Kalima nahi padha, Jange khandakh mein shikahst khayi lekin Iman nahi laye, Makkah mein Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) 10 hazaar ke lashkar k sath dakhil hue lekin unhone kalima na padha….Lekin Jab....

Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Fateh Makkah ke Din Baitullah k paas khade hokar Kuffare Makkah ke un Kuffar aur Sardarane Quraish ko, Jo Aap k khoon ke pyase the aur Aap ko Tarah Tarah ki Takleefe pohchayi thin, un se kaha k Jao maine tum sab ko Muaaf kardiya to un sab ne Kalima Padhliya Aur Imaan le Aaye. (Qur’an 12:92) ♥ SubhanAllah ♥

●◗► Ye Muaaf karna Itna Bada Aml hai, Afsos ham ne is ko Apni Zindagiyon se Nikal diya hai. Sanson ki Mohlat kab toot Jaye Maloom Nahin, Dard koi Mila ho Meri Zaat se to Muaaf kardena. Jazakallahu Khair :-)

✦ Woman whose face was glowing with beauty was asked, what make up do you use...?

She Answered:

♥ For my lips, I use truth. For my eyes, I lower my gaze. For my hands, I give the charity. For my voice, I speak kindly. For my figure, I wear my Hijaab. For my body, I perform my Salah (Prayer) regularly. For my heart, love for the universe. For my mind, Faith and Islam. For my soul, obedience to ALLAH (Subhanahu Wa Ta'ala) ♥


★•.•´¯`•.•★ ♥ S U B H A N A L L A H ♥ ★•.•´¯`•.•★

No comments:

Post a Comment