Tuesday 15 October 2013

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "Going to Eidgaah By Walk" ✦


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "Don't Eat BEFORE OFFERING EID PAYER (Eid Al-Dhuha" ✦

It was Narrated from Ibn Buraidah Radi Allahu Anhu from his father, that: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) would not go out on the Day of Fitr until he had eaten, and he would not eat on the Day of Nahr (the day of sacrifice) until he came back.

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1756]

Urdu Translation: Hazrat Buraidah Radi Allahu Anhu Farmate hain k Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Eid Al-Fitar ke Roz kuch khaye Bagair na Nikalte Aur Eid Al-Dhuha ko (Namaz se) Wapas Aane Tak kuch na khate.

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1756]

●═══════════════════════◄►══════════════════════●

✦ Eid Al-fitar aur Eid Al-Dhuha ke din Roza rakhna Mana Hai ✦

Umm Aisha Radi Allahu Anha said that the prophet Sallallahu Alaihi Wasallam forbade to observe fast on two days-the day of Fitr and the day of Adha.

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2538]

Urdu Translation: Umma Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Do din ke rozey se mana farmaya hai (Aik) Eid Al-fitar aur (Dusra) Eid Al-Dhuha.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol 3 :: Hadith 2676]

REVIVE A SUNNAH "Going to Eidgaah By Walk"

RasollAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Eidgaah jaaney ke liye Aik Raaste ko aur wapas Aate waqt dusrey Rasste ko Ikhtiyaar kartey they

Narrated Abdullah Ibn Umar Radi Allahu Anhuma: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam went out by one road on the day of the Eid (‘Id) and returned by another.

[Sunan Abu Dawud :: Book 3 :: Hadith 1152]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Ibn Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai k RasollAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Eidgaah jaaney ke liye Aik raastey ko ikhtiyar karte aur wapas Aate waqt dusrey rasste ko ikhtiyaar karte the.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol 1 :: Hadith 1144]

Jis Ghar mein Deen ki Taleem Aur Naik Maa ho wo Ghar Tahzeeb aur Insaniyat ki University Hai

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "FASTING ON THE DAY OF 'ARAFAH" ✦

Great Opportunity is knocking! Day after Tomorrow, 15th October 2013, InshaAllah, would be the 9th day of Dhulhijjah, which is the Day of Arafah. Don't miss it! Do Fasting! Grab the Opportunity and Get Fabulous Reward, InshaAllah!

Fasting on the day of ‘Arafah is a confirmed Sunnah for those who are not performing Hajj.

●══════════════════════◄►═════════════════════●

✦ Mafhum-e-Hadith- Arafah (9 Dhul-Hijja) ke Din ka Roza Aik saal Guzrey huye aur Aik saal Aagey Aaney waley (Gunaho) ka kaffara Hai ✦

Abu Qatada al-Ansari (Allah be pleased with him) reported that the Messenger of Allah (may peace be upon him) was asked about fasting on the day of Arafa (9th of DhuI-Hijja), whereupon he Peace be upon him said: It expiates the sins of the preceding year (a year before) and the coming year ( and a year after).

[Sahih Muslim :: Book 006 :: Hadith 2603]
[Sunan ibn Majah :: Vol 2 :: Hadith 1730]

Urdu Translation: Hazrat Abu Qatada al-Ansari Radi Allahu Anhu se rivayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se Arafa (9th of Dhul-Hijja) ke Rozey ke baarey mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ye Aik saal Guzrey huye aur Aik saal Aagey Aaney wale (Gunaaho ka) ka kaffara hai.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol 3 :: Hadith 2747]
[Urdu Ref :: Sunan ibn Majah :: Vol 1 :: Hadith 1730]

......................✿....... H A D E E S .......✿......................

Narrated Salama Radi Allahu Anha: I heard the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying, "Whoever (intentionally) ascribes to me what I have not said then (surely) let him occupy his seat in Hell-fire."

[Sahih Bukhari :: Volume 1 :: Book 3 :: Hadith 109]

Urdu Translation: Hazrath Salama Radi Allahu Anha se riwayat hai k Maine RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Farmate hue suna ke Jo Shaks mere Naam se wo baat bayan kare jo Maine nahi kahi to wo apna thikana Jahannam main banale.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 109]



........ Har Musalman 6 Goin se Bachen ........

Gallo se Bachen: Tum Apne Deen mein Na’haq Galo (Zyadati) na karo.(Qur’an 4:171)

Ghil (Keena) se Bachen: Hamare dilon mein Iman walo ki taraf se keena (o Hasad) na hone dijiye.(Qur’an 59:10)

Guroor se Bachen: Logon se apna rukh mat phairo. (Qur’an 31:18)

Gaflat se Bachen: Tu Gaflat karne walon mein se mat ho. (Qur’an 7:205)

Gibat se Bacho: Aik dusre ki Gibat se bacho. (Qur’an 49:12)

Gusse se Bacho: Gusse se puri tarah bachen. (Qur’an 3:159)



●◗► Behayai ki Dukan----Koi bhi Gairat mand Insan Apni Maa, Bahen, Beti aur Biwi ko Beauty parlour nahi bhaijta kyun k ye Beauty parlour nahi balke behayai ki dukan hai Jis mein Aourat dakhil to Izzat ki Chadar leke hoti hai Magar Bahar behayai ka libas pahen ke Nikalti hai aur phir us ki bepardagi Mardon ko bhi behaya banadeti Hain, Kyun k "Aourat ki Bepardagi Mard ki Behayai ka Saboot hai."


REVIVE A SUNNAH ⇨ "DO NOT Tattoo, Pluck the eyebrows and File the teeth" ✦

Narrated that ‘Abd-Allaah ibn Mas’ood The Messenger of Allaah (peace and blessings be upon him) said: "May Allaah curse the one who does tattoos and the one who has a tattoo done, the one who plucks eyebrows and the one who has her eyebrows plucked, and those who file teeth for the purpose of beautification, changing the creation of Allaah...”

[Sahih Bukhari (4886) & Muslim (2125)]

Urdu Translation: Abdullah Ibn Mas'ud (Radi Allahu Anhu) se Riwayat hai k RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ne farmaya: Allah ne LAANAT ki hai un Aourton par jo tattoos banatey hain aur jo banwatey hain jo bahuu (eyebrows) banatey hain aur jo banwatey hain aur jo daanto ko file karwate hain khubsurti k liye khudrati banawat main kami ya izafa karte hain.

••••► ==>Please SHARE this with sisters who may not be aware of this prohibition. Jazakallahu Khair.




REVIVE A SUNNAH "DO GOOD DEEDS REGULARLY"

A Muslim who regularly does good deeds will continue to be rewarded even if he is stopped by sickness or travel. MashaAllah !!!

Abu Musa (Radhi Allahu Anhu) reported: I heard the Prophet (SallAllahu Alaihi Wasallam) say on more than two occasions,

“If a servant performs a good deed, but then is occupied by sickness or travel, it will be written for him as a good deed like he used to do when he was healthy and settled.”

[Sunan Abu Dawud :: Book 20 :: Hadith 3085]

Urdu Translation: Hazrat Abu Musa Radi Allahu Anhu se Riwayat hai k Maine RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se Aik Do martaba nahi Balke Aksar suna hai, Aap Farmate the k Jab koi Shaks Mustaqil tor par Pabandi ke sath koi Naik Aml karta rahta hai Aur phir wo kisi Bimari ya Safar ki Bina par us ko na kar sake to us ko us ka Sawab usi tarah milega Jis tarah wo Sahet aur Iqamat ki Surat mein kiya karta tha.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.2 :: Hadith 1315]

◗► Iqamat-Qarar, Aaram o Sukoon.


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "USE BLACK SEED FOR MEDICINE" ✦

Narrated Khalid bin Sad: We went out and Ghalib bin Abjar was accompanying us. He fell ill on the way and when we arrived at Medina he was still sick. Ibn Abi 'Atiq came to visit him and said to us, "Treat him with black cumin. Take five or seven seeds and crush them (mix the powder with oil) and drop the resulting mixture into both nostrils, for 'Aisha has narrated to me that she heard the Prophet (SallAllahu Alaihi Wasallam) saying,

"This black cumin is healing for all diseases except As-Sam.' Aisha said, 'What is As-Sam?' He said, 'Death."

[Sahih Bukhair :: Vol. 7 :: Book 71 :: Hadith 591]

Urdu Translation: Hazrat Khalid Bin sad ne Bayan kiya k Ham Bahar gaye huye the aur Hamare sath Hazrat Ghalib bin Abjar Radi Allahu Anhu bhi the wo Raaste mein bimar padgaye phir Jab ham Madina wapas aaye us waqt bhi wo Bimar hi the, Hazrat Ibn Abi 'Atiq un ki Iyadat k liye Tashreef laye aur ham se kaha k inhen ye Kale dane (Kalonji) Istemal karao, is k paanch ya saath dane lekar pees lo aur phir Zaitoon ke tail mein mila kar (Naak ke) is taraf aur us taraf use Qatrah Qatrah kar ke Tapkao kyun k Hazrat Aisha Radi Allahu Anha ne Mujh se bayan kiya k unhone Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se suna Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke,

"Ye Kalonji har bimari ki Dawa hai siwa sam ke, Maine Arz kiya Sam kya hai? Farmaya ke Mout hai."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 5687]

●══════════════════════◄►═════════════════════●

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu: I heard Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) saying, "There is healing in black cumin for all diseases except death."

[Sahih Bukhari :: Vol. 7 :: Book 71 :: Hadith 592]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira Radi Allahu Anhu se Riwayat hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke Siyah Dano mein Har Bimari se Shifa hai Siwaye Mout ke.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Hadith 5688]


✦ Mafhum-e-Hadith: 7 Aadmiyon ki Taraf se Aik Gaay (cow) ya Aik oont ki Qurbani kar Saktey Hain ✦

Jabir bin Abdullah (Allah be pleased with him) reported: In the year of Hudaibiya (6 H ), we, along with Allah's Messenger Sallallahu Alaihi Wasallam sacrificed a camel for seven persons and a cow for seven persons.

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 3024]

Urdu Translation: Jabir ibn Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Hudaybiyyah waley saal mein humney Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath milkar 7 aadmiyon ki taraf se Aik oont (camel) ki qurbani ki aur 7 Aadmiyon ki tataf se Aik gaay (cow) ki Qurabani ki.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.3 :: Hadith 3185]

●══════════════════════◄►═════════════════════●

It was narrated from Abu Hurairah Radi Allahu Anhu that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “Whoever can afford it, but does not offer a sacrifice, let him not come near our prayer place.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 26 :: Hadith 3123]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jis ko istita’at ho phir bhi wo Qurbani na karey to wo hamari Eidgaah ke qareeb bhi na aaye.

[Urdu Ref :: Sunan ibn Majah :: Vol.3 :: Hadith 4]

●══════════════════════◄►═════════════════════●

Narrated Al-Bara' ibn Azib Radi Allahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: Four (types of animals) should be avoided in sacrifice: A One-eyed animal which has obviously lost the sight of one eye, a sick animal which is obviously sick, a lame animal which obviously limps and an animal with a broken leg with no marrow.

[Sunan Abu Dawood :: Book 15 :: Hadith 2796]

Urdu Translation: Hazrat Al-Bara' ibn Azib Radi Allahu Anhu se riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Qurbani ke liye chaar tarah ke jaanwar durust Nahi hain.

1. Wo jiska kaanapan ya bhaingapan bilkul zahir ho,
2. Dusra wo jo dekhne se hi beemar lagta ho,
3. Teesra wo jiska langdapan bilkul zahir ho,
4. Aur wo jo budha aur kamzor Janwar jis ki haddiyon mein Gooda na ho.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol.2 :: Hadith 1029]

●◗► "Qaid kardiya Sanpon ko ye keh kar Saperon Ne, Ab Insan ko Dasne k liye Insan hi Kaafi Hai." 

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "FASTING ON THE FIRST NINE DAYS OF DHU'L-HIJJAH" ✦

It is Sunnah for the Muslim to fast on the first nine days of Dhu’l-Hijjah, because the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) encouraged us to do righteous deeds in the first ten days of Dhu’l-Hijjah, and fasting is one of the best of deeds, which Allaah has chosen for Himself as it says in the hadeeth qudsi:

Narrated Abu Huraira: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Allah said, 'All the deeds of Adam's sons (people) are for them, except fasting which is for Me, and I will give the reward for it.'

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 128]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se riwayat hai k RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Allah Paak Farmata hai k Insan ka Har Naik Aml khud us k liye hai Magar Roza ke wo khaas mere liye hai Aur main hi us ka Badla dunga.

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Hadith 1904]

●══════════════════════◄►═════════════════════●

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to fast on the first nine days of Dhu’l-Hijjah.

It was narrated from Hunaidah bin Khalid that his wife said: "One of the wives of the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to fast on the day of 'Ashura, nine days of Dhul-Hijjah and three days each month: The first Monday of the month, and two Thursday."

[Sunan an-Nasa’i :: Vol. 3 :: Book 22 :: Hadith 2374] [Sunan Abu Dawood :: Book 13 :: Hadith 2431]

Urdu Translation: Hazrat Hunaidah bin Khalid RasoolAllah Sallallahu Aliahi Wasallam ki Aik Zojah Mutahharah se Riwayat hai k Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Mah Dhul-Hijjah mein nao (9) Roze rakhte the (Yani 1 tareekh se lekar 9 tareekh tak) Aur Aik Roza 'Ashura k Din Rakhte the Aur har Mahine Teen Roze Rakhte the Aik Peer ka Roza aur Do Jumerat ka Rozah.

[Urdu Ref :: Sunan Nasa’i :: Vol.2 :: Hadith 328] [Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.2 :: Hadith 665]

No comments:

Post a Comment