Wednesday 2 July 2014

✦..........♥ IFTAR ka Waqt Dua ki Qubuliyat ka Khaas Moqa ♥..........✦

Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: "There are three whose supplication is not rejected:

❶ The fasting person when he breaks his fast,
❷ The just leader,
❸ And the supplication of the oppressed person."

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 46 :: Hadith 3598]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Teen Duayen Rad Nahi hoten:

❶ Rozah daar ki Dua iftar ke waqt,
❷ Adl o Insaf karne wale Hukmuran ki Dua,
❸ Aur Mazloom ki Dua."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1521]

✦▶▶▶✦ Agar Rozedar Bhool kar kha pee le to Rozah Nahi Jata ✦◀◀◀✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If somebody eats or drinks forgetfully then he should complete his fast, for what he has eaten or drunk, has been given to him by Allah."

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 154]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se rivayat hai Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Jab koi Bhool gaya aur kuch kha pee liya to usey chahiye ke Apna Roza pura kare, kyun ke usko Allah ne khilaya aur pilaya.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith1933]


✦ Jab tum mein se koi Roza Iftar karne lage to Khajur se Iftar kare aur Agar khajur na mile to Paani se kare ✦

Salman bin Amr RadiyAllahu Anhu Narrated that the Messenger of Allah peace be upon him said: "When any one of you breaks his fast, let him break it with dates. If he cannot find dates, then let him break it with water, for it is a means of purification."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 7 :: Hadith 1699]

Urdu Translation: Hazrat Salman bin Amr RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya: "Jab tum mein se koi Roza Iftar karne lage to khajur se iftar kare aur agar khajur muyassar na ho to phir paani se iftar karle kyun ke paani paak karne wala hai."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1699]


●◗► Aourat Mard se hamesha Insaf ki Ummid rakhti hai Khuwah wo Shohar ho Bhai ho, Beta ho ya Baap, wo Janti hai ke Allah ne use Aourat par Foqiyat di hai to ye sahi Insaf bhi karega.

◈➲ Aur Waqeyi agar Mard apne Andar Galat ko Galat Sahih ko Sahih kehne ki Himmat paida karle to us ki Zaat se wabasta kitne hi Rishte Mutmain o Masroor Zindagi guzar sakein ♥ Bus sab ko apne apne Dayere mein Mahdood rakhne ka Fun Aana chahiye ♥

✦ Naya Chand Daikhne ki Dua, Ramzan ka Chand daikh kar is Dua ko padhne ka Ehtemam karen ✦

Talhah bin Ubaidullah Narrated that when the Prophet would see a crescent moon, he would say:

" اللَّهُمَّ أَهْلِلْهُ عَلَيْنَا بِالْيُمْنِ وَالإِيمَانِ وَالسَّلاَمَةِ وَالإِسْلاَمِ رَبِّي وَرَبُّكَ اللَّهُ "
(Allahumma Ahlilhu Alaina Bil Yumni, wal Imaani, Was Salaamati, Wal Islami, Rabbi Wa Rabuk Allah)

“O Allah, bring it over us with blessing and faith, and security and Islam. My Lord and your Lord is Allah.”

[Jami at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3451]

Urdu Translation: Hazrat Talha bin Ubaidullah RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Jab RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Chand daikhte to ye Dua padhte:

" اللَّهُمَّ أَهْلِلْهُ عَلَيْنَا بِالْيُمْنِ وَالإِيمَانِ وَالسَّلاَمَةِ وَالإِسْلاَمِ رَبِّي وَرَبُّكَ اللَّهُ "
(Allahumma Ahlilhu Alaina Bil Yumni, wal Imaani, Was Salaamati, Wal Islami, Rabbi Wa Rabuk Allah)

"Aye Allah is Chand ko ham par Barkat, Iman, Salamati aur Islam ke sath Tulu farma, (Aye Chand) mera aur tera parwardigar Allah hai."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol.2 :: Hadith 1376]

●═══════════════════◄►══════════════════●

✦ Supplication on Sighting the Crescent ✦

اللهُ أَكْـبَر، اللّهُمَّ أَهِلَّـهُ عَلَيْـنا بِالأمْـنِ وَالإيمـان، والسَّلامَـةِ والإسْلام، وَالتَّـوْفيـقِ لِما تُحِـبُّ رَبَّنـا وَتَـرْضـى، رَبُّنـا وَرَبُّكَ الله.

"Allahu akbaru. Allahumma ahillahu Alayna bi-l-amni, wa-l-imani, wa s-salamati, wa-l-islami, wa t-tawfiqi lima tuhibbu rabbana wa tarda. Rabbuna wa rabbuka l-lahu."

"Allah is the greatest. O Allah, let the crescent loom above us in safety, faith, peace, and Islam, and in agreement with all that You love and pleases You. Our Lord and your Lord is Allah."

[Sunan Ad-Daarimi :: Hadith 1687]


●◗► "R A M A D H A N" ke Aane mein sirf 1 din baqi reh gaya hain, Guzashta saal Hamare safon mein Hamare kayi bhai Moujood the Lekin Aaj wo hamari safon mein Nahi hai :’(

♥ Ibadat ♥ is Maah mein Aise karo Jaise ke ye Hamare Zindagi ka Aakhri Ramazan hai, Kya Pata Aa'inda Ramzan Hamein Naseeb ho ya na ho, kahin Aisa na ho ke Har saal ki Tarah is saal bhi ham is Maah ko Ghaflat mein na Guzar baithen.

► Fajr sone mein Guzar na jaye,
► Zohar kamo mein Guzar Na Jaye,
► Asar iftari ki Tayyari mein Guzar na Jaye,
► Magrib Iftari khate khate Imam sahab salam na phair de,
► Isha Iftaar party mein Ham na Guzarden.

◈➲ Namazo ki Pabandi kare Ba-jamaat, Taraweeh, Zikr o Azkar, Quran ki Tilawat, Allah Tala Ham sab ko Is Maah ki Qadardani ki Toufeeq Dein, Is Rahmato aur Barkaton k Mahine ki Ahmiyat Hamare Dil me Paida Karden. Aameen

●═══════════════════◄►══════════════════●

⇨ "O you who have believed, decreed upon you is fasting as it was decreed upon those before you that you may become righteous." (Qur'an 2:183)

⇨ Urdu Translation: "Aye Iman walo! Tum par roze Farz kiye gaye hain Jis tarah tum se pehle logon par Farz kiye gaye the taa ke tum Parhaizgar bano." (Qur'an 2:183)

✦.....✔ Jumah ke Din Surah Al-Kahf ki Tilawat Haftah Bhar Noor hi Noor ✔.....✦

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "READ SURAH AL-KAHF ON FRIDAY" ✦

Don't forget to read Surah Al-Kahf today and have your light from this Jumu’ah to the next Jumu’ah!

The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Said: "Whoever reads Surat Al-Kahf on the day of Jumu’ah, will have a light that will shine from him from one Friday to the next."

[Sunan Baihaqi :: Hadith 5856] [Al-Haakim :: 2/399, Al-Bayhaqi :: 3/249]

Urdu Translation: Hazrat Abu Sayeed Al-Khudri RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya "Jo shaks Jumah ke din Surah Kahf ki tilawat kare to us ke liye is Jumah aur Agle Jumah ke darmiyan Noor Jagmagata Rahega."

[Urdu Ref :: Mustadrak Al-Hakim :: Hadith 3392]


●◗► Aik dafa main Apne ustad ki khidmat mein hazir hua Maine sawal kiya: Hazrat Quran kehta hai "Beshak Namaz bure aur be Hayayi ke kamon se Rokti hai." (Qur’an 29:45)

► Lekin Aaj ham daikhte hain ke bahot se log namaz bhi padhte hain aur sood bhi khate hain, Jhoot bhi bolte hain, Be hayayi ke kaam bhi karte hain, Ham khud bhi namaz padhne ke bawajood gunahon se Mukammal tor par kinarah kash nahi ho pate to is Aayat ka kya matlab hua?

► Farmane lage Beta: Quran ki Aayat par nahi apni Namazon par shak karo ke un Namazon mein aisi konsi kami hai jo Tumhen gunaho se nahi rok pa rahi, Sahaba Ikram ne kabhi ye sawal nahi kiya kyun ke un ki Namazen Waqeyi Namazen then, ab bhala socho Agar aik shaks ko din mein 5 baar Adalat mein Judge ka samna karna ho to kya wo Jurm karne ka soche ga bhi? Jurm to wo karta hai jo Samajhta hai ke Adalat se bach jayega.

◈➲ Ye Jawab sunkar mujhe wo Hadees yaad Aagayi ke Bahot se Namaziyon ki Namzen un ke Muh par mardi jayengi.(Tabarani, Jami Saghir) Ya Allah hamen Asli aur sacchi Namazen padhne aur us par paband hone aur rahne ki toufeeq ata Farmade. Aameen


✦.................(Y) Jadu aur Shaitani Asraat se Bachao (Y).................✦

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "Recite Al-Mu'awwidhat (Surat Al-Ikhlas Surat Al-Falaq and Surat An-Nas) Before Going to Bed Every Night" ✦

Narrated 'Aisha RadiyAllahu Anha: Whenever thy Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam go went to bed every night, he used to cup his hands together and blow over it after reciting Surat Al-Ikhlas, Surat Al-Falaq and Surat An-Nas, and then rub his hands over whatever parts of his body he was able to rub, starting with his head, face and front of his body. He used to do that three times.

[Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Book 61 :: Hadith 536]

Urdu Translation: Hazrath Ayesha RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam har raat jab Bistar par Aaram farmate to Apni dono hatheliyon ko mila kar Qul huwaAllahu ahad, Qul Aauzu Birabbil Falaq aur Qul Aauzu Birabbin’naas (Teeno surtein Mukammal) padh kar un par phoonkte aur Phir dono hatheliyon ko Jahan tak Mumkin hota apne Jism par phairte the, Pehle sir aur Chehre par hath phairte aur Samne ke badan par, ye Aml Aap teen (3) dafa karte the.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol.6 :: Hadith 5017]

▶▶▶ Subah 5 Baje aur 7 baje uthne mein kya Farq hai ? ◀◀◀

◈➲ 5 baje Allah ke liye uthna 7 Baje nokri ke liye uthna, 5 baje ka khof km hai 7 baje wale ka khof zyadah hai, Astaghfirullah.

1 comment:

  1. NIce post ..Buy high quality Office Carpets and office carpet tiles in Dubai and Abu Dhabi and across UAE at best price with fast installation service CALL NOW 0566-00-9626 . for more info visit: http://interiorsdubai.ae/office-carpet-tiles/

    office carpet tiles in Dubai

    ReplyDelete