Saturday, 30 May 2015

✦...✿....♥ Ishraq Ki Namaz Haj o Umre ka Sawab ♥....✿...✦

Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu narrated that: The Messenger of Allah said: "Whoever prays Fajr in congregation, then sits remembering Allah until the sun has risen, then he prays two Rak'ah, then for him is the reward like that of a Hajj and Umrah."

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Book 1 :: Hadith 586]

Urdu Translation: Hazrat Anas bin Malik RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo shaks Namaze Fajr ba Jama’at ada kare, phir (Apni jaga par) baith kar Suraj tulu hone tak Allah ka Zikr karta rahe, Phir 2 Rakat (ishraq ki) Namaz padhe to use Kaamil Haj o Umre ka Sawab milta hai."

[Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 566]


✦......♥ Ghamzadah Logon ko Tasalli Den ♥......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "There is no believer who consoles for his brother for a calamity, but Allah will clothe him with garments of honor on the Day of Resurrection."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 6 :: Hadith 1601]

Urdu Translation: Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo Momin bandah apne bhai ki Musibat par use Tasalli de to Allah Rabbul Izzat Qayamat ke din use Izzat o Sharafat ka libaas Pahnayenge."

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1601]


●◗► Please! Don't use mobile at road, Someone cares you A lot, Someone is waiting for you At home, Please! Think about them and be careful...!!

●◗► Baraye Maherbani! Road par Guzarte waqt Mobile ka istemal na karen, koi hai jo Aap ka bahot khayal karta hai, Koi hai jo Aap ke liye Ghar par intezar kar raha hai, un sab ke baren mein sochen aur Apna dhyan rakhen..!! ✿ JazakAllahu Khair ✿

✦......:o Dayyoos Mua’ashre Mein Phailta Nasoor :o......✦

Narrated `Abdullah bin `Umar RadiyAllahu Anhu: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Allah has forbidden the Paradise to three people: The alcoholic, The runaway slave, and the one who is complacent in the face of the evil deeds that his family is performing"

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhu farmate hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "3 Aadmi Aise hain Jin par Allah Jalla Shanahu ne Jannat ko Haram kardiya hai:

❶ Dayimi (Hameshgi Wala) Sharabi.
❷ Waldain ka Nafarman.
❸ Dayyoos jo Apne Biwi Bacchon mein be’hayayi ko bardasht karta hai."

[Munad Ahmad bin Hambal :: Hadith 5372] [Musnad Ahmad :: Hadith (2/69) Hadith 5372]

●◗► Dayyoos ki Tareef mein Aise Bhai, Baap aur Khawind shamil hain jo Apni Bahen, Beti aur Biwi ko Neem uryan (Aadha Nanga) Fashion zadah libas pahna kar bazaron aur Mahfilon ki zeenat banate hain, aik Dusri Hadis ka Mafhoom hai ke Dayyoos ko is baat ki koi parwah Nahi hoti ke us ke ghar ki Aourton se kon log mil rahe hain aur kis tarah ke Maahol mein un ka Aana jana hai. [Shuab ul Iman Al-Bayhaqi :: 10800]


✦.....✿.....♥ Tarbooz (Watermelon) Garmi ka Tod ♥.....✿.....✦

Narrated Aisha, Ummul Mu'minin RadiyAllahu Anha: The Messenger of Allah (Sallallahu Alahi Wasallam) used to eat melon with fresh dates, and he used to say: "The heat of the one is broken by the coolness of the other, and the coolness of the one by the heat of the other."

[Sunan Abu Dawood ::  Book 27 :: Hadith 3827, 3836]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha farmati hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Tarbooz ko Tar Khajoor ke sath mila kar khaya karte the aur Farmaya karte the: "Ham khajoor ki Garmi ko Tarbooz ki Thandak se aur Tarbooz ki Thandak ko Khajoor ki garmi se tod te hain."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 3 :: Hadith 435]

▶▶ Tar Khajoor – Taze Khajoor.

●◗► Nikah ke teen bol padh lene ke baad Ladki apne Maa, Baap, Bhai, Bahen, apna pura Ghar khandan chhor kar Apne shohar ke Ghar aajati hai, jo ke us ke liye Bilkul Ajnabi hai, har koi cheez nayi hai, sab ko Apnane aur Nibhane ke liye tayyar hojati hai, to kya tum uski Qurbani ka lehaaz nai karoge?

◈➲ Farz Karen! Agar Bilkul is ke Bar’aks hota, Aap ko ladki ki tarah Apna ghar khandan Maa, Baap, Bhai, Bahen chhor ke kisi Ajnabi khandan mein jana padhta to? Us waqt tumhare liye kitna Mushkil hota.

♥ Isliye! Aourat ki Qurbaniyon ki Qadar karen aur us ke sath Accha Sulook karen ♥ ✔ Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Tum mein sab se behtar wo hai jo Apne Ghar walon ke liye Accha hai (Mujhe daikho) Main apne Ghar walon ke liye tum sab se behtar (sulook karne wala) hun." [Urdu Ref :: Jami at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 1826]

✔ Narrated 'Aishah RadiyAllahu Anha: That the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "The best of you is the best to his wives, and I am the best of you to my wives." [Jami at-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Book 46 :: Hadith 3895]


✦.......-_-  Nazar Taiz Karne ka Nabwi Nuskha -_- .......✦

It was narrated from Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu that: The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "One of the best kinds of kohl that you use is Ithmid (antimony); it brightens the vision and makes the hair (eye-lashes) grow."

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 6 :: Book 48 :: Hadith 5116, 5113]

Urdu Translaiton: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad Farmaya: "Bila shuba Tumhare Surmon mein sab se behtar Surma “Ismad” hai jo Nazar ko taiz karta hai aur (palkon ke) baal ugata hai."

[Urdu Ref :: Sunan an- Nasa'i :: Vol. 3 :: Hadith 1414]


✦.......♥ Jumah ka Din Duaon ki Qubuliyat ka Din ♥.......✦

●◗► Halaate Hadhra ke Tanazur mein is Qur'aani Dua ka Khususi Ehtemam karen:

⇨ "Upon Allah do we rely. Our Lord, make us not [objects of] trial for the wrongdoing people,  And save us by Your mercy from the disbelieving people." (Qur’an 10:85-86)

⇨ "Urdu Translation: "Ham Allah hi par bharosa rakhte hain. Aye hamare Parwardigar ham ko Zaalim logon ke hath se Aazmayesh mein na daal, aur tu hamen apni Rehmat se kafir Qoum (ke tasallut) se Najat baksh de." (Qur’an 10:85-86) ✿ Aameen Ya Allah ✿


✦...♥ Sha'ban: Ramadhan Al-Mubarak ke Intezar ka Mahina ♥...✦

Narrated Aisha, Ummul Mu'minin RadiyAllahu Anha: "The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) used to count the days in Sha'ban in a manner he did not count any other month; then he fasted when he sighted the new moon of Ramadan; but if the weather was cloudy he counted thirty days and then fasted."

[Sunan Abu Dawud :: Book 13 :: Hadith 2318, 2325]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha farmati hain ke "RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Sha'ban (ki tareekhen) ko yaad rakhne ka jis qadar Ehtemam farmate itna kisi Dusre mahine (ki tareekhon) ka Ehtemam nahi farmate (kyun ke Sha'ban ke Ekhtetam par Ramadhan ke Aagaz ka madar hai) phir Jab Ramadhan ka chand Nazar Aata to roze rakhte, aur Agar Matla’a Abar Alood hone ki wajah se (29 sha'ban ko) Chand nazar na Aata to (sha'ban ke) 30 din poore farmate aur phir Roze rakhte."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol. 2 :: Hadith 555]


✦.....✿.....♥ Maahe Shaban (Month of Shaban) ♥.....✿.....✦

Usamah bin Zaid RadiyAllahu Anhu said: "I said: 'O Messenger of Allah, I do not see you fasting any month as much as Shaban.'

He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: 'That is a month to which people do not pay much attention, between Rajab and Ramadan. It is a month in which the deeds are taken up to the Lord of the worlds, and I like that my deeds be taken up when I am fasting."'

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 3 :: Book 22 :: Hadith 2359, 2357]

Urdu Translation: Hazrat Usamah bin Zaid RadiyAllahu Anhu farmate hain ke Main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam se Arz kiya: Ya RasoolAllah! Main ne Shaban se zyadah kisi dusre mahine mein aap ko itne Ehtemam se roze rakhte hue nahi dekha?

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad Farmaya: "Ye Aisa mahina hai Jo Mahe Rajab aur Mahe Ramadhan ke darmiyan mein aata hai aur log is se Gaflat baratte hain halan ke is mahine mein (poore saal ke) Aa’mal Allah Subhanahu Wa Ta'ala ke samne paish kiye jate hain, aur main chahta hun ke mere Aa’mal is halat mein paish kiye jayen ke main Roze se hun."

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa’i :: Vol. 2 :: Hadith 268]


✦....✿.....♥ Azdwaji Zindagi ke Akhrajat ♥.....✿....✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "There are three who are promised the help of Allah:

❶ The Mukatab who wants to buy his freedom,
❷ The one who gets married seeking to keep himself chaste, and
❸ The Mujahid who fights in the cause of Allah." (Mukatab: the slave who has made a contract of manumission).

[Sunan an-Nasa'i :: Vol. 4 :: Book 26 :: Hadith 3220, 3218]

Urdu Translation: Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "3 Tarah ke logon ki Madad karna Allah ne Apne zimme liya hua hai:

❶ Wo Gulam jo Aazadi ke husool ke liye Malik ko Adayegi karna chata ho.
❷ Wo Noujawan jo Iffat o Paakdamni (gunah se bache rehne) ki garz se Nikah kar raha ho.
❸ Allah ke Raste ka Mujahid."

[Urdu Ref :: Sunan an-Nasa'i :: Vol. 2 :: Hadith 1130]

No comments:

Post a Comment