Monday 28 July 2014

✦ Shawwal ke che (6) Rozey rakhna Saal bhar Roze Rakhne ki Tarah Hai ✦

Abu Ayyub al-Ansari (Allah be pleased with him) reported Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: He who observed the fast of Ramadan and then followed it with six (fasts) of Shawwal. it would be as if he fasted perpetually.

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2614]

Urdu Translation: Hazrat Abu Ayyub al-Ansari RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya ke Jo Aadmi Ramadhan ke Roze rakhe phir us ke Baad Shawwal ke che (6) Roze rakhe ye Hamesha rozey rakhne ki tarah hai.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2758]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Abu Ayyub (May Allah be pleased with him) reported: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "He who observes As-Saum (the fasts) in the month of Ramadan, and also observes As-Saum for six days in the month of Shawwal, it is as if he has observed As-Saum for the whole year."

 [Riyad as-Salihin :: Book 9 :: Hadith 1254]

Urdu Translation: Hazrat Abu Ayyub RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Jis ne Ramadhan ke roze rakhe, phir us ke baad Che (6) Roze Shawwal ke rakh liye to us ne goya hamesha roze rakhe.

 [Riyad as-Salihin :: Book 9 :: Hadith 1254]


✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "EAT DATES BEFORE OFFERING EID PAYER" ✦

"Eid ki Namaz ko Jane se Pehley Taaq (1,3,5,7…) Khajur Khana Sunnat hai"

Narrated Anas bin Malik Radi Allahu Anhu : Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam never proceeded (for the prayer) on the Day of 'Id-ul-Fitr unless he had eaten some dates. Anas also narrated: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam used to eat odd number of dates.

[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 15 :: Hadith 73]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu se rivayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Eid ul Fitar ke din tab tak (namaz ke liye) nahi Nikaltey jab tak ke Chnd khajuren na kha lete aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Taaq (1,3,5,7…) khajurain khaya karte the.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 953]

●════════════════════◄►═══════════════════●

✦....:: Eid Al-Fitar aur Eid Al-Dhuha ke din Roza Rakhna Mana Hai ::....✦

Umm Aisha Radi Allahu Anha said that the prophet Sallallahu Alaihi Wasallam forbade to observe fast on two days-the day of Fitr and the day of Adha.

[Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2538]

Urdu Translation: Umm Aisha RadiyAllahu Anha se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Do din ke rozey se mana farmaya hai (Aik) Eid Al-Fitar aur (Dusra) Eid Al-Dhuha.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2676]


✦.........:: REVIVE A SUNNAH ⇨ "Going to Eidgaah By Walk" ::.........✦

✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Eidgaah jaaney ke liye Aik Raaste ko aur wapas Aate waqt dusrey Rasste ko Ekhtiyaar kartey they ✦

Narrated Abdullah Ibn Umar RadiyAllahu Anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam went out by one road on the day of the Eid (‘Id) and returned by another.

[Sunan Abu Dawud :: Book 3 :: Hadith 1152]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah Ibn Umar RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Eidgaah Jane ke liye Aik Rastey ko aur us se wapasi ke liye Dusre ko Ekhtiyar farmate the.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawud :: Vol. 1 :: Hadith 1144]


✦.............♥ Marhumeen ki Taraf se Sadqah Kijiye ♥.............✦

Narrated Aisha RadiyAllahu Anha: A man said to the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam), "My mother died suddenly and I thought that if she had lived she would have given alms. So, if I give alms now on her behalf, will she get the reward?" The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) replied in the affirmative.

[Sahih Bukhair :: Vol. 2 :: Book 23 :: Hadith 470]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se riwayat hai ke Aik shaks ne Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se Arz kiya! Meri Waldah ka Achanak inteqal hogaya hai unhen Agar baat karne ka moqa milta to wo zaroor Sadqah ki wasiyat karten, Agar main un ki Taraf se kuch Sadaqah kardun to kya unhen us ka Sawab milega? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Han milega.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1388]


•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´
✦......♥ Last Jum'ah of Ramadan :’( DEAR ALLAH.. ♥......✦
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´

Please Give us a chance to see next Ramadan.
Please Give Long & Health life to our parents.
Please Give Jannah to those Muslims who are not in this World
Please Forgive our sins.
Please Give Health to sick people.
Please send Good Proposals for our sisters & Daughter.
Please Bring Peace in Muslim Countries.
Please Give Freedom to those Muslim who are struggling for it.
Please Bring Happiness in Every Muslim's Life.
Please Bring back to those who are missing.
Please ALLAH make us Good Muslim.
Please ALLAH Help Muslim against their Enemies.
Please Give us Haya.
Please Make our Future Good.
Please ALLAH Don't leave us alone.
Please Give the Good Life Partner to the boys & Girls.
Please Give us a chance to do Umrah and Hajj.
Please Help the poor.
Please Give us a power to help poor.
Please Give Me a strength to do Good Acts
Please Fulfill our legal desires.
Please Save us From Fire of Hell.
Please Give us Place in Jannah after Death.

•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´
★•.•´¯`´¯`´¯`•.•★ ♥ Say.....A A M E E N ♥ ★•.•´¯`´¯`´¯`•.•★
•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´¸.•*´¨`*•.¸¸.•*´


✦ Zakat-ul-Fitr (Sadaqah Fitr) se Mutalliq Chnd Maloomat ✦ Sadqah ul Fir ki Hikmaten ✦ Sadqah Fitr ki Meqdar aur Raqam aur Chnd Masayel ✦

❶ Rozedar ke rozon ke douran ki Baaz kotahyyon aur Laghzishon ka kaffarah.
❷ Rozon jaisi ahem Ibadat ke pura hone par Allah Tala ka shukr.
❸ Fuqra o Masakeen ke liye khane pine aur Eid ki khushiyon mein shareek hone ka Intezam.

Narrated Abdullah ibn Abbas RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) prescribed the sadaqah (alms) relating to the breaking of the fast as a purification of the fasting from empty and obscene talk and as food for the poor. If anyone pays it before the prayer (of 'Id), it will be accepted as zakat. If anyone pays it after the prayer, that will be a sadaqah like other sadaqahs (alms).

[Sunan Abu Dawood :: Book 9 :: Hadith 1605]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Sadqah Fitr ko Rozahdar ki (rozon ke doran) Fuzul baton aur fahesh kalami se safayi hojaye aur Miskeeno ke liye khane pine ka bandobast ho jaye, Jo koi Sadqah Fitr ko Namaz se pehle ada karle to ye Maqbool Sadhqah fitr hai aur jo Namaz ke baad Ada kare to ye Aam Sadqat mein se Aik Sadqa hoga.

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 1 :: Hadith 1596]

●══════════════════◄►═════════════════●

1 ➲ Kya Sadaqah Fitr Wajib hai?

Hazrat Abudullah bin Umar RadiyAllahu Anhu  ne Bayan kiya ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Fitr ki Zakat (Sadaqah Fitr) aik Sa’a khajoor ya aik Saa Jau Farz (Wajib) qarar di thi, Gulam, Aazad, Mard, Aourat, Chote aur Bade tamam musalmano par. [Sahih al-Bukhari :: 1503 - Sahih Muslim :: 2288]

2 ➲ Sadaqah Fitr kab ada kiya jaye?

● Sadqah Fitr Eid ki namaz ke liye Nikalne se pehle ada kardiya jaye. [Sahih al-Bukhari :: 1503]

● Eid se do din pehle ada karne Behtar hai Hazrat Abdullah Bin Umr RadiyAllahuAnhu Sadaqaye Fitr Aik do Din pehle diya karte the. [Sunan Abu Dawud :: 1610]

● Is Hadees ki bina par Afzal surat ye hai ke do din pehle Ada kiya jaye, Galla (khane ki Ashya) dena chaho to bhi jayez hai lekin Aap Qimat doge to wo us Qimat ko Apni zaruriyat aur Eid ke kamo mein istemal karlenge.

3 ➲ Sadaqah Fitr ki Miqdar kya ho?

Hazrat Abu Sa'id Al-Khudri RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Ham RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke zamane mein Khajur ya Jao ya Paneer ya Kishmish ka Aik Saa Nikala karte the. [Sahih Bukhari :: 1506-1508 - Sahih Muslim :: 2285 - Sunan Abu Dawood :: 1616]

4 ➲ Sadaqah Fitr ka Masraf kya hai?

Sadaqah Fitr ka Masraf Zakat ka Masraf hai. [Sunan Abu Dawud :: 1609] Gurba, aur Masakeen aur qareebi Yateem aur Fuqra ko hi dena chahiye, Agar Fuqra aur Masakeen na ho to 8 Muddaat main se kisi par bhi kharch kiya ja sakta hai. (8 Muddat ki tafseel – Quran 9:60)

●══════════════════◄►═════════════════●

◈ Ashya ◈ Sadqah Fir ki Meqdar (Aozan) ◈ Raqam Fitrah fi ks

► Gaihun/Aata ► Nisf Saa (2 kilo Ehtiyatan) ► 100 Rupe.
► Jao Aik Saa ► (4 kilo Ehtiyatan) ► 240 Rupe.
► Khajur Aik saa ► (4 kilo Ehtiyatan) ► 800 Rupe.
► Kishmish Aik saa ► (4 kilo Ehtiyatan) ► 1200 Rupe.
► Munaqqah Aik saa ► (4 kilo Ehtiyatan) ► 2560 Rupe.

Masla: Har musalman malike Nisab par jis ka Nisab Hajat asliya se zayed ho Sadqah Fitr Wajib hai.

Masla: Mard Malike Nisab par apni taraf se aur apne chote bacche (yani Na balig bacche) ki taraf se Sadqah Fitr Wajib hai.

Masla: Shohar apni biwi, waldain apni baligh aoulad aur bhai apni bahen ki taraf se sadqah fitr us ki Ijazat ke sath ada kar sakta hai.

••••► Feel Free To Tag/Share - Surely,الله Will Give The Reward For Spreading Righteousness.

Share this as Sadqa-E-Jariya (everlasting charity). if someone acts on any of this information, you will be benefited too INSHAALLAH.


✦ Jo koi Shab-e-Qadr mein Imaan ke saath aur sawab ki Niyyat se Ibadat ke liye khada ho to uske Tamam pichley Gunaah Baksh diye Jayenge ✦

Narrated Abu Huraira RadiyAllahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, Whoever established prayers on the night of Qadr out of sincere faith and hoping for a reward from Allah, then all his previous sins will be forgiven and whoever fasts in the month of Ramadan out of sincere faith, and hoping for a reward from Allah, then all his previous sins will be forgiven.

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 31 :: Hadith 125]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah Radi AllahuyAnhu se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo koi Shab e Qadr mein Imaan ke saath aur sawab ki niyyat se Ibadat ke liye khada ho to uskey tamam pichle gunaah baksh diye Jayenge aur jis ne Ramadhan ke Roze Imaan ke sath aur sawab ki Niyyat se rakhe uske pichle tamam gunaah Muaaf kardiye Jayenge.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 1901]


✦..........♥ Shab-e-Qadr ki Raat Mein ye Dua Karni Chahiye ♥..........✦

Narrated Aishah RadiyAllahu Anha: "I said: ‘O Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam, what is your view if I know when the Night of Al-Qadr is, then what should I say in it?" He Sallallahu Alaihi Wasallam said: ‘Say:

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ كَرِيمٌ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي

''Allahumma Innaka Afuwun [Karimun], Tuhibbul-Afwa Fa’fu Anni''

"O Allah, indeed You are Pardoning, [Generous,] You love pardon, so pardon me"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 6 :: Book 45 :: Hadith 3513]

●══════════════════◄►═════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Aayesha RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke Maine Arz kiya ya RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Agar mujhe Maloom hojaye ke Shab-e-Qadr konsi raat hai to kya Dua karun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya:

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ كَرِيمٌ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي

''Allahumma Innaka Afuwun Karimun, Tuhibbul-Afwa Fa’fu Anni''

"Yani Aye Allah tu Muaaf karne wala hai aur Muaf karne ko hi Pasand farmata hai ps Mujhe Muaaf farmade."

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1438]

No comments:

Post a Comment