Tuesday 31 October 2017

✦.....♥ Gharon Mein Barkat Ka Sabab! ♥.....✦

Narrated Anas RadiyAllahu Anhu: "The Messenger of Allah (ﷺ) said to me: 'O my little son! When you enter upon your family then give the Salam, it will be a blessing for you and upon the inhabitants of your house."

[Jami` at-Tirmidhi ::  Vol. 5 :: Book 40 :: Hadith 2698]

Urdu Translation: Hazrat Anas RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Nabi Akram ﷺ ne Mujh se Irshad Farmaya: “Mere Bete Jab tum Apne Ghar Walon se Milo to Salam Karo! Ye Salam tum Par aur Tumhare Ghar Walon Par Barkat ke Nuzool ka Sabab hoga.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 594, 2698]

💞 Bada Mushkil hai Rishton Ke Taqaddus Ko Nibaah Pana! Zaraa Si Badgumani Ho Mohabbat Rooth Jati hai! 💞

✦.......► Zyadah Kha Kar Dakaren Marna! ◄.......✦

Yahya Al-Bakka' narrated from Ibn 'Umar RadiyAllahu Anhu who said: "A man belched in the presence of the Prophet (ﷺ), so He (ﷺ) said: 'Restain your belching from us. For indeed those who are filled most in the world will be the hungriest on the Day of Judgement.'"

[Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 4 :: Book 11 :: Hadith 2479]

Urdu Translation: Hazrat Abdullah bin Umar RadiyAllahu Anhuma Farmate hain ke Aik Shaks ne RasoolAllah ﷺ ke Samne Dakar li to Aap ﷺ ne us se Irshad Farmaya: “Tum Apni Dakar ham se Door Rakho!!! Is Liye ke Dunya Mein Zyadah Pait Bhar kar Khane Wala Qayamat ke Din Zyadah Bhooka Rahega.”

[Urdu Ref :: Jami` at-Tirmidhi :: Vol. 2 :: Hadith 368, 2479]

●◗► Umuman Zarurat se Zyadah khane ki Wajah se Badi Badi Dakaren Aati hain, isi liye RasoolAllah  ﷺ ne is Par Tanbee Farmayi, Agar Dakar Medah ki kharabi ya Gas ki Bimari ki Wajah se Aaye to Harj ki baat Nahin, Kyun ke ye to Insani Majboori hai.

●◗► Zindagi Ka Ye Hunar Bhi Aazmana Chahiye, Jang Kisi Apne Se Ho To Haar Jana Chahiye..!!

✦.....♥ Ahl o Ayal ki Kasrat Par Ranjidah Na Hon! ♥.....✦

Ibrahim bin Adham Rahimahullahu Ta’ala se Kisi ne Ahl o Ayaal ki Kasrat aur Rizq Mein Tangi ki Shikayat ki to Hazrat ne us se Farmaya: “Apne Bacchon Mein Se Wo Baccha Meri Taraf Bhej do jis ka Rizq Allah ke Zimme Mein Na ho, Ye Sun kar Wo Shaks La Jawab (Aur Mutmain) ho Gaya.”

(Al-Bidayah Wa'n-Nihayah, Jild:13, Safha:510)

🌸 Betiyan Apni Khuahishen Dil Mein Chupa Kar Sir ko JhukaKar Waldain ke Har Hukum Ko Aankhon Pe Saja Leti Hain 🌸

✦.....♥ Bahen Aur Beti Ke Rishte Ka Taqaddus! ♥.....✦

The Messenger of Allah  ﷺ said: ‘Whoever has two daughters or sisters to whom he is kind as long as they are with him, he and I will be in Paradise (as close to each other) as these (and then he ﷺ put two of his fingers together).’”

Urdu Translaiton: RasoolAllah ﷺ ne Irshad Farmaya: “Jis Shaks ki 2 Bahnen ya 2 Betiyan hon aur Jab tak Wo us ke Paas hon, Ye un ke sath Husne Sulook ka Muamla karta Rahe to Main (Yani RasoolAllah ﷺ) Aur wo Shaks Jannat mein is Tarah Qareeb honge Jaise ye Donon Ungliyan aur Phir Aap ﷺ ne Apni (Shahadat aur Darmiyani) Donon Ungliyon ko Mila kar isharah Farmaya.”

[Silsilah Hadees As-Shaheehah: 1026]

من كان له أختان أو ابنتان ، فأحسن إليهما ما صحبتاه ، كنت أنا و هو في الجنة كهاتين . و قرن بين إصبعيه " . (سلسلة الاحاديث الصحيحة:1026)

🌸 Bahot Soch Samajh kar Apnon Se Rutha Karo Aaj Kal Manane Ka Riwaaj Khatam Ho Gaya Hai 🌸

● Ya Allah Paak Jis ne Bhi Mere Sath Bura kiya, Ya Main ne Kisi ke Saath,
● Jis ne bhi Mujhe Bura kaha, Ya Main ne Kisi ko Bura Kaha,
● Jis ne bhi Meri Chughli ki, Ya Main ne kisi ki Bhi Chughli ki,
● Jis ne bhi Mera dil Dukhaya, Ya Main ne kisi ka Dil dukhaya,
● Aaj Main ne Sab ko Teri Raza ke Liye Muaaf kiya,
● Aye Allah Tu bhi Mujhko aur Sab ko Muaaf Farmaden. (Aameen)

✦....► Khawateen ki Mulazimat Ki 3 Qurani Sharayet! ◄....✦

❶ Ghair Mahram Mardon ke Sath Ikhtilat Na Ho: Hazrat Shuaib Alaihis Salam ki Betiyan Jab Ghar se Bahar Kaam ke liye Niklen to Unhon ne Farmaya: “Ham Apne Janwaron ko us Waqt tak Pani Nahin Pila Sakten Jab tak Sare Mard Charwahe Nikal Nahin jate.” (Al-Quran, Surah Al-Qasas, 23)

❷ Naukri aur Kaam ki Ashad Zaroorat ho aur koi Kaam karne wala Mard Ghar mein na ho: Hazrat Shuaib Alaihis Salam ki Betiyon ne Apne KaamKaaj karne ki Majburi ka in Alfaz mein Tazkirah Farmaya: “Hamare Walid Bahot Budhe Aadmi hain (Aur kaam Kaaj se Qasir hain).” (Al-Quran, Surah Al-Qasas, 23)

❸ Jab kisi Kamane aur Kaam karne wale ka IntezamHo jaye to Fauran Naukri aur Kaam Chhod diya Jaye: Hazrat Shuaib Alaihis Salam ki Betiyon ne Musa Alaihis Salam ke bare mein apne Walid se Farmaya: “Abba Jaan! Aap in ko Ujrat Par Koi kaam De dijiye.” (Al-Quran, Surah Al-Qasas, 26)

💖 Jahan Khuloos Aur Ehsaas Ke Rishte Maujood Hon, Wahan Phool Mosamon Ke Mohtaj Nahin Hote 💖

✦.......► Mazaq Ka Bhi Saliqa Hota Hai! ◄.......✦

●◗► Mazaq karne ka Saleeqa Sikhiye, Kisi ki Be izzati Karne ke Baad ye Kehna ke “Main to Mazaq Kar Raha tha” Bazaat Khud is Baat ka Eteraaf hai ke ye Hargiz “Mazaq” Nahin tha!!! Mazaq Apni Samajh Boojh aur Bardasht ke Mutabiq Nahin Balke Samne wale ki Samajh Boojh aur Bardasht ke Mutabiq ki Jiye!!!

No comments:

Post a Comment