Friday, 6 June 2014

✦.................♥ Apne Wujood ki Hifazat Karen ♥.................✦

✔ Majlis mein hon to apni Zuban ki hifazat karen.
✔ Raaste mein hon to Aankhon aur kanon ki hifazat karen.
✔ Khane par hon to pait ki (haram se) hifazat karen.
✔ Namaz mein hon to Dil o Dimagh ki hifazat karen.
✔ Khareed o Farokht aur Tijarat mein hon to zulm o na Insafi se bachen.
✔ Nokri o Mulazimat mein hon to khayanat o dhoke bazi se apni hifazat karen.

••••► Karenge na Sab InshaAllah :) JazakAllahu Khair.


✦............♥ Aoulad ke Darmiyan Adl o Insaf se Kaam Len ♥............✦

Narrated 'Amir: I heard An-Nu`man bin Bashir RadiyAllahu Anhu on the pulpit saying, "My father gave me a gift but `Amra bint Rawaha (my mother) said that she would not agree to it unless he made Allah's Messenger (ﷺ) as a witness to it.

So, my father went to Allah's Messenger (ﷺ) and said, 'I have given a gift to my son from `Amra bint Rawaha, but she ordered me to make you as a witness to it, O Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam)!'

Allah's Messenger (ﷺ) asked, 'Have you given (the like of it) to everyone of your sons?' He replied in the negative. Allah's Messenger (ﷺ) said, 'Be afraid of Allah, and be just to your children.' My father then returned and took back his gift."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 47 :: Hadith 760]

Urdu Translation: Hazrat Nu’man bin Bashir RadiyAllahu Anhu Farmate hain Mere walid ne mujhe kuch Hadya diya, Meri Walidah Amra bint Rawaha kehne lagen ke main us waqt tak Razi nahi hongi jab tak Aap is Hadye par Nabi kareem (ﷺ) ko Gawah na banalen.

Mere Walid Nabi Kareem (ﷺ) ke paas gaye ta ke unhe Hadye par Gawah bana saken Aap (ﷺ) ne un se pucha: "kya tum ne apne Tamam bacchon ko is tarah ka Hadya diya hai?" Walid sahab ne jawab diya: Nahi.

Aap (ﷺ) ne Farmaya: "Allah se Daro aur Apni Aoulad ke darmiyan Adl o Insaf se Kaam lo." Mere walid wapas aaye aur unhone mujh se wo Hadya wapas leliya.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.4 :: Hadith 2587]

✦......................♥ Sunheri Baten ♥......................✦

✔ Gham aur Afsos se apni khushi ka Mazah kharab na karen.
✔ Bad’faali (bure kamo) se apni Aql ko dhundla na karen.
✔ Takabbur se kamyabi ki raah mein rukawat na dalen.
✔ Guzashta kal ke liye fikr mand ho kar Apna Aaj kharab na karen.
✔ Apni halat par gour karen to pata chalega ke Allah Tala ne Aap ko be shumar Nematen bin mange di hain, Agar Allah ne aap ko koi pasndidah cheez ata nahi ki to yaad rakhiye ke is mein Zaroor koi khair o bhalayi hogi Jis ka Aap ko idrak (Aql, o Fahem) nahi.

✦...........♥ 2 Raste Hain…!! Aap kise Ekhtiyar karenge..? ♥...........✦

❶ So tum Mujhe yaad Rakho main tumhen yaad Rakhunga. (Qur’an 2:152)

❷ Wo Allah ko bhool gaye Allah ne bhi unhen Bhuladiya. (Qur’an 9:67)

✦........:/ Libas ki kharidari se pehle zara Sochiye :/........✦

●◗►  Libas jaisa bhi ho bosidah hojayega, Libas ki Tareef ya Tanqeed karne wale bhi fana hojayenge lekin! Libas ke Natije mein milne wala Ajr o Sawab ya Gunah o Wabal aap ke Nama Aamal mein baqi rahega.

✿ (Y) Libas ke Intekhab Mein Shar’yi Hudood ki Pabandi Kijiye (Y) ✿

✦..................♥ Baraane Rehmat ke Asbab ♥..................✦

❶ Kasrat se Toba o Astaghfar karna.
❷ Gunahon se parheiz aur taqwa ekhtiyar karna.
❸ Fahashi, Iryani aur Zina se door rehna.
❹ Naap tol mein kami na karna.
❺ Haram na khana.
❻ Sirate Mustaqeem par isteqamat ekhtiyar karna.
❼ Zakat, Sadqaate Wajibaat aur dikgar mali huqooq ada karna.
❽ Makhlooq ke sath Husn e Sulook karna.
❾ Nafli sadqah o khairaat dena.
➓ Namaze Istisqa padhna aur Barish ke liye Musalsal Duayen Mangna. (Ma'khuzaz: Quran o Hadees)

●◗► Ya Arhamar Raahimeen! Khushk Sali aur sakht tareen garmi ka khatima Farma kar ham Gunah garon par Rehmat aur Aafiyat ki Barish barsa. Aameen

●═══════════════════◄►══════════════════●

Narrated Jabir ibn Abdullah RadiyAllahu Anhu: The people came to the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) weeping (due to drought). He said (making supplication):

 " اللَّهُمَّ اسْقِنَا غَيْثًا مُغِيثًا مَرِيئًا نَافِعًا غَيْرَ ضَارٍّ عَاجِلاً غَيْرَ آجِلٍ"

O Allah! give us rain which will replenish us, abundant, fertilising and profitable, not injurious, granting it now without delay. He (the narrator) said: Thereupon the sky became overcast.

[Sunan Abu Dawood :: Book 3 :: Hadith 1165]

Urdu Translation: Hazrat Jabir bin Abdullah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke (barish na hone ke sabab) log rote peet te RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas Aaye Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya:

 " اللَّهُمَّ اسْقِنَا غَيْثًا مُغِيثًا مَرِيئًا نَافِعًا غَيْرَ ضَارٍّ عَاجِلاً غَيْرَ آجِلٍ"

Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke ye kehte hi un par Badal cha gaya.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.1 :: Hadith 1157]

✦....:: Susti (Laziness) Dunyawi o Ukhrawi Nakamiyon ka Bunyadi Sabab ::....✦

●◗► Susti se bachen kyun ke sust, kahel aur la parwah shaks Dunyawi taraqqi aur Aage badhne ke Mawaqe se hamesha Mahroom rehta hai, isi Tarah Neki ke kamon, Farayez aur Wajibat mein susti karne se Aakhirat mein bhi na kaam taherta hai.

✦............♥ Susti o Kaheli se Bachne ki Masnoon Dua ♥............✦

Narrated Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to say,

" اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْعَجْزِ وَالْكَسَلِ وَالْجُبْنِ وَالْهَرَمِ"

"O Allah! I seek refuge with You from helplessness, laziness, cowardice and feeble old age;. "

[Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 52 :: Hadith 77]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Farmaya karte the:

" اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْعَجْزِ وَالْكَسَلِ وَالْجُبْنِ وَالْهَرَمِ"

"Aye Allah! Main teri panah Mangta hun Mohtajgi aur Susti se, Buzdili aur bahot zyada Budhape se. "

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.4 :: Hadith 2823]

●◗► Jadeed logon ne hawa mein parindon ki tarah udna to seekh liya Aur pani mein Machliyon ki tarah tairna bhi Lekin badqismati se bhool gaye hain ke zameen par Insano ki tarah kaise jina hai.

It is Narrated on the authority of Jabir RadiyAllahu Anhu that he heard the (Holy Prophet) Sallallahu Alaihi Wasallam say: "A Muslim is he from whose hand and tongue the Muslims are safe."

[Sahih Muslim :: Book 1 :: Hadith 65]

Urdu Translation: Hazrat Jabir RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Maine RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se suna Aap Farmate the "Musalman wo hai Jis ki Zuban aur hath se Dusre Musalman Mahfooz rahen." (yani na zuban se kisi Musalman ki burayi kare na hath se kisi ko takleef dewe).

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.1 :: Hadith 162]


✦..................♥ Aik Glass Pani 50 Nekiyan ♥..................✦

❶ Shuru mein Bismillah padhen.
❷ Dayen hath mein Glass pakden.
❸ Baith kar piyen.
❹ Teen sanson mein pani piyen.
❺ Aakhir mein Alhamdulillah kahen. (Kul = 5 Nekiyan)

Allah Subhanahu Wa Ta'ala ka Irshad hai: "Jo Shaks koi Neki le kar Aayega, us ke liye us Jaisi Dus Nekiyon ka sawab hai." (Qur’an 6:160) (Nekiyan 5x10=50).

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "DRINKING" ✦

How many times you drink per day? Do you realize even this small thing will make us getting rewards? Only by applying the sunnah on it! ~ The sum of the sunnahs would exceed twenty, & we should notice drinks include all sorts of soft or hot drinks.

1 ➲ Pronounce the Tasmiyah

"[بِسْمِ اللهِ] [In the Name of Allah]

2 ➲ Handling the drink with the right hand

As the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said to the kid: " O young man, mention the name of Allah, eat with your right." [Muslim :: The Book of Drinks :: Hadith 2022]

3 ➲ When drinking breath outside of vessel; and do not drink at all once, but rather take three breaths

As the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to do. [Sunan Abu Daawood :: The Book of Drinks :: Hadith 3727]

4 ➲ Sit while Drinking

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: " Let not one of you drink standing." [Muslim :: The Book of Drinks :: Hadith 2026]

5 ➲ Say Tahmeed (Al-hamdu lillâh) after drinking

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: " Verily Allah is pleased with the slave who eat his food and praises Him for it and he who drinks and praises Him for it." [Muslim :: The Book of Drinks :: Hadith 2734]
......................✿....... H A D E E S .......✿......................

♥ Love is taking care of your sick wife ♥

It was Narrated from Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu that: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: "The best of you is the one who is best to his wife, and I am the best of you to my wives."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Book 9 :: Hadith 1977]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya tum mein se Behtareen log wo hain jo Apne ghar walon ke liye Behtareen hain aur main tum mein sab se zyadah Apne Ghar walon se Accha bartao karne Wala hun.

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol.2 :: Hadith 134]

✦...............♥ Apne Wujood ko Munawwar Kijiye ♥...............✦

✿ Jab Aap Quran ki Gour o Tadabbur ke sath Tilawat karte Hain to.. ✿

► Dimagh ko gour o tadabbur ka sawab milta hai.
► Aakhon ko daikhne ka sawab milta hai.
► Kano ko sunne ka sawab milta hai.
► Zuban ko padhne ka sawab milta hai.
► Dil ko Imani quwwat mein izafe ka sawab milta hai.
► Jism ke ruye ruye ko Allah se darne ka sawab milta hai.

✦...........♥ Meraj un Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ♥...........✦

✿ ♥ Masjide Haram se Masjid e Aqsa Tak ♥ ✿

●◗► Har Naqs wo Kamzori se paak hai wo zaat jo apne (Mahboob o Muqarrab) bande ko raton raat "Masjide Haram" se "Masjide Aqsa" tak le gaya Jis ke Gird o Nawah ko ham ne Ba barkat banaya taa ke ham us (Mahboob bandah) ko apni kuch Nishaniyan dikhayen, Beshak wo har baat sunne wali har cheez daikhne wali zaat hai. (Qur'an 17:1)

◈➲ Meraj ki raat RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko Masjide Haram se Masjide Aqsa le jaya gaya, phir Wahan se Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Allah Subhanahu Wa Ta'ala se Mulaqat ka sharf Hasil karne ke liye Aasmano mein tashreef le gaye. Tafseeli Zikr [Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 429] [Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Hadith 3207]

6 comments:

  1. Of course it is, and thanks for sharing and guidance. learn and Understand Quran for better life

    ReplyDelete
  2. This is such an important topic! The Qur'an and Sunnah provide a comprehensive guide for living a fulfilling and righteous life. By following their teachings, we not only strengthen our faith but also cultivate good character and compassion towards others. It's inspiring to see how these foundational texts emphasize the importance of community, charity, and justice. They truly show us the path to جنت (Jannah) and the ultimate rewards of a life well-lived. Thank you for highlighting this vital connection—it's a beautiful reminder of our purpose and the guidance available to us. Click: Online Pashto Classes.

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  4. Online Quran Classes USA offers accessible and convenient Quran education for all ages, including kids, adults, and ladies. Our expert teachers are available 24/7, providing lessons in Quran reading, Tajweed, memorization, Tafseer, and Islamic studies. We ensure a tailored learning experience, starting with a 3-day free trial, to help students engage deeply with their faith from the comfort of home.






    ReplyDelete