Sunday 20 July 2014

Shabe Qadr ki Alamaten Shab-e-Qadr ko Ramadhan ki Aakhri Ashrey ki Taaq (21, 23, 25, 27, 29) Raaton mein Talaash Karo

A Hadith reported by Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu indicates that it is a moderate night, neither hot nor cold. He said that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: Laylut al-Qadr is an easy and moderate night. It is neither hot nor cold.. On the morning following it, the sun rises weak (in light) and reddish.

(Recorded by Ibn Khuazaimah, al-Bayhaqi, and others. Verified to be authentic by al-Albani (Sahih ul-Jami no.5475)

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Abbas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallan ne Shabe Qadr ki Nishaniyon ke bare mein Farmaya: Shabe Qadr Narmi o Aasani wali aur khushgawar hoti hai, ye Raat na zyadah garm na zyadah thandi balke Motadil hoti hai Naiz Shabe Qadar ki subah suraj ki Roshni bagair Sh’aa ke kamzor aur surkhi mayel hoti hai.

[Musnad al-Thayalisi :: 2680, Sahih ul-Jami :: 5475]

●══════════════════◄►═════════════════●

"We have indeed revealed this (Quraan) in the Night of Power, And what will explain to thee what the night of power is? , The Night of Power is better than a thousand months, Therein come down the angels and the Spirit , by Allah’s permission, on every errand, Peace!...This until the rise of morn!".(Qur’an Surah Al-Qadr :: 97)

Narrated Aisha RadiyAllahu Anha: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Search for the Night of Qadr in the odd nights (21, 23, 25, 27, 29) of the last ten days of Ramadan."

[Sahih Bukhari :: Vol 3 :: Book 32 :: Hadith 234]

Urdu Translation: "Beshak humne is (Quran) ko Shab-e-Qadr mein nazil kiya hai, Aur tumhe kya Malum ki Shab-e-Qadr Kya hai, Shab-e-Qadr Hazar mahino se behtar hai is (mein har kaam) ke saranjam dene ko Apne Rab ke hukm se Farishte aur Rooh (Jibr’eel) utarte hain, Ye Raat sara sar salamati ki hoti hai aur Fajr ke Tulu hone tak (rehti hai)". (Qur’an Surah Al-Qadr :: 97)

Urdu Translation: Hazrat Umm Aayesha RadiyAllahu Anha se rivayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya Shab-e-Qadr ko Ramadhan ki Aakhri Ashrey ki Taaq (21, 23, 25, 27, 29) raaton mein talaash karo.


[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2017]


✦ Ramadhan ke Aakhri Ashrey ka I’tikaf aur Pyare Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ka Tarze Aml ✦

Narrated 'Aisha RadiyAllahu Anha: (the wife of the Prophet) The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to practice I`tikaf in the last ten days of Ramadan till he died and then his wives used to practice I`tikaf after him.

[Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Book 33 :: Hadith 243][Sahih Muslim :: Book 6 :: Hadith 2640]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Wafat tak Ramadhan ke Aakhri Ashrey mein I’tikaf farmate rahe aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke Dunya se Tashreef lejane ke baad Aap ki Azwaje Mutahrat ne bhi I’tikaf Farmaya.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2026] [Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol.3 :: Hadith 2784]

●═══════════════════◄►══════════════════●

✦ Ramadhan ke Aakhri Ashraey (Last 10 days) Mein Ziyada Ibadat Kijiye ✦

Narrated Aisha RadiyAllahu Anha With the start of the last ten days of Ramadan, the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam used to tighten his waist belt (i.e. work hard) and used to pray all the night, and used to keep his family awake for the prayers.

[Sahih Bukhari :: Vol.3 :: Book 32 :: Number 241]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se rivayat hai ke jab (Ramadhan ka) Aakhri Ashrah Aata to Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam apna tehband mazboot baandh letey (yani apni kamar poori tarah kas lete) Aur un Raaton mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam khud bhi Jagtey aur Apne ghar walon ko bhi jagaya karte the.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 3 :: Hadith 2024]


✦.............:'( Zakat Mein Kotahi par Holnak Azab :'(.............✦

Abu Huraira RadiyAllahu Anhu reported Allah's Messenger (way peace be upon him) as saying: If any owner of gold or silver does not pay what is due on him, when the Day of Resurrection would come, plates of fire would be beaten out for him; these would then be heated in the fire of Hell and his sides, his forehead and his back would be cauterized with them. Whenever these cool down, (the process is) repeated during a day the extent of which would be fifty thousand years, until judgment is pronounced among servants,

[Sahih Muslim :: Book 5 :: Hadith 2161]

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad Farmaya: Jo shaks sone ya Chandi ka Malik ho aur wo us ka Haq (zakat) ada na kare to Qayamat ke din us ke liye Aag ki Takhtiyan tayyar ki jayengi aur un ko Jahannam ki Aag mein Tapaya jayega, phir un se us shaks ka pahlu, paishani aur kamar daag di jayegi, Jab bhi ye Takhtiyan thandi hongi unhen dobara Garam kiya jayega, Aur Qayamat ke us din mein Jis ki Meqdar Dunya ke hisab se 50 Hazar baras hogi Fariza zakat mein kotahi karne wale ke sath Darj bala Holnak Azab baar baar dohraya jayega.

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vo. 3 :: Hadith 2290]


✦ Qayamat ke Din uska Maal Nihayat Zahreele Ganje Saanp ki Shakal Ekhtriyar kar lega ✦

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "Whoever is made wealthy by Allah and does not pay the Zakat of his wealth, then on the Day of Resurrection his wealth will be made like a bald-headed poisonous male snake with two black spots over the eyes. The snake will encircle his neck and bite his cheeks and say, 'I am your wealth, I am your treasure. "Then the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) recited the holy verses:-- 'Let not those who withhold . . .' (to the end of the verse). (3.180)."

[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 24 :: Hadith 486]

Urdu Translation: Hazrat Abu Hurairah RadiyAllahu Anhu se rivayat hai ke Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Jisey Allah ne maal diya aur usney uski zakaat Ada nahi ki to Qayamat ke din uska Maal nihayat zahreele ganje saanp ki shakal Ekhtriyar kar lega uski Aankhon ke pass do siyah (black) Nuqtey honge Jaise saanp ke hote hain phir wo saanp uske dono jabdo se usey pakad lega aur kahega ke main tera Maal aur Khazana hun, is ke Baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye Aayat padhi:

"Aur wo log ye Guman na karen ke Allah Tala ne unhen jo kuch Apne Fazl se diya hai wo us par Bokhl se kaam lete hain ke un ka Maal un ke liye behtar hai balke wo Bura hai jis Maal ke Muamle mein unhone bokhl kiya hai Qayamat mein us ka Toq bana kar unki Gardan mein dala jayega." (Qur’an 3:180)

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1403]


✦......♥ Deeni o Falahi kamon Mein Kharch karne ka Mahina ♥......✦

✦ REVIVE A SUNNAH ⇨ "BEING MORE GENEROUS IN RAMADAN" ✦

The Messenger of Allaah (Sallallahu Alaihi Wasallam) was MORE GENEROUS IN DOING GOOD THAN A BLOWING WIND.

Narrated Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) was the most generous of all the people, and he used to reach the peak in generosity in the month of Ramadan when Gabriel met him. Gabriel used to meet him every night of Ramadan to teach him the Qur'an. Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) was the most generous person, even more generous than the strong uncontrollable wind (in readiness and haste to do charitable deeds).

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 1 :: Hadith 5]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam logon mein sab se zyadah "Sakhi" the aur khaas tor par Ramadhan mein Jab Jibraeel Alaihis Salam Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se Milte bahot hi zyadah Jod o karam farmate, Jibraeel Alaihis Salam Ramadhan ki har Raat mein Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se Mulaqat karte aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath Quran ka Daor (suna aur sunaya) karte, Algarz Aap Sallallahu Alaihi Wasallam logon ko Bhalayi pohchane mein barish lane wali Hawa se bhi zyadah "Sakhawat" Farmaya karte the.

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 6]

●◗► Sakhi, Sakhawat – Khairaat, Fayazi, Daryadili.

●════════════════════◄►═══════════════════●

► Being generous can be done by sharing knowledge, giving money, using one’s position of authority or physical strength to help others, and having a good attitude.

► How can people exchange generosity for stinginess and action for laziness, to the extent that they do not do their work properly and do not treat one another properly, and they use fasting as an excuse for all this.



...:: Gaza is under Attack AGAIN! Here is a short Dua to Memorise ::...

Narrated Ibn Abi `Aufa RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) asked for Allah's wrath upon the Ahzab (confederates), saying,

 " اللَّهُمَّ مُنْزِلَ الْكِتَابِ، سَرِيعَ الْحِسَابِ، اهْزِمِ الأَحْزَابَ، اهْزِمْهُمْ وَزَلْزِلْهُمْ "

"Allaahumma munzilal-kitaabi, saree’al-hisaabi, ihzimil-ahzaaba, Allaahumma ihzimhum wa zalzilhum"

"O Allah, the Revealer of the Holy Book, and the One swift at reckoning! Defeat the confederates; Defeat them and shake them."

[Sahih Bukhari :: Vol. 8 :: Book 75 :: Hadith 401]

●═══════════════════◄►══════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abi ‘Aufa RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ahzab ke liye Bad’dua ki,

 " اللَّهُمَّ مُنْزِلَ الْكِتَابِ، سَرِيعَ الْحِسَابِ، اهْزِمِ الأَحْزَابَ، اهْزِمْهُمْ وَزَلْزِلْهُمْ "

"Allaahumma munzilal-kitaabi, saree’al-hisaabi, ihzimil-ahzaaba, Allaahumma ihzimhum wa zalzilhum"

"Aye Allah! Kitab ke Nazil karne wale! Hisab jaldi lene wale! Ahzab ko (Mushrikeen ki Jamaton ko, Gazwah Ahzab mein) Shikast de, unhe Shikast dede aur unhe Jhinjod de."

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Vol. 7 :: Hadith 6392]


✦.....♥ Rozah Aur Quran Majeed Qayamat ke din Shifa’at ka Zariya ♥.....✦

Narrated Abd-Allah ibn ‘Amr RadiyAllahu Anhu that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Fasting and the Quran will intercede for a person on the Day of Resurrection.

► Fasting will say, ‘O Lord, I deprived him of his food and his desires during the day, so let me intercede for him.’

► And the Quran will say: ‘I deprived him of his sleep at night so let me intercede for him.’ Then they will intercede."

[Musnad Ahmad :: Hadith 6626, Saheeh al-Jami’ :: No 3882]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Amr RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Qayamat ke din Rozah aur Quran Majeed bande ki shifa’at karenge.

► Rozah kahega: Aye Rab! Maine is ko din bhar khane pine aur Khuaheshat se roke rakha, tu us ke Haq mein meri sifarish Qabool farma.

► Aur Quran kahega: (Aye Rab!) Maine ise raat ko sone se roke rakha, tu us ke Haq mein meri sifarish Qabool farma. Pus dono ki Shifa’at Qabool karli jayegi."

[Musnad Ahmad :: Hadith 6626]


✦..:: Yaqeen aur Ekhlas se Dua Mangne ka Aik Tariqa Sikha Gaya ::..✦

●◗► Us ki Aadat thi ke wo Azan se kafi pehle Masjid mein aajata aur wuzu kar ke Quran ki tilawat shuru kardeta Is tarah Jamat hone se pehle use tilawat ke liye kafi waqt mil jata, Aaj bhi kuch isi tarah hua tha wo Masjid mein baitha tilawat kar raha tha ke Aik chota baccha Masjid mein dakhil hua aur hath muh dho kar Masjid ke aik kone mein baith gaya us ne Muskurat kar bacche ki taraf daikha to bacche ne bhi Muskurahat se Jawab diya.

◈➲ Wo sir jhuka kar phir Tilawat mein Mashgool hogaya thodi dair baad tilawat ke douran us ne sir utha kar daikha to wo chota baccha apne Nannhe hath utha kar Aankhe band kar ke Dua mang raha tha us ke Labon par muskurathat phail gayi, Bacche ka Dua mangne ka Andaz itna pyara tha ke wo be saakhta Quran Majeed band kar ke use daikhne laga.

◈➲ Thodi dair baad us bacche ne Dua khatam ki aur bahar jane laga to us ka dil Chaha ke hosla Afzayi ke liye use kuch de, us ne Bacche ko paas bulaya aur sir par hath pher kar us ko 100/- ka not diya bacche ne thodi si hichkicha hat ke baad wo Not Qabool karliya.

♥ Us ne Bacche se pucha batao tum Allah se kya Dua mang rahe the? Bacche ne muskurate hue kaha Mera Chocolate khane ka dil kar raha tha to main ne Allah ji se 100/- rupye mange the ye keh kar wo chala gaya, bacche ke jane ke baad wo usi simt daikhta raha jis taraf wo baccha gaya tha jo use ♥ Yaqeen aur Ekhlas se dua Mangne ka aik tariqa sikha gaya tha ♥.

2 comments:

  1. Jazak Allah brother. Best job in the world. Keep it up

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aameen Brother Wa'antum Fajazakumullahu Khair :)

      Delete