Sunday, 17 May 2015

✦.....♥ Meraj un Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Tohfa ♥....✦
✦.....✿.....♥ 5 Namazon par 50 Namazon ka Sawab ♥.....✿.....✦

The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "Then Allah enjoined fifty prayers on my followers when I returned with this order of Allah, I passed by Moses who asked me, 'What has Allah enjoined on your followers?' I replied, 'He has enjoined fifty prayers on them.' Moses said, 'Go back to your Lord (and appeal for reduction) for your followers will not be able to bear it.' (So I went back to Allah and requested for reduction) and He reduced it to half. When I passed by Moses again and informed him about it, he said, 'Go back to your Lord as your followers will not be able to bear it.' So I returned to Allah and requested for further reduction and half of it was reduced. I again passed by Moses and he said to me: 'Return to your Lord, for your followers will not be able to bear it. So I returned to Allah and He said, 'These are five prayers and they are all (equal to) fifty (in reward) for My Word does not change.' I returned to Moses and he told me to go back once again. I replied, 'Now I feel shy of asking my Lord again.' Then Gabriel took me till we '' reached Sidrat-il-Muntaha (Lote tree of; the utmost boundary) which was shrouded in colors, indescribable. Then I was admitted into Paradise where I found small (tents or) walls (made) of pearls and its earth was of musk."

[Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Book 8 :: Hadith 345, 349]

Urdu Translation: Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "(Meraj ke moqe par) Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne Meri ummat par 50 Namazen farz kin, Main Namaz ka hukum lekar wapas hua, Jab Musa (Alaihis Salam) tak pohcha to unhone pucha ke Aap ki ummat par Allah ne kya farz kiya hai? Main ne kaha: "50 Namazen Farz ki Hain", Unhone ne farmaya: Aap wapas apne Rab ke bargah mein jayen, Kyun ke Aap ki ummat itni Namazon ko ada karne ki taqat nahi rakhti hai, Main wapas Rabbul izzat ki bargah mein gaya to Allah ne us mein se Aik hissa km kardiya, Main phir Musa (Alaihis Salam) ke pas aaya aur kaha ke Aik hissa km kardiya gaya hai, unhone ne kaha ke dobarah jaye kyun ke Aap ki ummat mein is ki bhi taqat nahi hai, Main phir bargah Rabbul izzat mein hazir hua to Allah Tala ne aik hissa aur km kardiya, Main jab Musa (Alaihis Salam) ke pas pohcha to unhone ne farmaya ke Apne Rab ki bargah mein phir jayye, kyun ke Aap ki ummat mein is ki bhi taqat nahi, main Wapas lota Allah Subhanahu Wa Ta'ala ne farmaya ke ye Namazen (Aml mein) 5 hain lekin (Ajr o sawab mein) 50 Namazon ke barabar hain, Meri baat badli nahi jati.

Ab main Musa (Alaihis Salam) ke paas aaya to unhone phir farmaya ke Apne Rab ke paas wapas jaye (aur mazeed kami ki darkhuast kijiye), Lekin main ne kaha mujhe Ab apne Rab se haya (Sharm) aati hai, phir Jibrayeel Alaihis Salam mujhe Sidrat-il-Muntaha tak legaye jise kayi tarah ke Rangon ne dhank rakha tha, jin ke Mutalliq mujhe maloom nahi hua ke wo kya hain, is ke baad mujhe Jannat mein le jaya gaya, main ne dekha ke us mein Motiyon ke haar hain aur us ki mitti mushk ki hai."

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 1 :: Hadith 349]

✦.....▶▶▶ Geebat aur Aabrurezi (Be’izzati) ka Anjam ◀◀◀.....✦

Narrated Anas ibn Malik RadiyAllahu Anhu: The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "When I was taken up to heaven I passed by people who had nails of copper and were scratching their faces and their breasts.

I said: Who are these people, Gabriel?
He replied: They are those who were given to back biting and who aspersed people's honour."

[Sunan Abu Dawood :: Book 42 :: Hadith 4860, 4878]

Urdu Translation: Hazrat Ansa bin Malik RadiyAllahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad Farmaya: "Jab mujhe Meraj karwayi gayi to mera Guzar kuch aise logon ke paas se hua jin ke Nakhun tanbe ke the wo un se apne chehron aur sinon ko buri Tarah noch rahe the,

Main ne sawal kiya: Aye Jibrayeel! Ye kon log hain?
Hazrat Jibrayeel Alaihis Salam ne Jawab diya: Ye wo log hain jo logon ka Gosht khate hain (yani geebat karte hain) aur un ki Izzaten pamaal karte hain."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 1449]

✦........♥ Meraj un Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ♥........✦
✦...✿....♥ Masjide Haram se Masjid e Aqsa Tak ♥...✿....✦

●◗► Har Naqs wo Kamzori se paak hai wo zaat jo apne (Mahboob o Muqarrab) bande ko raton raat "Masjide Haram" se "Masjide Aqsa" tak le gaya Jis ke Gird o Nawah ko ham ne Ba barkat banaya taa ke ham us (Mahboob bandah) ko apni kuch Nishaniyan dikhayen, Beshak wo har baat sunne wali har cheez daikhne wali zaat hai. (Qur'an 17:1)

◈➲ "Meraj ki raat RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko Masjide Haram se Masjide Aqsa le jaya gaya, phir Wahan se Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Allah Subhanahu Wa Ta'ala se Mulaqat ka sharf Hasil karne ke liye Aasmano mein tashreef le gaye." ►Tafseeli Zikr [Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Book 54 :: Hadith 429, 3207] [Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 4 :: Hadith 3207]

✦.......:'( Gunah Ke Dunyawi Nuqsanat :'(.......✦

❶ Waqt zaye hota hai.
❷ Duayen Qubool nahi hoten.
❸ Dil sakht aur bigad jata hai.
❹ Nekiyon ki toufeeq khatam ho jati hai.
❺ Aql mein Futoor (kharabi) Aajata hai.
❻ Haq baat ko Aql tasleem nahi karti.
❼ Umr aur Rizq mein barkat khatam ho jati hai.
❽ Ilm se mahroom kardiya jata hai.
❾ Nekiyon aur Naik logon se wahshat hoti hai.
➓ Zillat o Ruswayi taari kardi jati hai.


●◗► Kisi bhi Rishten ke khone ka ye Matlab bilkul bhi nahi hota ke Zindagi mein ab kuch nahi, Zindagi ruk gayi hai Ya ab hamara Jina be-Mane hai, Ham Allah Subhanahu Wa’Tala ki Mohabbat ka dawa karne wale log ye kyun bhool jate hain ke ◄► Dunya ki har Aik cheez Allah ke hukum ki Mohtaj hai to ye bhi to ho sakta hai ke Juda hone wale Rishten ka sath faqt us waqt tak ka hi ho,

◈ ✿ Aise moqon par Hamen khud ko sambhal ke Allah Subhanahu Wa’Tala ki Nashukri ke bajaye shukr baja lana chahiye, Beshak Allah Tala Janta hai jo ham nahi jante, Allah ki Na’shukri se bachen.

⇨ "But perhaps you hate a thing and it is good for you; and perhaps you love a thing and it is bad for you. And Allah Knows, while you know not." (Qur’an 2:216)

⇨ "Urdu Translation: "Mumkin hai ke tum kisi cheez ko buri jano aur Darasal wahi tumhare liye bhali ho aur ye bhi Mumkin hai ke tum kisi cheez ko Acchi samjho, Halan ke wo tumhare liye buri ho, Haqiqi ilm Allah hi ko hai, tum Mahez be’khabar ho." (Qur’an 2:216)

✦.............♥ Shadi ke Pur Masarrat Moqe par ♥.............✦
▶▶..✿..♥ Mubarak Baad Dene ki Masnoon Dua ♥..✿..◀◀

Narrated AbuHurayrah RadiyAllahu Anhu: When the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) congratulated a man on his marriage, he said:

بَارَكَ اللَّهُ لَكَ وَبَارَكَ عَلَيْكَ وَجَمَعَ بَيْنَكُمَا فِي خَيْرٍ
'BarakAllahu laka wa Baaraka ‘alaika wa jama’a Bainakuma fi khair'

"May Allah bless for you, and may He bless on you, and combine both of you in good (works)."

[Sunan Abu Dawood :: Book 11 :; Hadith 2125, 2130]

●═════════════════◄►════════════════●

Urdu Translation: Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Jab kisi Shadi shudah Shaks ko Mubarak baad dete to ye Dua farmate:

بَارَكَ اللَّهُ لَكَ وَبَارَكَ عَلَيْكَ وَجَمَعَ بَيْنَكُمَا فِي خَيْرٍ
'BarakAllahu laka wa Baaraka ‘alaika wa jama’a Bainakuma fi khair'

"Allah Tala tujhe Barkat de aur Tujh par barkat nazil farmaye aur Tum donon ke darmiyan bhalayi par Ittefaq paida farmaye."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 363]

◈ ▶ Ittefaq – Ittehad, Mohabbat, Dosti.

●◗► Aik martaba Aik Isayi kisi Musalman Aalim ke paas gaya aur us se Aik sawal kiya ke Aap logon ke Mazhab mein Shiddat pasand kyun hai ? Matlab aap log apne Nabi Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki shan mein gustakhi par Badhak jate ho ke Qatl o Garat giri par utar aate ho, Jab ke ham Isayyon mein aisa kuch nahi hai, yani agar tum Hazrat Isa (Alaihis Salam) ka khaka banao, Film banao ya chahe kuch bhi karo, Tum Torat ki touheen karlo tumhen koi kuch nahi kahega, kyun ke Ham "Aman Pasand" log hai.

◈ Musalman Aalim ne pucha Agar main aap ki Izzat par hath dalun ya aap ke Ghar jayedad par qabza karun tab bhi kya aap "Aman Pasand " rahoge? Us Isayi ne Jawab diya "Hargiz Nahi."

✿► Musalman Aalim ne Kaha bus yahi Farq hai ham mein aur tum mein, ♥ Hamen hamara deen, Rasool Akram (Sallallahu Alaihi Wasallam) apne ghar baar, Maal o Doulat aur Azeez o Aqarib se badh kar Pyare hain ♥ isi liye ham un par koi Tanqeed bardasht nahi karte.

✦.........:o Marte hi Mua’mla Shuru :o.........✦

Narrated `Abdullah bin `Umar RadiyAllahu Anhu: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said, "When anyone of you dies, he is shown his place both in the morning and in the evening. If he is one of the people of Paradise; he is shown his place in it, and if he is from the people of the Hell-Fire; he is shown his place there-in. Then it is said to him, 'This is your place till Allah resurrect you on the Day of Resurrection."

[Sahih Bukhari :: Vol. 2 :: Book 23 :: Hadith 461]

Urdu Translaiton: Hazrat `Abdullah bin `Umar RadiyAllahu Anhu farmate hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya: "Jab tum mein se koi shaks Marjata hai to us ka Thikana use subah o sham dikhaya jata hai, Agar wo Jannati hai to jannat walon mein thikana aur Agar dozakhi hai to dozakh walon mein thikana, Phir kaha jata hai ye tera thikana hai yahan tak ke Qayamat ke din Allah tujh ko uthayega."

[Urdu Ref :: Sahih al-Bukhari :: Vol. 2 :: Hadith 1379]

●◗► Kisi gaon mein Aik kutta (Dog) kunwe mein gir kar mar gaya, Chunke gaon mein wo Aik kunwa tha is liye log bhage bhage apne ilaqe ke Moulwi sahab ke paas gaye aur un se sawal kiya ke kunwa paak kaise kiya jaye ? Moulwi sahab ne farmaya: Aap log kunwen ka sara Pani nikal kar phenk den kunwa paak hojayega.

◈ Aik do din baad phir gaon wale Moulwi sahab ke paas pohche aur bole: Hazrat pani to waise ka waisa hi hai, Aap ke hukm ke mutabiq ham ne pani nikal kar phenk diya tha.

✿► Moulwi sahab ne ye baat sun kar pucha: "Kya Aap logon ne kutte ko nikal kar Pani phenka tha ?" is par sab bole Hazrat! Aap ne pani nikalne ka kaha tha, Kutta nikalne ka nahi ◈ ▶ So Pyare bhai aur Bahno! "Ham bhi gaon walon ki tarah karte hain, Bogz, Hasad, Nafrat, Ta’ssub aur lalach ke kutte dil mein rehne dete hain aur kuch Namazen, Tasbihat padh kar samajhte hain Dil paak hogaya."


●◗► Us ko Razi na karo jo Razi hona hi nahi chahta aur Razi ho hi nahi sakta Jaise Sarabe dunya, Hawase Nafs.

✿► Us ko Razi karo jo Tum se Razi hona aur tumhen Razi karna chahta hai aur wo hai ♥ Allah Subhanahu Wa’Tala ♥

No comments:

Post a Comment