Sunday 22 June 2014

✦..........♥ Insani Mu’ashre Mein Sadaqah ki Aasan Surten ♥..........✦

Hazrat Abuzar RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya:

❶ Tumhara Apne bhai se Muskurakar paish Aana bhi Sadqah hai,
❷ Neki ka Hukum aur Burayi se Rokna bhi Sadqah hai,
❸ Kisi bhoole Bhatke hue shaks ko Rasta batana bhi Sadqah hai.
❹ Kamzor binayi wale shaks ki Rahnumayi karna bhi Sadqah hai,
❺ Raste se patthar, Kanta aur haddi (wagerah ka) hatana bhi Sadqah hai,
❻ Apne bartan se apne bhai ke bartan mein pani dalna bhi Sadqah hai.

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol.1 :: Hadith 2020]

Abu Dharr  RadiyAllahu Anhu Narrated that the Messenger of Allah Salllallahu Alaihi Wasallam said:

❶ Your smiling in the face of your brother is charity,
❷ Commanding good and forbidding evil is charity,
❸ Your giving directions to a man lost in the land is charity for you.
❹ Your seeing for a man with bad sight is a charity for you,
❺ Your removal of a rock, a thorn or a bone from the road is charity for you.
❻ Your pouring what remains from your bucket into the bucket of your brother is charity for you.

[Jami at- Timridhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1956]

✦.........:( Kisi ka Ghar Bika to Aap ka Ghar Kaise Basega? :(.........✦

●◗►  Jo Noujawan ya Waldain Furniture, Bike, Car, ya Bangle ke Shoqeen hain wo Allah se mange Jahez ke naam par ladki ke Majboor Waldain se nahi ▶ Kisi ka Ghar bika to Aap ka ghar kaise basega? Ye Khilafe Fitrat hai.

◈➲ Sab se Badtareen insan wo hai jo ye kahe “Areee Main to nakkoich bola wo Bade logon mein kya bata hue ki” Ino doodh pine wale bacche hai in ku nai malum kuch bhi kya hora so ghar mein Thuuuu hai aise begairat logon par "Modern Bhikari".

✦.............♥ Gham na Karo Allah Hamare Sath Hai ♥.............✦

●◗► Insan kisi dusre ke liye kuch nahi kar sakta siwaye us ka Hosla badhane ke..!! Maine Jitne logon ko toot te daikha Faqt is liye ke Rishton aur doston ke hujoom mein kisi ne un ko ye na kaha ke Hosla kar yaar Allah karam karega!

◈➲ Yaqeen karen bahot Taqat hai is aik Jumle mein "Jab tak ham kisi ke hamdard nahi bante na tab tak Dard ham se aur ham dard se Juda nahi hote."

⇨ Urdu Translation: "Agar tum paighmbar ki Madad na karoge to khuda un ka Madadgar hai (wo waqt tum ko yaad hoga) jab un ko kafiron ne ghar se nikal diya (us waqt) do (hi Aise shaks the Jin) mein (Aik Abu bakar the) aur dusre (khud RasoolAllah) jab wo dono gaar (soor) mein the us waqt paighambar apne rafeeq ko tasalli dete the ke Gham na karo khuda hamare sath hai, to khuda ne un par taskeen nazil farmyai aur un ko aise lashkaron se madad di jo tum ko nazar nahi Aate the aur kafiron ki baat ko past kardiya aur Baat to khuda hi ki Buland hai aur Khuda zabardast (aur) Hikmat wala hai." (Qur’an 9:40)

✦............♥ Khushgawar Azdwaji Zindagi ke 10 Usool ♥............✦

❶ Bahami Aaitemad ki fiza qayem ki jaye, Shak o Shubhat aur Galat fehmi o Badgumani se mukammal bacha jaye.
❷ Miya Biwi aik dusre ki galatiyon par fouran Mu’akhizah na karen balke tanhayi mein aik dusre ko samjhayen.
❸ Miya Biwi har mua’mle mein apne aap ko Aik dusre se behtar tasawwur na karen.
❹ Shohar baccho ke samne biwi ko na dante isi tarah Biwi bhi baccho ke samne apne khawind ki burayi na kare.
❺ Miya Biwi aik dusre ke Rishtedaron ka tahe dil se Ehteram karen.
❻ Shohar biwi ke huqooq ke sath sath apne Rishtedaron ke huqooq bhi acchi tarah ada kare.
❼ Shohar ki maali haisiyat ko Madde nazar rakh kar biwi gharelu Akhrajat kare aur shohar bhi kharch karne mein Bokhl se kaam na le.
❽ Shohar apni biwi ko nokrani aur mulazima Tasawwur na kare, Ghar ke chote mote kaam khud bhi Nimtane ki Aadat dale
❾ Biwi ki Khidmat ko sarahen aur us ke kamon ki Tareef kare, har Cheez mein Aib na nikale.
➓  Bawaqte zarurat shohar biwi se mashwerah bhi kare, lekin Faisla karne ka Ekhtiyar shohar aapne paas hi rakhe.

✦...........♥ Jo Marzi Banen..!! Pehle Musalman to Banen ♥...........✦

Moulana Tariq Jameel Sahab Farmate Hain: Main ye nahi kehta ke Dunya ki taleem na di jaye Lekin pehle Musalman to banaya Jaye!

► Pehle ye to pata chale ke main kon hun?
► Meri manzil kya hai?
► Mujhe kaha jana hai?
► Mujhe kis ne aur kyu bheja hai?

Ye baat samajh Aajaye phir Doctor banen Tajir bane Sciencedan banen, Judge banen Jo marzi banen Lekin pehle Musalman to Banen.

⇨ "Then did you think that We created you uselessly and that to Us you would not be returned?" (Qur’an 23:115)

⇨ "Urdu Translation: Kyat um ye khayal karte ho ke ham ne tum ko Yunhi bekar paida kiya hai aur ye ke tum hamari Taraf loutaye hi na jaoge?" (Qur’an 23:115)

♥ Khush Qismat hoti hai wo Bahen Jis ke Sir par Bhai ka hath hota Hai, Har Pareshaani mein Uske sath hota hai, Ladna Jhagadna Phir Pyaar se manana, Tabhi to is Rishte mein Itna Pyaar hota hai ♥

◈➲ Qadr Janni ho to un se Jano jinhe ye pyar Nahi mila, Agar Allah Tala ne Aap ko ♥ Bhai ♥ Bahen ♥ jaisi Nemat de Rakhi hai to us ki Qadar kare ◈➲

✦ Har Asar Be Asar: Jo shaks Rozana Subah o Sham Teen Teen Martaba ye Kalimat (Dua) padhe to use koi Cheez Nuqsan nahi Pohcha Sakti ✦

Aban bin Uthman said: “I heard Uthman bin Affan RadiyAllahu Anhu saying: ‘The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: “There is no worshipper who says, in the morning of every day, and the evening of every night, three times, (except that) nothing shall harm him.”

بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لاَ يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الأَرْضِ وَلاَ فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ

"Bismillah, Alladhi La Yadurru Ma'a Ismihi Shai'un Fil-Ardi Wa La Fis-Sama', Wa Huwas-Sami`ul Alim"

(In the Name of Allah, who with His Name, nothing in the earth or the heavens can cause harm, and He is the Hearing, the Knowing).

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3388]

Urdu Translation: Hazrat Usman bin Affan RadiyAllahu Anhu riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: Jo shaks Rozana Subah o Sham Teen Teen Martaba ye Kalimat (Dua) padhe to use koi Cheez Nuqsan nahi pohcha sakti.

بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لاَ يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الأَرْضِ وَلاَ فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ

"Bismillah, Alladhi La Yadurru Ma'a Ismihi Shai'un Fil-Ardi Wa La Fis-Sama', Wa Huwas-Sami`ul Alim"

(Allah ke Naam se Jis ke Naam ke sath Aasman o Zameen ki koi cheez Nuqsan nahi pohcha sakti aur wo Sunne wala aur Janne wala hai).

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 1312]


✦..............♥ ✔ Pardah Aourat ki Hifazat ka Saman ✔ ♥..............✦

►➲ Mazboot chaar diwari kisi bhi Ghar ya Shaher ko Mahfooz rakhti hai, lekin Jab chaar diwari gir jati hai to Dushman aur Chor ghar ya shaher mein ghus aate Hain aur use Nuqsan pohchate hain.

►➲ Isi tarah Pardah bhi Aourat ko mahfooz rakhta hai Agar pardah na kiya jaye to Aawarah Nigahen Aourat ke pakizah wujood tak pahoch jati hain aur Izzat ke dushman Aourat ko Nuqsan pohcha sakte hain.


●◗► Anchor puchti hai Aik Noujawan se: Aadhe ghante ke poore Interview ke douran Aik baar Aankh utha kar aap ne meri taraf nahi dekha is ki Wajah?

✿...:: Wo Noujawan Jawab Deta Hai ::...✿

♥ Shari’at ne mujhe tumhen parda karwane ka theka nahi de rakha lekin Nazar nichi rakhne ka Hukum zaroor de rakha hai.

♥ Tumhare sir par dupatta dena mere Farayez mein shamil nahi lekin apni Nigah sanmbhalna mere Farayez mein shamil hai.

♥ Ye tumhari touheen ka Mas’alah nahi balke ye mere paband Shari’at hone ka Mas’alah hai.

✦.................♥ 1 Call 60 Nekiyan SubhanAllah ♥.................✦

●◗► Guftagu ke Aagaz aur Ekhtetam mein: Assalamu Alaikum Warahmatullahi Wabarakatuh Kahen, Allah Hafiz, Khuda Hafiz, Fiamanillah, Shabba Khair, Alvida etc Ye sab kehne se Behtar aur Sunnat Tariqa ye hai ke Jab Aap kisi se Milo to Salam karo aur Rokhsati ka Iradah karo to salam kar kar Wida ho.

Narrated 'Imran bin Husain RadiyAllahu Anhu: A man came to the Prophet ﷺ and he said, “Peace be upon you.” (السَّلَامُ عَلَيْكُمْ) The Prophet ﷺ said, “TEN good deeds.”

Then another man came to the Prophet ﷺ and he said, “Peace be upon you and the mercy of Allah.” ( السَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللَّهِ) The Prophet ﷺ said, “TWENTY good deeds.”

Then another man came to the Prophet ﷺ and he said, “Peace be upon you and the mercy of Allah and His blessings.” (السَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ) The Prophet ﷺ said, “THIRTY good deeds.”

[Jami At-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 40 :: Hadith 2689]

Urdu Translation: Hazrat Imran bin Husain RadiyAllahu Anhu farmate hain ke Aik Shaks ne RasoolAllah ﷺ ki khidmat mein Hazir hokar kaha (السَّلَامُ عَلَيْكُمْ) Nabi ﷺ ne Farmaya is ke liye 10 Nekiyan hain.

Phir doosra Aadmi hazir hua aur kaha ( السَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللَّهِ) Aap ﷺ ne Farmaya is ke liye 20 Nekiyan hain.

Phir teesra Shaks aaya aur us ne kaha (السَّلَامُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ) Aap ﷺ ne Farmaya is ke liye 30 Nekiyan hain.

[Urdu Ref ::  Jami Tirmizi :: Vol.2 :: Hadith 585]

●═══════════════════◄►══════════════════●

Narrated Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu: That the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "When one of you arrives at the gathering, then give the Salam, and if he is given a place to sit, then let him sit. Then when he stands, let him give the Salam, the first is more worthy than the last."

[Jami At-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 40 :: Hadith 2706]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jab tum mein se koi kisi Majlis mein jaye to Salam kare us ke baad Baithna chahe to baith jaye, Phir jab Majlis se uth kar jane lage to phir Salam kare kyun ke pahla Salam Dusre Salam se badha hua nahi hai Yani Jis Tarah Mulaqat ke Waqt Salam karna Sunnat hai Aise hi Rokhsat hote waqt bhi Salam karna Sunnat hai.

[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 602]

No comments:

Post a Comment