Tuesday 5 May 2015


✦...✿....♥ Dil ka Saaf INSAN! (Bright Heart) ♥...✿....✦

It was narrated that ‘Abdullah bin ‘Amr RadiyAllahu Anhu said: "It was said to the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam): ‘Which of the people is best?’ He said: ‘Everyone who is pure of heart and sincere in speech.’

They said: ‘Sincere in speech, we know what this is, but what is pure of heart?’ He (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: ‘It is (the heart) that is pious and pure, with no sin, injustice, rancor or envy in it."

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 37 :: Hadith 4216]

●════════════════════◄►═══════════════════●

Urdu Translation: Hazrat ‘Abdullah bin ‘Amr RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha gaya ke "Sab se Afzal shaks kon hai?' Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya: 'Saaf dil wala aur Zuban ka saccha.'

Sahaba Ikram (RadiyAllahu Anhum) ne arz kiya: 'Zuban ke sacche hone ka Mafhoom to ham jante hain lekin Dil saaf hone se kya murad hai?'

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya: 'Wo Muttaqi (parhaizgar) aur saaf  suthra Dil jis mein na Gunah ho na Bagawat, na hi us mein kisi ka keena (bogz) ho aur na kisi ke bare mein Hasad.

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 1097]

✦....✿...♥ Wuzu Kar ke Soyen Farishton ki Duayen Len ♥...✿....✦

Ibn 'Abbas RadiyAllahu Anhu reported that Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Purify these bodies and Allah will purify you, for there is no slave who goes to sleep in a state of purity but an Angel spends the night with him, and every time he turns over, [the Angel] says, 'O Allah! Forgive Your slave, for he went to bed in a state of purity."

[Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani :: Hadith 5087]

Urdu Translation: Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Allah Subhanahu Wa’Tala tumhen paak rakhe, Tum apne Jismon ko paak saaf rakho kyun ke jo bhi Bandah taharat ki halat mein (yani ba wuzu) Raat guzarta hai to us ke sath us ke Bistar par Aik Farishta bhi Raat guzarta hai aur us ki har Karwat par wo ye Dua karta hai: 'Aye Allah apne bande ki Maghfirat farmadijiye kyun ke is ne paaki ki Halat mein Raat guzari hai."

[Al-Mu’jamul Awsat Al-Tabarani :: Hadith 5087]

✿► Wo 10, 11 Maah ka baccha, Do qadam apni Maa ki taraf chala aur Girne laga lekin us ki Maa ne girne se pehle hi use pakad liya, Maa us ko apni taraf Chalta daikh kar itni zyada khush thi ke jis ka Andazah bhi nahi lagaya ja sakta.

✿► Ab zara sochen ham kitne Gunahgaar hain lekin Agar girte padte qadmon se Apne Allah ki taraf do Qadam bhi chlaenge to hamara Rab kitna khush hoga. ♥

✦......♥ Ehsaan Faramosh na Banen ♥......✦
╔═══════════✿═✿═══════════╗
JazakAllahu Khair ◈ Thank You ◈ Shukriya

Abu Sa'eed RadiyAllahu Anhu narrated that the Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said : "Whoever is not grateful to the people, he is not grateful to Allah."

[Jami At-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 1 :: Hadith 1955]

Urdu Translation: Hazrat Abu Sa’eed RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne Irshad Farmaya: "Jo logon ka shukriya ada nahi karta wo Allah Tala ka bhi Shukr ada nahi karta."

[Urdu Ref :: Jami At-Tirmidhi :: Vol. 1 :: Hadith 2019]

✦.............▶▶▶ O X Y G E N ◀◀◀.............✦

⇨ "Aur Tum Apne Parwardigar ki kon kon si Nematon ko Jhutlaoge." ? ✦ Aik Insan zinda rahne ke liye rozana Taqriban 3 Cylinder ke barabar Oxygen istemal karta hai.

● Jis ki qimat taqriban Sadhe 3 Hazar rupe rozana banti hai.
● Taqriban 1 lakh 5 hazar rupe mahana banti hai.
● Taqriban 13 lakh rupe salana banti hai.
● Aosat umr ke hisab se 60 salon mein ye Raqam Taqriban 7 Crore 80 lakh rupe banti hai.

●◗► Kya Aap ne kabhi socha ke itni badi Raqam kharch kar ke hasil ki jane wali Bunyadi zarurat ki cheez Allah Subhanahu Wa’Tala Mahez apne Fazl o karam se hamen bila Mua’wzah Ata farma rahe hain!

✦........:( Mazaq Mazaq Mein Musalman ko Darana :(........✦
✦"DO NOT SCARE OTHER PEOPLE EVEN AS A JOKE" ✦

Narrated AbdurRahman ibn AbuLayla Rahimullah: The Companions of the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) told us that they were travelling with the Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam). A man of them slept, and one of them went to the rope which he had with him. He took it, by which he was frightened. The Prophet (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "It is not lawful for a Muslim that he frightens a Muslim."

[Sunan Abu Dawood :: Book 42 :: Hadith 4986, 5004]

Urdu Translation: Hazrat AbdurRahman bin AbuLayla Rahimullah Farmate hain ke hamen RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Sahaba Ikram (RadiyAllahu Anhum) ne ye Qissa sunaya ke Aik Martaba wo RasoolAllah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath kahin ja rahe the, un mein se aik Sahabi ko neend Aagayi to dusre Sahabi ne jakar (Mazakh mein) un ki rassi le li (Jab sone wale sahabi ki Aankh khuli aur use apni rassi nazar na aayi) to wo pareshan hogaye, is par RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: "Kisi Musalman ke liye ye Halal nahi ke wo Musalman ko daraye."

[Urdu Ref :: Sunan Abu Dawood :: Vol.3 :: Hadith 1567]
✦.......:o Nepal Zalzalah, Nepal EarthQuakeۛ :o.......✦

⇨ "So their aliha (gods), other than Allah, whom they invoked, profited them naught when there came the Command of your Lord, nor did they add aught (to their lot) but destruction." (Qur’an 11:101)

⇨ "Urdu Translation: "Jab tumhare Parwardigar ka hukm Aaya to Jin Ma'budon ko wo Allah ke bajaye pukara karte the, wo un ke zara bhi kaam na Aaye aur unhon ne un ko tabahi ke siwa aur kuch nahi diya." (Qur’an 11:101)
✦......✿......♥ Pehle Salam, Phir Kalam ♥......✿......✦

The Messenger of Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: "Whoever talks before greeting (Salam) then you shouldn't respond him."

Urdu Translation: Nabi Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "Jo Shaks salam karne se pehle Guftagu shuru karde, us ki Baat ka jawab na do."

[Jami` al-Saghir Jalal al-Din al-Suyuti :: 8556, Sahih Al-Jami :: Hadith 3699]

◈ ✿ Zindagi bahot mokhtasar hai, Samajh aate aate Guzar jati hai, Dil mein koi baat na rakhen na Jhagde taweel hone den, khush raho aur khushiyan banto tumhen khushiya milengi.

◈ ✿ Muaaf karna sikho Jo Makhulqe khuda ko muaaf na kare use Khaliqe Khuda kaise muaaf karega "Allah Tala aap ko zindagi ke har Mod par Aap ko acchi sahet khushiya aur kamyabi Ata kare." Aameen :)

✦.....:o.....✔ Ijazat ke Bagair Dakhil na Hon! ✔.....:o......✦

Abu Sa'id Khudri RadiyAllahu Anhu reported: Allah's Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) as saying: "Permission (for entering the house) should be sought three times and if permission is granted to you (then get in). otherwise go back."

[Sahih Muslim :: Book 25 :: Hadith 5356, 5753]

Urdu Translation: Hazrat Abu Sa’id khudri RadiyAllahu Anhu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: "(Jab tum mein se koi kisi ke paas jaye to) Teen Martaba ijazat chahe Agar ijazat mil jaye to Andar chala jaye aur Ijazat na mile to wapas hojaye."

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 5 :: Hadith 5628]

●══════════════════◄►═════════════════●

▶▶ Kisi ke Ghar ke Darwazah par jakar Ijazat Hasil karne ke Aadab ◀◀

❶ Darwazah ke Samne na khade hon balke daye ya bayen janib khade hon.
❷ Salam se Ibteda karen.
❸ Ta’rruf ke liye Naam batayen (Ye na kahen ke ‘main hun’). (Sahih Muslim :: 5637) (Sahih Muslim :: Book 25 :: Hadith 5365)
❹ Teen martaba Ijazat talab karne (ya Bell bajane par) Agar jawab na Aaye to wapas hojayen.

No comments:

Post a Comment