Tuesday 10 October 2017

✦.........♥ Sote Waqt Masnoon Aml ♥.........✦

Narrated 'Aisha RadiyAllahu Anha: Whenever the Prophet (ﷺ) went to bed every night, he used to cup his hands together and blow over it after reciting Surat Al-Ikhlas, Surat Al-Falaq and Surat An-Nas, and then rub his hands over whatever parts of his body he was able to rub, starting with his head, face and front of his body. He used to do that three times.

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 6 :: Book 61 :: Hadith 536 , 5017]

Urdu Translation: Hazrat Aisha RadiyAllahu Anha Farmati hain ke “Nabi Akram ﷺ Har Raat Jab Bistar Par Tashreef le Jate to Apni Donon Hatheliyon ko Mila kar  Surat Al-Ikhlas, Surat Al-Falaq aur Surat An-Nas, (Teenon Surten Mukammal) Padhte aur Hatheliyon Par Phoonkte aur Phir Donon Hatheliyon ko Jahan tak Mumkin hota Apne Jism Par Pher lete, Pehle Sir, Chehrah aur Samne ke badan Par Pherte, Aur ye Aml Aap ﷺ Teen Martaba karte the.”

[Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol. 6 :: Hadith 5017]

💖 Khuda Kare Wo Lamhe Kabhi Khatam Na ho Jis Waqt Mere Waldain Muskurate Hain 💖

Aik Allah Wale se Kisi ne Kaha: Main ne Aik “Moatabar” Aadmi se Aik Janne Wale ke Bare Mein Kuch Ghalat baten Suni hain.

Allah Wale ne Jawab Diya: Gheebat karne Wala Kabhi “Moatabar” Nahin ho Sakta.

✦...♥ Shoharon Ke Naam RasoolAllah ﷺ Ka Paigham ♥...✦

The Messenger of Allah ﷺ said: "Fear Allah concerning women! Verily you have taken them on the security of Allah, and intercourse with them has been made lawful unto you by words of Allah."

[Sahih Muslim :: Book 7 :: Hadith 2803, 1218]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Biwiyon ke Bare mein Allah se Daro! Kyun ke Tum ne Allah ki Amanat ke Zariye Unhen Hasil kiya hai (Yani un ke Huqooq ki Adayegi ka jo Ahd Allah ne Tum se liya hai usi ke Mutabiq Aurten Tumhare Paas Aayi hain) Aur Allah ke Kalme (Yani Quran mein Maujood Nikah ke Ehkam) ke Zariye un ki Sharmgahon ko Tum ne Apne liye Halal kiya hai.”

[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vol. 3 :: Hadith 2950, 1218]

► Zindagi Hamesha Pur Sukoon Aur  Khushgawar Nahin Rehti.

► Kabhi Bhi Mushkilat Aasakti Hain Lekin Mushkilat Se Zindagi Khatam Nahin ho Jati.

► Mushkilat ka Saamna Kar ke Naye Khushgawar Raste Nikale Ja Sakte hain.

🌸 Narazgi Bhi Aik Bahot Hi Khoobsurat Rishta hai, Insan Dil Aur Dimagh Donon Mein Hi Basa Rehta Hai 🌸

✦.......► Maal Haram Roze Mehshar Gawahi Dega! ◄.......✦

RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Musalman ka wo Maal kitna Umdah hai Jise us ne Halal Raston se Hasil kiya aur Phir use Allah ke Raste mein aur Yateemon o Miskinon par Kharch karta raha, Aur jo Shaks Na jayez Raston se Maal jama Karta hai to wo us Bimar ki Tarah hai jo Kitna hi khale Magar pait Nahi bharta aur wo (Na jayez) Maal Qayaamat ke din us ke Khilaf Gawah ban kar Aayega.” (Sahih Bukhari: 2842)

Na Jayez Raston se Maal Hasil Karne ki 2 Bade Nuqsanat  Darj Bala Hadeese Rasool ﷺ Mein Batlaye Gaye hain:

❶ Na Jayez Maal se Agarche Zaruriyat Puri hoti Nazar Aati hain lekin Haqiqat mein Aisa Nahin hota, Neez Zarooriyat puri hone ke Natijie mein Hasil hone wale Qalbi itminan se Na jayez Aamdani wala Shaks hamesha Mahroom rehta hai.

❷ Jis Maal ki Mohabbat mein Insan use Na Jayez zaraye se Hasil karta hai to Yahi Maal, Gadi, Zaminen aur Bangle Qayamat ke din us ke Khilaf Gawah ban kar Khade ho Jayenge.

●════════════════◄►═══════════════●

Allah's Messenger (ﷺ) said: "How excellent the wealth of the Muslim is, if it is collected through legal means and is spent in Allah's Cause and on orphans, poor people and travelers. But he who does not take it legally is like an eater who is never satisfied and his wealth will be a witness against him on the Day of Resurrection."

[Sahih al-Bukhari :: Vol. 4 :: Book 52 :: Hadith 95, 2842]

✦......♥ Adl o Masawat Ka Islami Paimaana! ♥......✦

Aik Shaks ne Arz kiya ke Ya RasoolAllah  ﷺ! Main (Apne Paas Zere Parwarish) Yateem Bacche ko (Bawaqte Zarurat) kis Cheez se Marun? RasoolAllah  ﷺ ne Jawab Diya:

“Us Cheez se Jis se Tum Apne (Sage) Bete ko Marte ho.” (Sahih Ibn Hibban: 4244)

💖 Agar Koi Aap ke Bina Khush Hai To Use Khush Hi Rehne Do 💖

✦.......► Sharab Tamam Buraiyon Ki Jad ◄.......✦

Nabi Akram ﷺ  ne Irshad Farmaya: Bani Israil ke Baadshahon mein se Aik Baadshah ne Aik Shaks ko Pakad kar (4 Buraiyon Mein se) Aik Burayi ko Ekthiyar karne ka Hukum diya aur inkar ki Surat mein Qatal Karne ki Dhamki di, (Wo 4 Buraiyan ye Thin):

❶  Wo Shaks Sharab Pee le.
❷ Ya kisi Insan ko Qatal kar de.
❸  Ya kisi Aurat ke Sath Zina kar le.
❹  Ya Khanzeer ka Gosht Kha le.

Us Shaks ne (In Buraiyon mein se Sharab ko Nisbatan Halka Samjha  aur Jaan Bachane ke liye) Sharab Pine ko Ekhtiyar kar liya, Jab us ne Sharab Peeli to us ke baad Baqiya Buraiyon ke irtekab Mein Koi Rukawat baqi Na rahi (Chunanche us ne Qatal ka irtekab bhi kiya, Khanzeer ka Gosht bhi khaya, Aur Aurat ke Sath Muh bhi kala kar liya).

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 7236,  Sahih al-Albaani Fi al-Silsilah al-Saheehah: 2695]

●════════════════◄►═══════════════●

Abdullah bin Amr Al-Aas narrated that the Messenger of Allah (ﷺ) said: “One of the kings of the Bani Israil arrested someone and put before him certain choices.

He could ❶ Drink wine, ❷ Kill an infant, ❸ Commit adultery or  ❹ Eat pork.

But if he rejected all of these then he must be prepared to be put to death. He (thought wine was the least harmful and) chose wine. Hence, when he drank wine, none of the other things remained forbidden to him (in his eyes and he did them all).”

[Al-Mustadrak alaa al-Sahihain Al-Hakim: 7236,  Sahih al-Albaani Fi al-Silsilah al-Saheehah: 2695]

✦.....► Waldain Bahot Badi Ghalti Karte Hain! ◄.....✦

●◗► Apne Bacchon ke Samne Dusre Rishtedaron ki Burayiyan karna, Apni Zaati Ranjishen Bacchon Mein Muntaqil karna, Iis Tarah Waldain Apne Bacchon ke Zehnon Mein Hamesha ke liye Nafraton Ke Beenj bo dete hain Jis se Gharon mein Kabhi Sulah Nahin hoti, Jhagde Nasal dar Nasal Chalte hain, Waldain ko Chahiye Bacchon Mein Nafrat Nahin... “Mohabbat, Rishton ki Qadar aur Ehsas Paida Karen.”

💖 Ham Na Badlenge Waqt Ki Raftar Ke Sath, Jab Bhi Ham Milenge Andaz Purana Hoga InshaAllah 💖

✦ Madinah Munawwarah Jane Walon Ke Liye Khushkhabri! ✦
✦....♥ Masjide Quba Mein Namaz Umre Ke Barabar! ♥....✦

“The Messenger of Allah (ﷺ) said: ‘Whoever purifies himself in his house, then comes to the Quba’ Mosque and offers one prayer therein, will have a reward like that for ‘Umrah.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Book 5 :: Hadith 1412]

Urdu Translation: Nabi Akram ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jis ne Bhi Apne Ghar (Hotel, Rihayesh Gaah Wagerah) se Wuzu kiya aur Phir Masjide Quba Aakar Namaz Ada ki to Use Umrah ke Barabar Ajr o Sawab Milta hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 1 :: Hadith 1412]

No comments:

Post a Comment